Teray harf-o-lab ka talism tha , meri aab-o-taab main reh gaya
Woh kisi gulab ka aks tha jo meri kitab main reh gaya
Main kahan sarapa-e-naaz thi mujhay yaad hai shab-e-tairagi
Woh kisi kay lams ka moh'jaza jo meray shabaab main reh gaya
Meri baat baat main roshni , meray harf harf main dil'kashi
Tu meray shareek-e-wisaal-e-jaan , meri her kitab main reh gaya
Dil-e-khush gumaan teri khair ho, tu hai phir yaqeen ki saleeb par
Tujhay phir kisi se shikayatein , tu issi azaab main reh gaya
Tujhay kya mila dil-e-mubtalaa , na koi dua na kahin wafa
Magar ik arsa-e-raigaan , jo teray hisaab main reh gaya
Koi phool khil kay bikhar gaya , koi baat ban kay bigar gayi
Na sawal koi labon pe hai na gila jawab main reh gaya
Woh jo mera ehad-e-jamaal tha , woh jo mera shaher-e-khayal tha
Magar uss ka zikar-e-kamaal bhi kahin dasht-e-khawab main reh gaya
No comments:
Post a Comment