Jun 12, 2014

Tu jo roothi meri palkon pe nami reh jaye gi


Tu jo roothi meri palkon pe nami reh jaye gi
Zindagi bas naam hi ki zindagi reh jaye gi

Tark-e-ulfat ky iraday par zara phir sochiya
Main chala jaon ga tu dekhti reh jaye gi

Yeh nahin kehtay keh tujh bin jee nahin payein gy hum 
Haan hamari zindagi main ik kami reh jaye gi

Piyaar ky sadqay yeh lagta hai hamaray darmiyaan 
aur kuch na bhi raha yeh dosti reh jaye gi 

MAin to teh kar ky chala jayon ga duniya ka safar 
Meray baray main yeh duniya sochti reh jaye gi

Zaat se barh kar hai apni mujh ko apna payara fun 
Main agar na bhi raha yeh shairy reh jaye gi

Mera dost jo mujh se hua tha khafa


Mera dost jo mujh se hua tha khafa

Mudaton baad woh mujh se khud aa kar mila 

Jhooti nafrat ky pathron se jo bana tha qilha

Mohabbat ki kankar;rion ne kiya aaj is ko faana 

Ab qilha koi na tameer ho aisa yahan 

Rab se mangi hai main ne ab yahi dua

Lagay teray bina mujhay saray mousam khizaan 

Kyon keh main tha yahan , aur tu tha wahan 

Ab nazar na lagay hamari dosti ko Ae khuda 

Koi silsala dil main aisa mohabbaton ka chala

Koi kuch bhi kahay hun ne hi suna nahin hai

Bas yahi kamyaab dosti ka hai behtareen dawa
 

Meri nazar se kabhi jo ek dafa dekho

Meri nazar se kabhi jo ek dafa dekhon
Apnay liye pyaar hi pyaar chahat to dekho

Tum ko sab batanay main lagaye gi muddat mujhay 
Ho sakay to her lamhay ko mehsoos kar kay to dekho

Dhoondti hai her taraf dil-e-be'qarari jissay
Aye dil main uss ko kidher kidher ko dekho

Hona na kabhi juda tum mujh se kabhi 
Qabool hotay huye kaash meri dua ko dekho

Nahin chaha hum ne apni chahat ka koi sila 
Bas teri nazar main apnay aap ko dekho

Dil munafiq tha shab-e-hijar main soya kaisa


Dil munafiq tha shab-e-hijar main soya kaisa
Aur jab tujh se mila toot ky roya  kaisa

Zindagi main bhi ghazal hi ka qareena rakha 
Khwaab-dar-khwaab teray gham ko paroya kaisa

Ab to chaheron pey bhi kutbon ka gumaan hota hai 
Aankhain pathrai hui hain  lab-e-goya kaisa

Dekh ab kurab ka mousam bhi na sar'sabaz lagay 
Hijar hi hijar marasam main samoya kaisa

Aik ansoo tha keh dariya-e-nadamat tha faraz 
Dil se be'baak shanawaar ko doboya kaisa

Youn us dil'ruba se meri nazar milay kabhi


Youn us dil'ruba se meri nazar milay kabhi
Apni zubaan se mujhay dil'bar kahay kabhi

Woh meray weham main ,meray gumaan main rahay
Jo raat ky pehar se sehar milay kabhi

Woh mera to kabhi na tha magar aisa laga 
Keh us ky bina zeest bhi abtar lagay kabhi

Yak'sar gum sum hoon apni yaad dashton main 
Us ki gali tak us ka dar youn dikhaye kabhi

Us ka wajood meri rooh main mehlool ho gaya
Rooh ab sab arwaah se akbar lagay kabhi

Kia kushboo ki rangon sy baat ho


Kia kushboo ki rangon sy baat ho
Jo woh na kabhi meray sath ho
Dil na dharkay aur saans tham jaye
Jis shab na tujh se mulaqaat ho

Kitni hi kushiyan aur be'hisaab jashan mana chukay
Youn hum khud ko hi apnay aap se ganwa chukay

MAin aur kiya kahoon
Kon hai jo sunay ga 
Jo bhi nazron se guzar chuka
Woh sab is dil main jazab ho chuka hai 
To dil ko Kuraidoon kis ky liye
Us ky liy jo qadar'daan hai 
Ya un ky liye jo anjaan hain 
Main aur kiya kahoon

Tum chaho to mujhay apnay seenay main chupa saktay ho


Tum chaho to mujhay apnay seenay main chupa saktay ho 
Tum chaho to mujhay apnay dil ki her baat bata saktay ho 
Tum chaho to mujhay sehra se nikaal saktay ho 
Tum chaho to mujhay saiybaan de saktay ho 

Tum chaho to mujhay tapti dhoop se bacha saktay ho 
Tum chaho to mujhay apnay wajood main chupa saktay ho 
Tum chaho to andhairi raat ki chadar parh kar
Tum chaho to ik dia roshni ka jala saktay ho 
Tumhain maloom hain keh yeh zindagi kuch dino ki hai 
Tum chaho to issay hans ky guzaar saktay ho 

Tum chaho to mujhay apni zindagi bana saktay ho
Tum chaho to mujhay apnay seenay main chupa saktay ho 
Tum chaho to mujhay apnay dil ki her baat bata saktay ho

Tum chaho tokiya nahin kar saktay ho 
Tum chaho to sab kuch kar saktay ho

Kar ky mujhay barbaad jo hans rahi thi


Kar ky mujhay barbaad jo hans rahi thi 
Tanhai main baithi woh ro rahi thi

Maloom tha hamain tumhari be'loas mohabbat ka
Rasm-o-riwaaj ki woh laaj rakh rahi thi

Shayed mohabbat main is ky bhool ho gayi
Apni na'dani par shram'saar to thi 

Shayed duniya ne issay sochnay ki mohlat na di 
Mohabbat ky liye bagawaat par tayaar to thi

Kyon hotay hain mohabbat pe rasm-o-riwaaj 
Do dewano ky darmiyaan yeh takraar to thi

Kyon chupkay se woh log dil main utar jatay hain


Kyon chupkay se woh log dil main utar jatay hain 
Jin se qismat ky sitaray nahin miltay

Kyon hamain us logon ki aadat si ho jati hai
Jinhain hum pehli nazar main apna sab kuch maan letay hain 

Jinhain hum na dekhain to hamara din nahin guzarta
Jinhain hum dekhain to hamara dil qaboo main nahin rehta 

Jin ky hum qareeb ho ky bhi un ky hotay nahin 
Aur jin se door ho kay hum juda hotay nahin 

Jo door reh kar bhi kushi detay hain 
Aur jo pass ho kar bhi ghum detay hain 

Phir wohi baat aa jati hai

Kyon chupkay se woh log dil main utar jatay hain 
Jin se qismat ky sitaray nahin miltay


 

Na fikar-e-farda na yaad-e-mazi


Na fikar-e-farda na yaad-e-mazi 

Na chain dil ko na be'qarari

Na wasal ki larzish nazar main 

Na be'basi hijar ky samay ki

Na had se guzar jayein woh

Na be'kali woh pehlay jaisi 

Bas ik udasi hai dheemi dheemi 

Bas ik khamoshi hai be'kraan si

Bas ik be'naam jalan hai 

Bas ik be'dard se thakan hai 

Jo zindagi ky adhooray pan ko

Hadon se aagay barha rahi hai


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...