Jan 4, 2017

Bhuli baatein yaad na ayein


Aadmi 

Bhuli baatein yaad na ayein 
Kya kya koshish karta hai 

Kon hai woh bas ussi soch kay 
Saa'ye se bhi darta hai 

Jaisay sookh kay toofano main 
Dukh ka rela phirta hai 

Saath apnay jam'ghatta laga kar 
Aap akela phirta hai 


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...