Jan 22, 2017

Zikar tera meri kahani main


Zikar tera meri kahani main 

Zikar tera meri kahani main 
Chand ka aks jaisay pani main 

Woh to khamosh rahi aur hum 
Janay kya keh gaye rawani main 

Apni aankhein ganwai hain hum ne 
Apnay khawabon ki paas'bani main 

Aik muddat ka saath choot gaya 
Aik choti si bad'gumani main 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...