May 28, 2014

Teri is ada se bhi hoon main aashna


Teri is ada se bhi hoon main aashna

tujhay itna jis pe ghroor hai

main jee'on gi teray bagair bhi 

mujhay zindagi ka sha,oor hai

main nikal ke teray daam se 

na giron gi apnay maqaam se 

mujhay zindagi ka sha'oor hai 

Tabasum gham chupaney kay liye hai


Tabasum gham chupaney kay liye hai
zamaney ko dikhanay kay liye hai

mera youn her ghari masroof rehna 
kisi ko bhool janay kay liye hai

kisi ke kaam kiya aye ga woh to
faqat batain bananey kay liye hai

woh kush guftaar hai auron kay liye
mera hi dil dukhanay kay liye hai

kisi mayaar pe poora nahin jo
mujhay woh azmaney kay liye hai


Bna ik rishta paida kyn karain hum


Bna ik rishta paida kyn karain hum

bichrana hai to jhagra kyn karain hum

khamoshi se ada ho rasm-e-doori

koi hangama barpa kyn karain hum

yeh kafi hai keh hum dushman nahin hain

wafa dari ka dawa kyn karain hum

milay sadiyon ki pyaas aur pani , zara phir se kehna


milay sadiyon ki pyaas aur pani , zara phir se kehna

bari dil ruba hai yeh sari kahani , zara phir se kehna

kahan se chala tha judaei ka saya nahin dekh paya

keh rastay main thi aanson ki rawani , zara phir se kehna

hawa yeh khabar tu sunati rahay aur main sunta rahoon

badalney ko hai ab yeh mousam-e-khazani , zara phir se kehna

mukar janey wala kabhi zindagi main kushi phir na paye

youn hi khtam kar lain chalo yeh kahani , zara phir se kehna

samay ke samandar ! kaha tu ne jo bhi , suna par na samjhay 

jawani ki nadi main tha tez pani ,zara phir se kehna

Poet : Amjad Islam Amjad

Tum ne bhi kon sa chaha tha mujhay


Tum ne bhi kon sa chaha tha mujhay

meri batain bhi ghalat , meray iraday bhi ghalat

be'wafaei ka yeh khud sakhta bohtaan bhi tasleem mujhay

yeh bhi mana keh gham-e-dehar jawaan tha to gham-e-jaan ko

meri aankh ke ansoo na milay

jab zamano ki yeh be'mehar hawaein meri sochon ko jala deti hain

main sochta hoon

tum ne bhi kon sa chaha tha mujhay


lahoo na ho to qalam tarjumaan nahin hota


lahoo na ho to qalam tarjumaan nahin hota
hamaray dard main ansoo zubaan nahin hota

jahan rahay ga wahin roshni lutayae ga
kisi chraagh ka apna makaan nahin hota

bas ik nigha meri raah dekhti ho gi
yeh sara shaher mera mezbaan nahin hota

main us ko bhool gaya hoon yeh kon manay ga
kisi chragh ke bas main dhuwan nahin hota

waseem sadiyon ki aankhon se dekhiyea mijh ko
woh lafaz hon jo kabhi dastaan nahin hota

Mohabbat dard ki surat


Mohabbat dard ki surat 

guzishta mousamon ka ista'ara ban ke rehti hai

shabaan-e-hijar main roshan sitara ban ke rehti hai

mundairon par jab chraghon ki luein jab thar'thrati hain 

nagar main na'umeedi ki hawaein sansanati hain

gali main jab koi aahat , koi sya nahin rehta

dukhay dil kay liye jab koi bhi dhoka nahin rehta

ghamon ke bojh se jab tootney lagtay hain shaanay to

yeh un par hath rakhti hai

kisi hamdard ki surat 

guzar jatay hain saray qafalay jab dil ki basti se

fiza main tehrati hai der tak 

yeh gard ki surat 

mohabbat dard ki surat

junoon se guzarney ko jee chahta hai


junoon se guzarney ko jee chahta hai
hansi zabat karney ko jee chahta hai

woh hum se khafa hain , hum un se khafa hain
magar baat karney ko jee chahta hai

hai mudat se be'rang naqsh-e-mohabbat 
koi rang bharney ko jee chahta hai

fiza muzda zindagi le ke aye
kuch is tarah marney ko jee chahta hai 

nizaame 2 aalam ki ho khair ya-rab
phir ik aah karney ko jee chahta hai

gunnah-e-mukarar , shakeel Allah Allah
bigar kar sanwarney ko jee chahta hai

soch ke aangan main us ka saya phaila to


soch ke aangan main us ka saya phaila to 

kaan idher layo to batayon

tez hawa ne kis ko chaera

chunri , kaan ki bali , zulfaien ?

dheeray se jab palkon ki dehleez pe rakhay 

deep jalay to !

nain'on ne chori se seham ke

paas ki her ik cheez ko dekha

jaldi se phir honthon ne 

bikhri bikhri muskaan samaiti

pagli phir khud hi main hansi aur

ja kar aainay se boli 

kuch bhi nahin

bas is ka saya soch ke aangan se guzra tha

Kho gayi subha ki umeed , aur ab lagta hai


Kho gayi subha ki umeed , aur ab lagta hai

hum nahin hon ge jab hon ge ujalay mohsin

woh jo ik shaks maata-e-dil-o-jaan tha na raha

ab bhala kon meray dard sambhalay mohsin
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...