Aur kuch nahin badla
Aur kuch nahin badla
Aaj baad muddat kay
Main ne uss ko daikha hai
Woh zara nahin badli !
Ab bhi apni aankhon main
100 sawaal rakhti hai
Choti choti baaton par
Ab bhi khull kay hansti hai
Ab bhi us kay lehjay main
Wohi khan'khana'hat hai
Woh zara nahin badli !
Ab bhi us ki palkon kay
Saa'iye geelay rehtay hain
Ab bhi uss ki sochon main
Mera naam rehta hai
Ab bhi meri khatir woh
Iss tarah hi pagal hai
Woh zara nahin badli !
Aaj baad muddat kay
Main ne uss ko daikha hai
To mujhay bhi lagta hai
Main bhi uss ki chahat main
Iss tarah hi pagal hoon
Baad iti muddat kay
Aur kuch nahin badla !!
Juz hamaray raaston kay
Aur kuch nahin badla !
No comments:
Post a Comment