Gulaab chehray pe muskurahat
Chamakti aankhon main shokh jazbay
Woh jab bhi college ki seerihon se
Sahaliyon ko liye utar'ti
To aisa lagta keh jaisay dil main
Utar rahi ho
Kuch is teefan se baat karti
Keh jaisay duniya ussi ki aankhon
Se daikhti ho
Woh apnay rastay pe dil bichaati
Hui nigahon se hans kar kehti
Tumharay jaisay bhout se larkon se main yeh baatein
Bhout se barson se sun rahi hoon
Main saahilon ki hawa hoon
Neelay samandron kay liye bani hoon
Woh sahilon ki hawa si larki!
Jo kal mili to is tarah thi
Gulaab chehray pe muskurahat
Chamakti aankhon main shokh jazbay
Keh jaisay chandni pighal rahi ho
Magar jo boli to us kay lehjay main woh thakan thi
Keh jaisay sadiyon se dasht-e-zulmat main jal rahi ho !
No comments:
Post a Comment