Jul 31, 2014

Ab bhi aksar shab-e-tanhai main kuch tehreerain


Ab bhi aksar shab-e-tanhai main kuch tehreerain 

Chand kay aks se ho jaati hain roshan roshan

Hum kisi aur kay ho to jayein


Hum kisi aur kay ho to jayein 

Almiya yeh... keh dil tumhara hai

Yeh charcha jo hamaray naam ka hai ....!


Yeh charcha jo hamaray naam ka hai ....!

Tumharay ishq ka sadqa hai saahib........!

Ishq itnay qareeb se guzra


Ishq itnay qareeb se guzra 

Main yeh samjha keh ho chuka mujh ko

Raat kholay thay kuch puraanay khat


Raat kholay thay kuch puraanay khat 

Phir mohabbat daraaz main rakh di

Tujhay dekhaye bina veeran ho jaata hoon


Tujhay dekhaye bina veeran ho jaata hoon 
Apni haalat pe main hairaan ho jaata hoon 

Dhoondta rehta hoon her chehray main tera chehra 
Aur phir khud hi pashimaan ho jaata hoon 

Ab kay bichray to khwabon main bhi na mil payein gay 
Bas isi gham se parishaan ho jaata hoon 

Jaan keh kar jo bulaatay ho to ae jaan-e-jahan 
Sari duniya se main anjaan se ho jaata hoon 

Likhtay likhtay teray osaaf pe nazmain humdam 
Teri hasti ka main unwaan sa ho jaata hoon 

Jab bhi haathon ki lakeeron pe nazar parti hai
MAin adhoora koi armaan sa ho jaata hoon 

Kabhi ruk gaye kabhi chal diye , kabhi kabhi bhatak gaye


Kabhi ruk gaye kabhi chal diye , kabhi kabhi bhatak gaye

Youn hi umar sari guzaar di youn hi zindagy kay sitam sahay 

Kabhi neend main kabhi hosh main tu jahan mila tujhay dekh kar 

Na nazar mili na zubaan mili youn hi sar jhuka kay guzar gaye 

Kabhi zulf par kabhi chasham par kabhi kabhi teray haseen wajood par 

Jo pasand thay meri kitaab main woh shair saray bikhar gaye 

Kabhi arsh par kabhi farsh par kabhi un kay dar kabhi dar-ba-dar 

Gham-e-aashqui tera shukriya ham kahan kahan se guzar gaye

Parveen Shakir

Mery ishq Dey vich Mashkook na Ho




Mery ishq Dey vich Mashkook na Ho

Nai aj tak Ghalat Nigah kiti

Teri har Mulakat main inj kiti

Jiven Musa nal Khuda kiti

Nai kita fark teri Pooja vich

Nai lokan di Parwa kiti

Ik tenu Rub nai keh Saky

Baki sari Rasm ada kiti

Tery nal hayati la chaddi

Das kis ne inj wafa kiti

Bully Shah


Bully Shah

Mery ishq Dey vich Mashkook na Ho

Nai aj tak Ghalat Nigah kiti

Teri har Mulakat main inj kiti

Jiven Musa nal Khuda kiti

Nai kita fark teri Pooja vich

Nai lokan di Parwa kiti

Ik tenu Rub nai keh Saky

Baki sari Rasm ada kiti

Tery nal hayati la chaddi

Das kis ne inj wafa kiti

Woh nahin hotay aqal kay tabeh


Woh nahin hotay aqal kay tabeh

Ishq jin ka asool ho jaye




Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...