Sep 22, 2014

Sard raaton ki bheegi tanhai


Akela december 

Sard raaton ki bheegi tanhai 
Barsaati boond kay chootay hi 
Sulagta sa badan 
Beeti yaadon 
Beetay lamhon main 
Sulagta hua dil
Youn guzray saal kay saaray dukh 
aur saaray gham 
Akela aik december seh leta hai

Ussay to mit hi jaana tha


December kay haseen din thay 

Murre ki yakh fizaon main 

Hamaray chaar haathon nain 

Mujasma ik banaya tha 

Kaha tha ek doojay ko 

Nishaani pyaar ki apni 

Bari hi khoobsurat hai 

Mujhay ab yaad aata hai 

Mujasma barf ka tha woh 

Ussay aakhir pighlna tha 

Ussay to mit hi jaana tha 

Ussay to mit hi jaana tha


Suno december ussay mila do


Nayi hikayat mohabbaton ki , shikayaton ki 
Bujhay bujhay se haroof lay kar 
Kohar main doobi seyah aahon kay
Warq warq pe utaarna hai 
Udaas shaamon kay phool chun kar 
Suno december 
Ussay pukaaro
Ussay bulaao 
Suno december , ussay mila do 
Ab is se pehlay keh saans niklay 
Ab is se pehlay keh saal guzray 
Woh lakeerain wohi sitaara 
Meri lakeeron main qaid kar do 
Yeh aakhri shab kay aakhri pal 
Koi bara ikhta'taam kar do 
Yeh zindagi bhi tamaam kar do 
Suno december ussay mila do 
 
 

Kohar main lipti dhundli se subhain



December ki tha'tharti hui shaamain 

Kohar main lipti dhundli se subhain 

Dharkano se girtay huye 

Khushk zard pattay 

Woh gaaon kay tamaam raastay 

Khyaal abaad kartay hain 

Tumhain sab yaad kartay hain

Tumhain sab yaad kartay hain


December ki tha'tharti hui shaamain 

Kohar main lipti dhundli se subhain 

Dharkano se girtay huye 

Khushk zard pattay 

Woh gaaon kay tamaam raastay 

Khyaal abaad kartay hain 

Tumhain sab yaad kartay hain

December aur january


Her saal january hamain kuch sapnay dikhaati hai 
Jis ko poora karnay main 
December aa ponchta hai 
Zindagi aur akheer bhi maano 
Umar kay january aur december hain 
Zindagi ki january bhi jo khwaab dikhaati hai 
Aadmi umar bhar us ko poora karta rehta hai 
Aur umar ka december aan ponchta hai 
Aur saal ki tarah 
Saans bhi khatam ho jaati hai

Bas itna yaad hai


Kuch neem gham main 

Aaj tum ne phone kiya aur na hi koi mail 
Din bhar tumharay phone ka intizaar raha 
Phir majbooran main ne khud hi kar liya 
Tumhain bura to nahin laga ... jana 

Bas itna yaad hai 

Chaandni shab thi
Hawa bhi sard thi 
Kuch bhi zehan main nahin 
Bas itna yaad hai 
Tumharay kandhay pe mera sar tha 
Aur meray kandhay pe tumharay baazu 

Haan yahi december hai

December

Sunehri shamain 
Thar'thrati raatain 
Mehakti coffee
Woh bheeni khushboo

Khamosh kamra 
Aatish'daan sulagta 
MAin aur
Teri yaadon ki khushboo
Haan yahi december hai 

December kay guzartay hi


Ussay kehna december aa gaya hai 
December kay guzartay hi 
Baras aik aur manzil ki ghupa main doob jaye ga 
Ussay kehna december loat aya ga 
Magar jo khoon so jaye ga jismon main na jaye ga 
Ussay kehna hawaein sard hain 
Aur zindagi kay kohray dewaaron main larzaan hain 
Ussay kehna shagoofay tehniyon main so rahay hain 
Aur un par barf ki chadar bichi hai 
Ussay kehna agar suraj na niklay ga 
To kaisay barf piglay gi 
Ussay kehna 
Keh 
Loat aye 

Aur main tha keh kinaray ko na choo saka


Sab log thay manzil ko rawaan dawaan 
Aur main tha keh kinaray ko na choo saka
Meri chashm-e-nam hoyein bhi gar 
Mujhay khumaar-e-qalab na poncha saka 
Meri khwaishon ki imaartain 
Veeraan bastiyon main satoon milay
Meri aik aik jo dewaar thi 
Ussay phir se tameer na kar saka
Meray chaman main jo khizaan ayi 
Ussay moj-e-bahaar na dila saka
Meray dast-ba-dast main jo dhool thi 
Ussay aik hi aah ne urra diya 
Meray aainay main jo tasveer thi 
Ussay rooh-e-emaan na dila saka
Meri naao thi keh moujon main rawaan dawaan 
Aur main tha keh kinaaray ko na chu saka
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...