Apr 12, 2014

Is haseen taul'aq se niklay to bikhar jayein ge


Is haseen taul'aq se niklay to bikhar jayein ge
Hum teri zaat se niklay to bikhar jayein ge

Bhout adat hai is dil ko tumharay sath chalney ki
Yeh hath , hath se niklay to bikhar jayein ge

Ik mudat se teri kahani ka unwaan rahay hain
Ab is ri,yaat se niklay to bikhat jayein ge

Pass hotay to koi shahrat kartay

Pass hotay to koi shahrat kartay
Tujhay le ke banhon main mohabbat kartay

Dekhtay teri ankhon main neend ka khumaar
Apni khoye hui neen'don ki shikayat kartay

Teri ankhon main apna aks dhoondtay
Khud se bhi ziada teri chahat kartay

Jis ki hakoomat thi us ke ghulaam thay
Qabeelay main dost kis se baghawat kartay

Ik dil tha woh bhi us ke pass tha
Raat bhar jaag kar kis ki hifazat kartay

Meray mazhab main shirk haraam hai warna
Aur kuch na kartay hum din raat teri ibadat kartay

Poet : Mohsin naqvi
 

Kabhi kabhi aansoo muskurahat se ziada special hotay hain


Kabhi kabhi 
Ansoo muskurahat se ziada special hotay hain
Kyn keh
Muskurahat to sab kay liye hoti hai
Magar ansoo un kay liye hotay hain
Jinhain hum khon anahin chahtay

Apr 1, 2014

Meri chashm-e-tasawar se kabhi ojhal nahin hot'ein


Meri chashm-e-tasawar se
Kabhi ojhal nahin hot'ein
Barasti tez barish main
Paron ki naram garam aghosh main dabki hui
Nanhay kabootar ki damakti surmaei ankhain
Keh jin main kaif-o-masti lutf-o-itminaan ki qos-e-qaza
Kuch khaas lamhay gungunati hai
main is nanhay kabootar ki nighahon se
Barasti barishon ka lutaf Chunana chahti hoon
Wafoor-e-shauq
ke farmaan sunana chahti hoon

Be-rabat si sochain meri


Be-rabat si sochain meri
Aaj kal udasi ke bhanwar main
Phansi hui hain
Meri sochain apni zindagi ke
Is la-hasil safar ke baray main soch rahi hain
La-hasil Khidmatain , la-hasil mohabbtain
Na janey kyn zindagi ka rog ban jati hain

Mar 30, 2014

Qareeb aa kay boht door ho gia woh shakhs,





Qareeb aa kay boht door ho gia woh shakhs,

Na jane kon si dunya mein kho gia woh shakhs!


Khyal-o-khawb ki ta'abeer mujhe samjha kr,

Meri hi zaat mein mujh ko dabo gia woh shakhs!


Main apne hijar ki raton mein rang kese bharon,

Mujhe jaga kr sar-e-sham so gia woh shakhs..!

Apne hi shehar kay log satane lage


Apne hi shehar kay log satane lage
Yar apni mahfil se uth k jane lage

Jab bhi izhar-e-jazbat chaha main ne
Log apna apna dard sunane lage

Hamare naam se chalti thi jinki sansein kabhi
Aaj wohi hum se nazrein churane lage

Kya khabar thi k ik pal mein bichar jaye ga woh
Jise apna bnane mein zamane lage

Kya karon nazron se hat'ta hi nahi wo manzar
Jab haath chhura kr mera woh jane lage

Anmol



Hum Anmol To Ni Magr Barish K Un Qatron Ki,
Tarha Khaas Zaror Hn,
Jo,
Matti Mein Sama Jaen To Phr Kbi Mila Ni Krty

Ahwaal-e-ghum-e- zaat sunaany se raha main




Ahwaal-e-ghum-e- zaat sunaany se raha main
Ab khud ko tamasha to banaany se raha main

Hur baar main tazlil-e-ana kar nai sakta
Har baar usay ja k manaany se raha main

Ehsaan ka mafhoom hai aankhain na milaana
Ehsaan kisi ka bhi uthaany se raha main

Mumkin hy kisi roz ye akseer hi bun jaaye
Is dil me lagi aag bujhaany se raha main

J0 zakhm rafeeqon k rwaiyyon se lagey hain
W0 zakhm kisi ko bhi dikhaany se raha main

Jaany do mujhy bazm-e-turab me nai roko
Baar-e-ghum-e-tanhaai uthaany se raha main

Darya hun to darya he usey paish krunga
Piyaasy ko samandar to pilaany se raha main

Gham-e-dunya k samndar main kinara dhoondun




Gham-e-dunya k samndar main kinara dhoondun
Aandhi kis simt chaly gi ye ishara dhondun

Karb tanhaai ka rag rag men utar aaya hay
Ik faqat teri mohabat ka sahara dhondun

Jab teri yad men ankhon sy rawan hon aansu
Khushk krny ko main daman bhi tmhara dhondun

Wasl bhi aag hy, or hijr bhi jalta dariya
Thandy chashmo ka sanam kesy nazara dhondun

Jab kisi gham men koi toot k roy mohsin
Main tumhen yad karun, dar bhi tmhara dhondun

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...