Meri fitrat ghazal'go hai
Magar main nazam kehta hoon
Meri majburiyan mujh ko
Ghazal kehnay nahin deti
Mera asloob bhi mujh se shikayat karta rehta hai
Meray ehbaab bhi mujh se shikayat kartay rehtay hain
Shaher main aisi koi mah'jabeen bhi to nahin rehti
Ghazal jis par kahi jaye
"Alaf" sa naak ho jis ka
To chehra "Noon" jaisa ho
Haseen aankhein magar woh "Qaaf" kay nuqton jaisi hon
To gaisu "Laam" jaisay hon
Woh jis kay azam ki bhi istaqamat bas "Alaf" si ho
Hon jis kay hont "Bay" jaisay
Rukh-e-zeba kay khaal-o-khad hijjay hon
To chehra "inqalaab" uss ka
Agar tasveer khinch'waye to kaghaz par
Faqat ik "inqalaab" aaye
No comments:
Post a Comment