Jul 16, 2014

Hoti hai laakh gham ki dawa neend bhi magar


Hoti hai laakh gham ki dawa neend bhi magar 

Hotay hain aisay gham bhi keh sonay nahin detay

Ay ishq tujhy khuda ka waasta ya yaar day ya maar day


Ay ishq tujhy khuda ka waasta
Ya yaar day ya maar day
Us ka payar nahi to mujhy kaza day day
Khuda meri zindagi ko parda day day
Main bus nahi paya jis k dil mein
Us shakhs ko mery dil mein jaga day day
Gar usko chahna khata he meri
Phir shauq se tu mujh ko saza dy dy
Ya to mein jee sakoo us k bagher
Ya mujhy chahny ke us ko waja day day
Gar ho saky to mujhy kaafir kar de
Nahi to mujhko tu mera dost dy dy
Apni surat main uska chehra nazar aaye
Ya khuda mujhko tu aisa aaina dy dy
Ya bhuja day chiragh meri raaho k
Ya mujhe meri manzil ka pata dy dy
Jane kiun dam nahi nikalta mera
Ay ishq tujhy khuda ka wasta 
ya yaar dy dy ya maar dy dy

Sharaab rab ne haraam kar di


Sharaab rab ne haraam kar di 

Magar kiyon rakhein halaal aankhein ?

Un kay husan-o-jamaal pe yaaro


Un kay husan-o-jamaal pe yaaro 

Kaalay kapray kamaal kartay hain

Mohabbat karnay wale kam na hon gay


Mohabbat karnay wale kam na hon gay
Teri mehfil main lakin hum n hon gay 

Main aksar sochta hoon phool kab tak 
Shareek-e-giriya-e-shabnam na hon gay 

Dilon ki uljhanain barhti rahain gi 
Agar kuch mashwaray baaham na hon gay 

Zamanay bahr ke gham ya ik tera gham 
YEh gham ho ga to kitnay gham na hon gay 

Hamaray dil main sail-e-gariya ho ga 
Agar ba'deeda-e-pur'nam na hon gay 

Agar tu itafaaqan mil bhi jaye 
Teri furqat ke sadmay kam na hon gay 

"Hafeez" un se main jitna bad'gumaan hoon 
Woh mujh se is qadar barham na hon gay 

Poet : Hafeez Hoshiyaar Poori

Khyaal-o-khwaab se harf-o-biyaan se baahir aa


Khyaal-o-khwaab se harf-o-biyaan se baahir aa

Tu mujh sam'aait meray jism-o-jaan se baahir aa

Jhulas rahay hain hamaray wajood kis liye 

Yeh jana'nay kay liye sayibaan se baahir aa

Kabhi to tor ta'salsul  udaas raaton ka 

Kabhi to meray liye keh'kashaan  se baahir aa

Poet : Ashfaaq Babar

Aashiyaane ki baat kartay ho dil jalanay ki baat kartay ho


Aashiyaane ki baat kartay ho 
Dil jalanay ki baat kartay ho 

Sari duniya ke ranj-o-gham de kar 
Muskuraanay ki baat kartay ho 

Hadsa tha guzar gaya ho ga 
Kis kay jaanay ki baat kartay ho 

Hum ko apni khabar nahin jana 
Tum zamanay ki baat kartay ho 

Poet : Javaid Qureshi

Ashaar meray youn to zamanay kay liye hain


Ashaar meray youn to zamanay kay liye hain 
Kuch shair faqat un ko sunanay kay liye hain 

Ab yeh bhi nahin theek keh her dard mitta dain 
Kuch dard kalajay se laganay kay liye hain

Aankhon main jo bhar lo gay to kaanton se chubhain gay 
YEh khwaab to palkon pe sajanay kay liye hain 

Dekhon teray hathon ko to lagta hai  teray haath 
Mandar main faqat deep jalanay kay liye hain 

Yeh ilam ka soda ,yeh risaalay ,yeh kitaabain  
Ik shakhs ki yaadon ko bhulanay kay liye hain

Poet : Jaan Nisaar Akhtar

Bara ehsaan hum farmaa rahay hain


Bara ehsaan hum farmaa rahay hain 
Keh un ke khat unhain lota rahay hain 

Nahin tark-e-mohabbat par woh raazi 
Qayamat hai keh hum samjha rahay hain 

YEh mat bhoolo keh yeh lamhaat hum ko 
Bicharnay kay liye milwa rahay hain 

Kisi surat inhain nafrat ho hum se 
Hum apnay aaib khud ginwaa rahay hain 

Daleelon se ussay qayal kiya tha 
Daleelain de ke ab pachtaa rahya hain 

Teri baanhon se hijrat karnay wale
Naye mahool main ghabraa rahay hain 

Ajab kuch rabt hai tum se keh tum ko 
Hum apna jaan kar thukraa rahya hain 

Woh paagal mast hai apni wafa main 
Meri aankhon main aansoo aa rahay hain

Tum bhi jo khareedo gay to mil jaye ga tum ko


ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

 Tum bhi jo khareedo gay to mil jaye ga tum ko 

Her shakhs ke biknay ka hai andaaz niraala 

Hum apni Aanaon ka gala ghont dain khud hi

Denay hamain aya hai woh aizaaz niraala

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...