Sep 7, 2014

Main so gaya hoon kisi ki nishaaniyaan lay kar


Chaman se yeh kon chala khamoshiyaan lay kar 
Kali kali tarap uthi hai siskiyaan lay kar 

Kafan mera na hataa'o zamana dekh na lay
Main so gaya hoon kisi ki nishaaniyaan lay kar 

Tamasha dekh rahay thay jo doobnay ka mere 
Meri talaash main niklay hain kashtiyaan lay kar 

Jo raat din mere marnay ki dua kartay thay 
Aaj wohi ro rahay hain hizhkiyaan lay kar 

Labon pe jaan hai aur kitna tarpaao gay


Meri saans tum se jurri hai kab aayo gay 

Labon pe jaan hai aur kitna tarpaao gay 

Mere bin chain nahin mile ga tumhain 

Mujhay chor kar tum bhi pachtaao gay 

Jaata waqat nahin teharta kisi kay liye 

Aakhir kab tak tum mujhay azmaao gay 

Do aansoo do phool qabar par charhaa jana 

Shayed itna hi tum mere liye kar paao gay 

Bujhay bujhay se chraghon main roshni ayi


Tere jamaal se her shai main zindagi ayi 
Bujhay bujhay se chraghon main roshni ayi

Is ka naam hai shayed mazaaq-e-aaina 
Mujhay khud apnay khad-o-khaal par hansi ayi 

Woh mujh se toot kay jab mud'daton kay baad mila
Chamak nigah main chehray pe taazgi ayi 

Gharaz ka chehra kabhi saaf nahin ho sakta 
Isi liye tere ikhlaas main kami ayi 

Woh tera qurb tha ya ik haseen lamha tha 
Meri hayaat main jis waqat roshni ayi 

Apnay ujaar ghar main lagay , kiya bhalay chraagh


Roshan kiya jo dil ne kabhi din dhalay chraagh 
Apnay ujaar ghar main lagay , kiya bhalay chraagh 

Shayed mere wajood ka suraj tha shaher main 
Main bujh gaya to kitnay gharon main jalay chraagh 

Dariya ki teh main kitnay sitaaron ka aks tha 
Paani kay saath saath kahan tak chalay chraagh 

Aye subho ki shareer kiran in ka ehtraam 
Teh kar gaye hain shab kay sabhi marhalay chraagh 

Kiyon kar na hum bujhaein tujhay mil kar , keh bazam main 
Suraj tera badan hai to hum dil jalay chraagh 

Mohsin woh dhoondta tha kissay pichli raat ko 
Aankhain hawa ki zad main thein , daaman talay chraagh

Woh bujha chaand kis kay ghar tehray


Jis ki qismat hi dar'ba'dar tehray 
Woh bujha chaand kis kay ghar tehray 

Umar guzri sanwaartay dil ko 
Kaash woh dil main lamha bhar tehray 

Us se kiya poochna safar ki thakhan 
Jis ki manzil hi raah'guzar tehray 

Us ki qeemat , azaab suraj ka 
Woh sitaara jo ta'sehar tehray 

Us ki aankhain udhar gayi hi nahin 
Log kiya kiya n amor pe tehray 

hum se kaisa ha;zer hawa-e-safar 
Hum to gird-e-raah-e-safar tehray 

Jhuk kay choomay na kiyon falak Mohsin 
Jab seenay par kisi ka sar tehray

Aisa kartay hain keh mar jaatay hain


Habs-e-duniya se guzar jaatay hain 
Aisa kartay hain keh mar jaatay hain 

Kaisay hotay hain bicharnay wale
Hum yeh sochain bhi to dar jaatay hain 

Dil jo tootay to sar-e-mehfil bhi 
Baal be'wajha bikhar jaatay hain 

Ab na dekho meri banjar aankhain 
Chartay dariya to utar jaatay hain 

Dhoop ka roop rachnay wale 
Shaam ko aur nikhar jaatay hain 

Ab na mur mur kay pukaaro un ko 
Log rastay main tehar jaatay hain 

Khaali daaman se shikayat kaisi 
Ashk aankhon main to barh jaatay hain 

Tum kahan jaao gay socho Mohsin
Log thak haar kay ghar jaatay hain 
 



Mujhe wadoon ki khaali seephiyaan achi nahe lagtein


Shakista aaiyon  ki kirchiaan achi nahin lagtein
Mujhe wadoon ki khaali seephiyaan achi nahe lagtein


Guzishta rutt kay rangon ka asar dekho keh ab muj ko
Khuley aangan main urrti tittliyan achi nahe lagtein


Woh kia ujaar nagar tha jiss ki chahat kay sabab ab tak
Harri baaliyon say uljee tehni'yaan achi nahin  lagtein


Dabhay paa'on hawa jin kay chiraghoon say bahelthi hoo
Mujhe aisay gharoon ki khirkiyaan achi nahe lagthein


Bhaley lagtey hein toofaano say lartey baadbaan mu jko
Hawa kay rukh pe chalti kashtiyaan achi nahin  lagtein


Yeh keh kar aaj ussey bhi taaluq torr aya hoon
Meri jaan muj ko ziddi larkiyaan achi nahe lagtein


Kisi ghar mein rassn basta rahen jo raat din mohsin
Mujhay akser woh sehmii hirniyaan achi nahe lagtein

Ghazal ka kiya hai sarzard hui , hui na hui


Khyaal main teri aamad hui , hui na hui
Ghazal ka kiya hai sarzard hui , hui na hui 

Tu apnay ehad-e-jafa kay uffaq sambhaal zara 
Meri wafa ki koi had hui , hui na hui 

Tere mizaaj-e-sakhawaat ki bar'hami qayem 
Meri dua pe na radd hui , hui na hui 

Tu aasmaan pe kahin nasab kar khaam-e-khyaal
Meri zameen meri masnad hui , hui na hui 

Yeh zindagi meri apni hai , jis tarah bhi kattay 
Raheen-e-aqs-e-aab  wajd hui , hui na hui 

Kuch aur dheer ba'rakhnay do aansoon kay chraagh 
Yeh roshni sar-e-mar'qadh hui , hui na hui 

Bhout hai us ki nazar , is taraf uttay to sahi 
Mataa-e-daaman-e-maqsad hui , hui na hui 

Jissay maqaam-e-raza ki khabar nahin mohsin 
Ussay ziyaarat-e-mush'had hui  , hui na hui 


Shaamil hai woh shakhs meri ruswai main


Jis ko aksar socha tha tanhai main 
Shaamil hai woh shakhs meri ruswai main 

Mujh se mat poocho woh chehra kaisa tha 
Doob gaya main aankhon ki gehraai main 

Jaagtay rehnay ki kitni targheebain thein 
Us ki boojhal thakki hui angraai main 

Tujh se aankh milaana kitna mushkil hai 
Warna suraj ghul jayein beenai main 

Pyaar bhi karta hai woh be'parwaahi se
Naadaani ka rang bhi hai daanai main 

Woh ik pal ko rota to mehsoos hua 
Jaisay beet gaya ik saal judai main 

Jaao apnay jaisay log talaash karo 
Kiya paao gay mohsin se harjaayi main 

Hum bhi chup chaap phira kartay thay


Jab teri dhun main jiya kartay thay 
Hum bhi chup chaap phira kartay thay 

Aankh main pyaas hua karti thi 
Dil main toofan utha kartay thay 

Log aatay thay ghazal sunnanay ko 
Hum teri baat kiya kartay thay 

Sach samit'tay thay tere wadon ko 
Raat din ghar main raha kartay thay 

Kisi veeranay main tujh se mil kar 
Dil main kiya phool khila kartay thay 

Ghar ki dewaar sajanay kay liye
Hum tera naam likha kartay thay 

Woh bhi din thay bhulaa kar tujh ko
Hum tujhay yaad kiya kartay thay 

Jab tere dard main dil dukhta tha 
Hum tere haq main dua kartay thay 

Bujhnay lagata jo chehra tera 
Daagh seenay main jala kartay thay 

Apnay jazbon ki kamandon se tujhay 
Hum bhi taskheer kiya kartay thay 

Apnay aansoo bhi sitaaron ki tarah 
Tere honton pe saja kartay thay 

Chairta tha gham-e-duniya jab bhi 
Hum tere gham se gilla kartay thay 

Kal tujhay dekh kay yaad aya hai 
Hum sukh'noor bhi hua kartay thay 


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...