Jan 30, 2017

Maal-o-zarr ki inteha chahta hoon


Maal-o-zarr ki inteha chahta hoon
Main bankon main kharbon rupeya chahta hoon

Election main jeetun curruption main luutun
Hakumat main ohda barra chahta hoon

Mohabbat mubarik ,muhab-e-watan ko
Dagha day kay daad-e-wafa chahta hoon

Jahan chaahon rakh dun khud apni girvi
Main shaabash aur hosla chahta hoon

Churra kay main lay jaun mulki khazaana
Tajori ka har darr khula chahta hoon

Nahi baal-e-jibril-o-baang-e-dra main
Sabak jo main seekhna chahta hoon

Teray kaan main raaz ki baat keh di 
Keh main fazl-e-rabbi khuda chahta hoon

Jiya hoon main kha kay karo'ron ki rishwat
To kya itni jaldi mra chahta hoon

Jiyun ga main jab tak karun ga hakumat
Keh is kom ka main bhala chahta hoon

Siyaasat hai meri riyaasat hai meri
Main aaba ki rasmain rwa chahta hoon

Na mazduur khush hon na dehkan razi
In;hein be-sakun dekhna chahta hoon

Nahi tuur ki raas mujh ko tajalli
Na musa hun or na Essa chahta hoon

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...