Jul 9, 2016

Us ne hum ko gumaan main rakha


Us ne hum ko gumaan main rakha 
Aur phir kam hi dhiyaan main rakha 

Kya qayamat namu thi woh jis ne 
Hashar us ki uthaan main rakha

Jo shish-e-khoon ne apnay fun ka hisaab 
Aik chob , ik chitaan main rakha 

Lamhay lamhay ki apni thi ik shaan 
Tu ne hi ik shaan main rakha 

Hum ne pe'ham qabool ward kar kay 
Us ko aik imtihaan main rakha 

Tum to us ki yaad ki amaan main ho 
Us ko kis ki amaan main rakha 

Apna rishta zameen se hi rakho 
Kuch nahin aasman main rakha 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...