Nov 1, 2016

Her dharkan heejani thi her khamoshi toofani thi


Her dharkan heejani thi her khamoshi toofani thi 
Phir bhi mohabat sirf musal'sal milnay ki asaani thi 

Jis din us se baat hui thi us din bhi be'kaif tha 
Jis din us ka khat aaya hai us din bhi veerani thi 

Jab us ne mujh se yeh kaha tha ishq rafaqat hi to nahin 
Tab main ne her shakhs ki surat mushkil se pehchani thi 

Jis din woh milnay aayi hai us din ki ru'daad yeh hai 
Us ka bala'oz narangi tha us ki saari dhaani thi 

Uljhan si honay lagti thi mujh ko aksar aur woh youn 
Mera mizaaj-e-ishq tha shaheri us ki wafa deh'kaani thi 

Ab to us kay baray main tum jo chaho woh keh dalo 
Woh angraai meray kamray tak to bari roohani thi 

Naam pe hum qurbaan thay us kay lakin phir yeh tor hua 
Us ko daikh kay ruk jana bhi sab se bari qurnabi thi 

Mujh se bichar kar bhi larki kitni khush rehti hai 
Us larki ne mujh se bichar kar mar janay ki thaani thi 

Ishq ki halat kuch bhi nahin thi baat barhanay ka fun ka 
Lamhay la'faani thehray thay qatron ki tughyani thi 

Jis ko khud main ne bhi apni rooh ka irfan samjha tha 
Woh to shayed meray piyasay honton ki shaitani thi 

Tha dar'baar-e-kalaan bhi us ka nobat khana us ka tha 
Thi meray dil ki raani , amroo ki raani thi 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...