Jun 22, 2014

Tujhay her baat pe meri zaroorat parti


Tujhay her baat pe meri zaroorat parti 

Kaash main bhi aik jhoot hota

Aaj main khud se ho gaya mayoos


Aaj main khud se ho gaya mayoos 

Aaj ik yaar mar gaya mera

Main bhi bhout ajeeb hoon


Main bhi bhout ajeeb hoon , itna ajeeb hoon keh bas

Khud ko tabbah kar liya aur malaal bhi nahin

Woh mujhay zindagi samjhta hai


Woh mujhay zindagi samjhta hai 

Kiya ussy mera aaitabaar nahin

Ab Kis khwaab ki tabeer mangatay ho tum duaon main


Ab Kis khwaab ki tabeer mangatay ho tum duaon main 

Woh judai ka khwaab to poora ho chuka

Tum bin jiya jaye kaisay


Tum bin jiya jaye kaisay 
Kaisay jiya jaye tum bin 
Sadiyon se lambi hain raatein 
Sadiyon se lambay huwey din
Aa jao loat kar tum 
Yeh dil keh raha hai 
Phir shaam-e-tanhai jagi 
Phir tum yaad aa rahay ho 
Phir jaan nikalnay lagi
Phir mujh ko tarpa rahay ho 
Is dil main yaadon ky mele hain 
Tum bin bhout hum akelay hain 
Aa jao loat kar tum 
Yeh dil keh raha hai 
Kiya kiya na socha tha main ne 
Kiya kiya na sapnay sajaye 
Kiya kiya na chaha tha dil ne 
Kiya kiya na armaan jagaye
IS dil se toofan guzartay hain 
Tum bin jeetay na martay hain 
Aa jao loat kar tum 
Yeh dil keh raha hai

Hum aksar nikal jatay hain biyabano main abaas


Hum aksar nikal jatay hain biyabano main abaas 

Suna hai wafa wale tanhai main rehtay hain

Tum se be'wafai ka koi gila nahin hai


Tum se be'wafai ka koi gila nahin hai

Hum to faqat apna raqeeb dhoondty hain

Aya tha ik shakhs meray gham bantany


Aya tha ik shakhs meray gham bantany 

Rukhsat hua to apny bhi gham dy gaya mujhay

Tum yaad nahin kartay to hum gila kiyon karain


Tum yaad nahin kartay to hum gila kiyon karain 

Suna hai khamoshi bhi ik ada hai mohabbat nibhany ki
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...