Tiflaan-e-koocha gard kay pathar bhi kuch nahin
Soda bhi aik weham hai aur sar bhi kuch nahin
Main aur khud ko tujh se chupa'on ga yehni main
Lay daikh lay miyan meray andar bhi kuch nahin
Bas ik ghubaar weham hai yak koocha gard ka
Dewaar-e-bood kuch nahin aur dar bhi kuch nahin
Yeh shaher daar-o-mohtasib-o-molvi hi kya
Peer-e-mughaan-o-rind-o-qalandar bhi kuch nahin
Shaikh haram luqma ki parwa hai kiyon tumhein
Masjid bhi us ki kuch nahin mimber bhi kuch nahin
Maqdoor apna kuch bhi nahin is diyaar main
Shayed woh jabar hai keh muqaddar bhi kuch nahin
Jaani main teray naaf piyalay pe hoon fida
Yeh aur baat hai tera paikar bhi kuch nahin
Yeh shab ka raqs-o-rang to kya sun meri kohan
Subh-e-shataab kosh ka daftar bhi kuch nahin
Bas ik ghubaar-e-tor gumaan ka hai teh ba teh
Yehni nazar bhi kuch nahin manzir bhi kuch nahin
Hai ab to aik haal-e-sakoon-e-hameshgi
Parwaz ka to zikar hi kya par bhi kuch nahin
Kitna darona hai yeh shaher-e-nabood-o-bood
Aisa darona keh yahan dar bhi kuch nahin
Pehlu main hai jo meray kahin aur hai woh shakhs
Yehni wafa-e-ehad ka bistar bhi kuch nahin
Nisbat main un ki jo hai aziyat woh hai magar
Shah rag bhi koi shay nahin aur sar bhi kuch nahin
Yaran ! tumhein jo mujh se gila hai to kis liye
Mujh ko Aaitraaz Khuda par bhi kuch nahin
Guzray gi "Jon" shaher main rishton kay kis tarah
Dil main bhi kuch nahin hai zuban par kuch nahin
No comments:
Post a Comment