Main aik barg-e-khizaan ki maanind
Kab se shaakh nihaal-e-gham par
Laraz raha hoon
Mujhay abhi tak hai yaad-o-jaan figaar-e-sa'aat
Keh jab baharon ki aakhri shaam
Mujh se kuch youn lipat kay roi
Keh jaisay ab umar bhar na daikhay ga
Hum main aik doosray ko koi
Woh raat kitni karri thi
Jab aandhiyon kay shab-e-khoon se
Bu-e-gul bhi lahu lahu thi
Sehar hui jab khushk-o-zar-daroo thay
Keh jaisay maqtal main
meray bichray huye rafeeqon ki
Zakham khurda bar'hana laashein
Garri hui hoon
Main jaanta tha
Keh jab yeh bojhal buland ashjaar
Jin ki kohna jarrein zameen ki ameeq gehraiyon main
barson se ja'guzeen thein
Hajoom-e-sar sar main
Chand lamhi yeh istaada na reh sakay to
Main aik barg-e-khizaan bhi
Shaakh nihaal-e-gham par na reh sakon ga
Woh aik pal tha keh aik raat thi
Magar meray wastay bhout thi
Mujhay khabar hai keh kal baharon ki awleen subha
Phir se be'barg-o-baar shaakhon ko
Zindagi ki nayi qaba'ein ata karay gi
Magar mera dil dharak raha hai
Mujhay , jalsay aandhiyon ki yo'rash
Khizaan kay toofan na chu sakay thay
Kahin naseem-e-bahar
Shaakh-e-nihaal gham se
Juda na kar de
No comments:
Post a Comment