Jun 11, 2014

Maskhan-e-maah-o-saal chor gaya


Maskhan-e-maah-o-saal chor gaya
Dil ko us ka khyal chor gaya

Taza dam jism-o-jaan thi furqat main 
Vasal us ka nidhaal chor gaya 

Ahad-e-mazi jo tha ajab pur'haal 
Aik veeran haal chor gaya 

Zaala'bari ky marhalon ka safar 
Qaaflay pay-e-maal chor gaya 

Dil ko ab yeh bhi yaad ho keh na ho 
Kon tha , kiya malaal chor gaya 

MAin bhi ab khud se hoon jawaab talab 
Woh mujhay be'sawaal chor gaya

Zara si dair ko aaye thay khwaab aankhon main


Zara si dair ko aaye thay khwaab aankhon main 
Phir us ky baad musalsal azaab aankhon main 

Woh jis ky naam ki nisbat se roshan tha wajood
Khatak raha hai wohi aftaab aankhon main 

Jinhain mata-e-dil-o-jaan samjh rahay thay hum 
Woh aanay bhi huye be'hijaab aankhon main 

Ajab tarah ka hai mousam keh khaak urati  hai
Woh din bhi thay keh kilay thay gulaab aankhon main 

MAin ne ghazal teri wehsahaton ki khatar kahi hai 
Bhout dino se bhout iztaraab aankhon main 

Na janay kisi qayamat ka paish'khaima hai 
Youn uljhanain teri be'intasaab aankhon main 

Khwaab ki tarah bikhar janay ko jee chahta hai


Khwaab ki tarah bikhar janay ko jee chahta hai
Aisi tanhai keh mar janay ko jee chahta hai

Ghar ki wehshat se larazta hoo magar jane kyon
Shaam hoti hai to ghar janay ko jee chahta hai

doob jayon to koi mujhay nishaan tak na bataye
Aisi nadi main utar janay ko jee chahta hai 

KAbhi mil jaye to rastay ki thakan jaag paray
Aisi manzal se guzar janay ko jee chahta hai 

Wohi paimaan jo kabhi jee ko kush aya tha bhout 
Usi paimaan se mukkar janay ko jee chahata hai

Karney ko meray zimay abhi kaam bhout hain


Karney ko meray zimay abhi kaam bhout hain 
Sach yeh bhi hai sar py meray ilzaam bhout hain 

MAin dhoondt phirta hoon Jisay koocha-ba-koocha 
Is naam ky insaan yahan aam bhout hain 

Ab chahney se milti hai mohabbat kahan aisay 
Bazaar main is shai k ab daam bhout hain 

Tareef karon teri mohabbat ki zubaan main 
Gulshan main teri kushboo ky iqsaam bhout hain 

Laina hai mujhay kiya teri duniya-o-jahan se
Dil main teri yadon ky subha shaam bhout hain 

Jaanam teri duniya main nahin milti rafaqat 
Keh dua ky siwa wasal ky anjaam bhout hain 

Na cheez ny is cheez ko kiya cheez hai samjha 
Is lafz-e-mohabbat main aalam bhout hain 

Mayal hai shoukat zindagi ky anjaam ki janib 
Chalay ruk ky zara to abhi insaan bhout hain 

Na to dukh dia sukh se jeenay mujhay


Na to dukh dia sukh se jeenay mujhay 
Na hi tum ne dia zehar peenay mujhay 

Teri furqat ki sadiaan youn lambi huein 
Parh gaye kam saal aur maheenay mujhay 

Her subho lay kar ayi gham-e-nau meri
Her roz hi paray zakham seenay mujhay 

Roz jeeta raha wasal ki chah main 
Ansoo'on ne sikhaue qareenay mujhay 

Hoein ghr'qaab Aas aur umeedain meri 
Bhout mehngay paray yeh dafeenay mujhay 

Zad main  kashti meri hai toofaan ky
Gharq kar dain na meray safeenay mujhay 

Rabat teray siwaa aur kisi se na tha 
Sirf mara teri ik nahin ne mujhay 

Daikh shaokat jahan ky taiwar bhi tu 
Paaon rakhnay diya na zameen ne mujhay  

Tu zakham-e-judai ko taman'na main milaa kar


Tu zakham-e-judai ko taman'na main milaa kar
Khud apnay hi hathon se yeh zehar piya kar 

Takleef main ehsaas-e-mohabbat ko dabo kar 
Umeed ki kirnon main tu roz jiya kar 

Daikhay jo teray haal ko apnay main samo kar 
Aisay hi kisi shakhs se to piyaar kiya kar 

Jeenay main kahin sokh orhay kahin dard-e-jahan hai 
Hathon ki lakeeron ko na dosh dia kar 

Jalta hai jisam tera agar rogh-e-wafa main 
Parwanae ki jurrat ko tu yaad kiya kar 

Bikhray huye patton se nashaiman ko saja kar 
Ujray huye logon ko tu abaad kiy akar 

Samjhay jo tera dard koi aisa wali ho 
Barbaad dilon main ussay dhoond liya kar 

Woh kon hai shoukat jo mu'barra  hai dukhon se
Aflaas ki bast main zara jhaank liya kar

Bhanwar main her ghari rehna mohabbat rog hai dil ka


Bhanwar main her ghari rehna mohabbat rog hai dil ka
Tumhain tha bas yahi kehna mohabbat rog hai dil ka

Zamanay bhar main bikhray hain mazaar-e-ishq ky manzar
Unhi kitabon ko parh lena mohabbat rog hai dil ka

Tumhara sath chaha to milay ansoo umar bhar ky 
Youn hi aankhon ka nam rehna mohabbat rog hai dil ka

Subha ko arzoo karna bina suraj ki kirno ky 
Phir sochon main gum rehna mohabbat rog hai dil ka

KAbhi tootain tumhari Aas-o-umeedon ky bandhan jab 
Mujhya tum khud hi likh dena mohabbat rog hai dil ka

NAhin rakhna qadam apna kabhi hisaar-e-ulfat main 
Meray lafzon ko parh lena mohabbat rog hai dil ka

Tumhari jaan ka sadqa lahoo se main chukaon to 
Sab se tum yahi kehna mohabbat rog hai dil ka

Shoukat rak nahin sakta ba'hayo chaltay pani ka 
Hazaron gham parein sehna mohabbat rog hai dil ka 

Alag kab thi ik manzal se tumhari raah hamari raah


Alag kab thi ik manzal se tumhari raah hamari raah
Juri thi aik bandhan se tumhari raah hamari raah

Na phoolon main kushboo na mousam main tla'tum tha 
Ajab be'khouf lagti thi tumhari raah hamari raah

Chaltay jana suntay geet hamaray door tal aksar
Hamain madhosh rakhti thi tumhari raah hamari raah

Chaman main kuch nahin badla siwaye hum'nasheeno ky
Wohi hain hum juda hain ab tumhari raah hamari raah

Hamari zeest ky bad.mast lamhon main woh ik lamha
Bana di jis ne be'maqsad tumhari raah hamari raah

Chalo onkaar kartay hain mohabbat ky asoolon se
Aur ab door se daikhain tumhari raah hamari raah

Mujhay ab sath lay kar tum chalo shoukat us raston par 
Jahan main dekh sakon her dum tumhari raah hamari raah

Ab kar ky kisi aur ka intizaar daikhna


Ab kar ky kisi aur ka intizaar daikhna 
Apnay hamaray darmiyaan diwaar dekhna 

Thukra ky aap ne hamain acha sila diya
Hum thay keh hum ne chaha so baar dekhna

Lehra diye aap ne parday fizaon main 
Dushwaar kar diya husan-e-yar dekhna

Milnay ka aap ko kabhi fursat nahin mili 
Hum thak gaye simat coo-e-yaar dekhna 

Janay kahan se aap ne seekhein adawatein 
Mushkil nahin tha warna ik baar dekhna

Muyassar kabhi aap ko ayein mohabbatein 
Palray main rakh ky aap mera piyaar daikhna 

Zindagi ki rahoon main rang-o-gham ky melay hain


Zindagi ki rahoon main rang-o-gham ky melay hain 
Chaar soo andheray hain  un'ginat jhamailay hain 

Kashtiyaan hain kaaghaz ki barish ka mousam  hai 
Andhiyon ky jhakar main paniyon ky railay hain 

Dard ka samundar hai mohabbaton ki baazi main 
Ghamon ki rawani main dard kitnay jhailay hain 

Tum bin adhoori hai zindagi do pal ki hai
Anso'on ky dariya main kis qadar akelay hain 

Na tamaam raston main dushmano ke pehray hain 
Be'wafa zamanay ne khail kaisay khailay hain 

Kis ko maan lain apna ksi se dushmani rakhein 
Is be'basi main gham be'shumaar jhailay hain 


Baat aik lamhay ki hai waqat kab muyassar hai 
Khwaishein hazaron hain hath meray phailay hain 

Aa ky tum hi rakh jayo dil pe hath shoukat keh 
Door reh ky baton se dil kis ky behlay hain 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...