Mata-e-shaam-e-safar bastiyon main chor aaye
Bujhay chragh hum apnay gharon main chor aaye
Bichar kar tujh se chalay hum to ab kay youn hua
Keh teri yaad kahin raaston main chor aaye
Hum apni dar-badri kay musha'hiday aksar !!
Naseehaton ki tarah kam'sino main chor aaye
Khiraaj-e-sil-e-bala iss se barh kar kya ho keh log
Khullay makaan bharri baarishon main chor aaye
Hamaray baad bhi ronaq rahay gi maqtal main
Hum ehal-e-dil ko baray hoslon main chor aaye
Urrein gay kya woh prinday jo apnay rizq samait
Safar ka shouq bhi tootay par'ron main chor aaye
Sada sukhi rahein chehray woh hum jinhein "Mohsin"
Bujhay gharon ki khulli khirkiyon main chor aaye
No comments:
Post a Comment