Toh'matein to lagti hain
Toh'matein to lagti hain
Roshni ki khawaish main
Ghar se baahir aanay ki kuch saza to milti hai
Log log hotay hain
Un ko kya khabar jaana !
Aap kay iraadon ki khoobsurat aankhon main
Basnay walay khawabon kay rang kaisay hotay hain
Dil ki goad aangan main palnay wali baaton kay
Zakham kaisay hotay hain
Kitnay gehray hotay hain
Kab yeh soch saktay hain
Aisi be'gunnah aankhein
Ghar kay konay khudron main chupp kay kitna roti hain
Phir bhi yeh kahani se
Apni kaj biyani se
Is qadar rawani se daastaan sunatay hain
Aur yaqeen ki aankhein
Sacch kay gham'zada dil se lag kay ronay lagti hain
Toh'matein to lagti hain
Roshni ki khawaish main
Toh'maton kay lagnay se
Dil se dost ko jaana
Ab nid'haal kya karna
Toh'maton se kya darna
No comments:
Post a Comment