May 2, 2017

Kuch ujaala sa rah guzar main raha


Kuch ujaala sa rah guzar main raha 
Koi jab tak meri nazar main raha 

Ik parao pe ruk gaya woh bhi 
Main akela hi phir safar main raha 

Kho gaya door ki uraano main 
Zor bhi kuch na baal-o-par main raha 

Itni muddat kay baad kya loat'ein 
Ab sha'nasa na koi ghar main raha 

Le chala dagh-e-dil nihaan dil main 
Kaisi duniya-e-be'basar main raha  


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...