Jun 13, 2014

Qissy meri ulfat kay jo marqoom hein saary


Qissy meri ulfat kay jo marqoom hein saary

Aa dekh tery naam say mosoom hein saary

Bas is liay her kaam adhora hi parra hay

Khadim bhi meri qoum k makhdoom hein saary

Ab kon mery paaon ki zanjeer ko kholy

Hakim meri basti k bhi mehkoom hein saary

Shayad yeh zarf hy jo khamosh hon ab tak

Warna to tery aeib bhi maloom hein saary

Sab jurm meri zaat sy mansoob hein "mohsin"

Kiya mery siwa shehr main masoom hein saary

Qareeb aa k boht door ho gaya woh shakhs


Qareeb aa k boht door ho gaya woh shakhs

Na jane kon si dunya mein kho gia woh shakhs

khyal-o-khawb ki ta'abeer mujhe samjha kr

Meri hi zaat mein mujh ko dabo gia woh shakhs

Main apne hijar ki raton mein rang kese bharon 

Mujhe jaga kr sar-e-sham so gia woh shakhs

Lafaz adhooray lagtay hain her baat adhoori lagti hai


Lafaz adhooray lagtay hain her baat adhoori lagti hai
Chaand bhi nahin nikla yeh raat adhoori lagti hai

Baras rahay hain badal meray aashiyaanay par qehar ki tarah
Abhi toota nahin makaan merabarsaat adhoori lagti hai 

Kab tak sahara dain gi umeedain meri sansoon ki 
Milta nahin koi meherbaan yeh kainaat adhoori hai 

Milti hain kushiyaan bhi mujhay lamhon ky wastay 
Gar gham hi muqadar hain to yeh soghaat adhoori hai 

Kis se gil akaroon kon sunay ga meri daastan-e-tanhai 
Likha tha jis par mera naseeb woh kitaab adhoori lagti hai

Faslay aisay bhi hoon gy kabhi socha na tha


Faslay aisay bhi hoon gy kabhi socha na tha 
Samnay baitha tha meray aur woh mera na tha 

Woh kushboo ki tarah phaila tha maeray chaar soo
Main ussay mehsoos kar sakta tha choo sakta na tha 

Raat bhar pichli si aahain kaan main ati rahi 
Jhaank kar dekha gali main koi bhi aya na tha 

Aaj us ne dard bhi apnay alehida kar liye 
Aaj to main roya to meray sath woh roya na tha 

Yeh sabhi veeranian us ky juda honay se hain 
Aankh dhund'li hui tha shaher dhund'laya na tha 

Tu ne agiyaar se mehfil ko saja rakha hai


Tu ne agiyaar se mehfil ko saja rakha hai 
Main khud sy bhi magar khud ko bacha rakha hai 

Kiya hua jo tu meray sath nahin chal sakta 
Hamsafar yaad ky jhonkon ko bana rakha hai 

Umar bhar sath na chorain gy sada chahein gy 
Sirf alfaaz thay , Alfaaz main kiya rakha hai 

Be'waja main ne giribaan ko nahin chaak kiya 
Sang tu ne bhi hathon main utha rakha hai 

Thi farazaan kabhi ik shaam-e-mohabbat jis main 
Mujh ko dewana us dil ne bana rakha hai 

Dam'bakhud dekh raha hai woh meray daaman ko 
Meray daaman main to bas khwaab-e-wafa rakha hai

Ghairon ko dard sunanay ki zaroorat kiya hai


Ghairon ko dard sunanay ki zaroorat kiya hai 
Haal-e-dil sab ko batanay ki zaroorat kiya hai 

Na mitta pao gy tum dil se mera naam kabhi 
Phir kitabon se mitanay ki zaroorat kiya hai 

Youn to umar kam hai mohabbat ky liye 
Rooth kar waqat ganwanay ki zaroorat kiya hai 

Jab mohabbat ka sila milta nahin logon se 
Unhain is qadar toot ky chahnay ki zaroorat kiya hai

Itni muddat baad mile ho , kin sochon main gum phirtay ho


Itni muddat baad mile ho , kin sochon main gum phirtay ho 
Itnay khaif kyn rehtay ho , her aahat se dar jatay ho 

Tez hawa na pooch mujh se , rait pe kiya likhti rehti ho 
Kaash koi hum se yeh bhi poochay , raat bhar tak kyon jagti ho 

Kaisay kahon main khali hoon tujh bin Ae dost meray 
Saya ban kar sath meray , Her pal tum to rehtay ho 

MAin dariya se darti hoon , tum dariya se bhi gehray ho 
Kon si baat hai tum main aisi , itnay achay kyon lagtay ho 

Meray jazbon se kabhi , kabhi meray khyalon se ulajtay ho 
Kehnay ko rehtay ho dil main , phir bhi kitnay door rehtay ho 

Dhrakta hai dil mera bas ab teray hi naam par
Jaan maeri tum meray dil main dharkan ban kar rehtay ho 

Hum se na poocho hijar ky qissay , apni kaho tum kaisay ho 
Tum ziddi bhout ho , jaisay ho , phir bhi achay lagtay ho 

Agar mohabbat meri sachi hai to ik din zaroor mila dy gi


Agar mohabbat meri sachi hai to ik din zaroor mila dy gi 
Agar zid meri pakki hai to Ae khuda asmaan ko bhi hila day gi

Nahin inkaar kar sakta hai koi meri wafa se , mujhay yaqeen hai 
Par tum sambhalna ik din meri wafa tujhay be'wafai ka sila dy gi

Yeh baat sacha hai keh tum ne ham se pyaar kiya par doosray hi pal bhula diya 
Mera piyaar itn aasaan to na socha tha keh teri mohabbat daga dy gi 

Na bhula sakon gi woh mohabbat na woh be'wafai , jo tu ne ki 
Saza is se barh kar kiya day gi keh umar bhar meri mohabbat tujhay dua dy gi 

Agar dam hai meri wafa-e-mohabbat main to woh ik din , aye ga zaroor 
Jab meri yaad main tu tarpay ga par tab tujhay apni mohabbat na doon gi 

Tum ko chahatay huwey bhi bhool jana acha laga


Tum ko chahatay huwey bhi bhool jana acha laga
Ansoon ko chupa kar muskurana acha laga

Tum ajnabi thay meray liye magar apna jaan kar acha laga
Pehchaan to ik pal ki thi , magar sadiyon se jaan kar acha laga

Khwabon main yadon main tum thay magar tum ko bhulana acha laga
Meri rooh ka ik hissa thi magar khud se juda karna acha laga

Meri zindagi ka sarmaya thi magar tum ko lutana acha laga
Meray ansoon ka sawan thi magar tum ko barsana acha laga

Meri kushiyon ka jahan thi magar tum ko mitana acha laga
Khud ko bhool jana aur tum ko yaadkarn aacha laga

Sab khwaishon ko mitana sirf tumhain pana acha laga
Logon ky kehnay main ana aur sab kuch bhulana bolo kissay acha laga

Yeh to rasm-e-duniya hai issay nibhana acha lagta hai

Aye ho thora baitho , ek raaz ki baat batatay hain



Aye ho thora baitho , ek raaz ki baat batatay hain
Tum samjho ya na samjho phir bhi tum ko samjhatya hain 

Jee kar ky naam kamana to aksar logon ko ata hai 
Kuch aisay log bhi hotay hain jo mar kar naam kamatay hain 

Pehlay to piyaar ki batain woh sharma sharma batlatay hain 
Ab haal-e-dil ky afsanay batla ky sharmatay hain 

Pehlay woh gussay main aksar ruk ruk kar chal parthay hain
Ab meray khayalon main shayed chalte chalte ruk jatay hain 

Maloom nahin dil ki dharkan seenay main hai ya mehfil main 
Lakin hum un ky jatay hi be'chain bhout ho jatay hain 

Koi dhoondo us shair ko jis ne chand achay shair likhay 
Likhtay likhtay waisay aksar khud main hi gum ho jatay hain 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...