Yeh gaye dino ka malaal hai
Meray dushmano se kaho koi
Kisi gehri chaal kay ehtamaam ka silsala hi fazool hai
Keh shakist youn bhi qabool hai
Kabhi hoslay jo misaal thay
Woh nahin rahay
Meray harf harf kay jism par
Woh mahni kay par-o-baal thay woh nahin rahay
Meri shairy kay jahan ko
Kabhi titliyon , kabhi jugnu'on se sajaye phirtay
Khayal thay
Woh nahin rahay
Meray dushmano se kaho koi
Woh jo shaam shaher-e-wisaal main
Koi roshni si liye huye
Kisi lab pe jitnay sawal thay
Woh nahin rahay
Jo wafa kay baab main wehshaton kay kamaal thay
Woh nahin rahay
Meray dushmano se kaho koi
Woh kabhi jo ehad-e-nishaat main
Mujhay khud pe itna gharoor tha
Kahin kho gaya
Woh jo fatihaana khumaar main
Meray saray khawaab nihaal thay
Woh nahin rahay
Kabhi dasht lashkar-e-shaam main
Meray sur'khu'ru mah-o-saal thay
Woh nahin rahay
Keh bas ab to dil ki zubaan par
Faqat ik qissa-e-haal hao ...............jo
Nid'haal hai
Jo gaye dino ka malaal hai
Meray dushmano se kaho koi
No comments:
Post a Comment