Aap apna ghubaar thay hum to
Yaad thay yaad'gaar thay hum to
Pardagi ! hum se kiyon rakha parda
Teray hi parda'daar thay hum to
Waqat ki dhoop main tumharay liye
Shajar saya'daar thay hum to
Urray jaatay hain dhool ki maanind
Aandhiyon par sawaar thay hum to
Hum ne kiyon khud pe Aaitabaar kiya
Sakhat be'aaitabaar thay hum to
Sharam hai apni baar baari ki
Be'sabab baar baar thay hum to
Kiyon hamein kar diya gaya majboor
Khud hi be'ikhtiyaar thay hum to
Tum ne kaisay bhula diya hum ko
Tum se hi mus'ta'aar thay hum to
Khush na aaya hamein jiye jaana
Lamhay lamhay pe baar thay hum to
Seh bhi letay hamaray tah'no ko
Jaan-e-mann jaan nisaar thay hum to
Khud ko doraan-e-haal main apnay
Be'tarah na'gawaar thay hum to
Tum ne hum ko bhi kar diya bar'baad
Na'dar-e-roz'gaar thay hum to
Hum ko yaaron ne yaad bhi na rakha
"Jon" yaaron kay yaar thay hum to
No comments:
Post a Comment