Apr 30, 2017

Aaj kal sach poochiye to muskurata kon hai


Aaj kal sach poochiye to muskurata kon hai 
Khud faraibi hai faqat , hansta hansaata kon hai 

Meri neendein urr gayi hain yeh to keh sakta hoon main 
Yeh magar mat poochiye neendein uraata kon hai 

Tum nahin aatay na aayo , tum se shikwa bhi nahin 
Tum se kehta kon hai , tum ko bulaata kon hai 

Tum nahin suntay agar afsana-e-gham , mat suno 
Her kas-o-na'kas ko afsana sunata kon hai 

Iss se pehlay bhi kiya hai hum ne unn ka aaitabaar 
Aisay waday to bhout hotay hain aata kon hai 

Unn ki mehfil daikhnay ka shouq to hum ko bhi hai 
Hum wahan jaatay , magar hum ko bulaata kon hai 

Fitna haye dehar kay Iqbal shaaki hain sabhi 
Inn se yeh poochay koi fitnay jagata kon hai 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...