Tum se kuch nahin kehna
Hum ne soch rakha hai
Chahye dil ki her khawaish
Zindagi ki aankhon se ashk ban kay
Beh jaye
Chahye ab makeeno par
Ghar ki sari dewarein chatt samait gir jayein
Aur be'muqaddar hum
Iss badan kay malbay main
Khud hi kiyon na dab jayein
Tum se kuch nahin kehna
Kaisi neend thi apni , kaisay khawaab thay apnay
Aur ab gulabon par
Neend wali aankhon par
Narm khu se khawabon par
Kiyon azaab tootay hain
Tum se kuch nahin kehna
Ghar gaye hain raaton main
Be'libaas baaton main
Iss tarah ki raaton main
Kab chragh jaltay hain
Kab azaab tal'tay hain
Ab to in azabon se bach kay bhi nikalnay ka raasta nahin jaana !
Jis tarah tumhein sacch kay la'zawal lamhon se waasta nahin jaana !
Hum ne soch rakha hai tum se kuch nahin kehna
No comments:
Post a Comment