Urdu and English Poetry of famous authors, short poetry, two liners and complete Ghazals and Nzams & Many More ...
Sep 25, 2014
Aaj sharminda hain wafayein bhi tujh se
Ae jaan-e-wafa
Aaj sharminda hain wafayein bhi tujh se
Naraaz hain jafaein bhi tujh se
Sab behr-o-bar keh rahay hain
Kiya kieya tu ne
Aik dil tor diya nazuk sa
Kaach ki tarah ka sa tha
Moom ki tarah pighal gaya
Sirf
Teri
Aik nazar-e-be'rukhi se
Ab be'chain hain
Kuch khataein kuch sazaein
Chalo jaana
Apnay apnay hissay ki
Sazaein chun lain
Kuch un'chahei wafaon ki tamana main
Chalo jaana
Chalo jaana
Ae jaan-e-wafa
Aaj sharminda hai wafayein bhi tujh se
Naraaz hain jafaein bhi tujh se
Sab behr-o-bar keh rahay hain
Kiya kieya tu ne
Aik dil tor diya nazuk sa
Kaach ki tarah ka sa tha
Moom ki tarah pighal gaya
Sirf
Teri
Aik nazar-e-be'rukhi se
Ab be'chain hain
Kuch khataein kuch sazaein
Chalo jaana
Apnay apnay hissay ki
Sazaein chun lain
Kuch un'chahei wafaon ki tamana main
Chalo jaana
Jaan lo wafa nahin milti
Wafa dhoondnay walo
Kabhi sehra ki rait chaani hai
Kabhi sagar ki lehron ko gina hai
Kabhi aasmaan kay taaron ko shumaar kiya hai
Nahin
To
Jaan lo wafa nahin milti
Zindagi se
Sanam ki zulfon se
Wafa milti hai
To
Sirf aur sirf
Dhalti shaam se
Utartay samandar se
Gehri chalti tareeki-e-shab se
Dil main sulagti aatish-e-ishq se
Aur
Wafa milti hai
Raah-e-adam pe
To
Ae mutlaashi-e-wafa
Chal orh lay matti ki chadar
Aur gum ho ja amar hoti wafaon main
Aag barsaati hai teri haseen muskaan
Kaali qaba main lipta us ka haseen wajood
Tarpaa jaye khilti kaliyon ko bhi
Chaandni jo bikharti hai teri galiyon main
Sharma jaye hai tera haseen mukh dekh kar
PAr
Janaa
Dil-e-sharminda nadaan hai teri wafaon pe
Jo rang badal jayein mousam ki tarah
Ab
Aag barsaati hai teri haseen muskaan
Sholay sulgaati hain teri haseen jheel si aankhain
Par barastay hain lafzon ki surat
Teray gulaab pankhriyon se labon se
Mohabbat main jafa kiyon milti hai
Us ne aik din poocha
Mohabbat main jafa kiyon milti hai
Kisi ki chahat main saza kiyon milti hai
Ulfat main dukhon ki rida kiyon milti hai
Main muskura diya
Aur us ki jheel si
Aankhon main dekh kar sirf itna kaha
Be'wafa ki zameen pe wafa nahin palti
Sehraa ki rait main sawan ki mehak nahin milti
Aur phir woh chup ho gaya
Shayed ussay meray ashkon main apna aks dekhai diya
Woh sharma kar baadlon ki oot main ja baitha
Chaand ne poocha mujh se
Sabab meri udaasiyon ka
MAin muskuraa diya
Aur
Faqat itna kaha
Mera chaand kho gaya hai
Woh bola
Kiya tera chaand bhout haseen hai
Jo tu youn ghamgeen hai
Do ashk hathali pe meray giray
Aur
Woh baadlon main chup gaya
Sabab udaasiyon ka woh kiya jaanay
Meray chaand ka aks meray ashkon main dekha
To
Woh sharma kar baadlon ki oot main ja baitha
Kal shab hum apni justagoo main niklay
Soch kay safar main niklay
Kal shab hum apni justagoo main niklay
Bhout door talak ghubaar hi ghubaar tha
Koi bhi nishaan koi chehra saaf na tha
Bas aankh main nami aur labon pe muskaan thi
Tujhay janaa talaash kiya kartay
Hum to khud hi gumshuda thay
Anjaani raahon ki musaafir tehray thay
Anjaam to yeh hona hi tha
Socho keh safar main kitnay karb'naak unwaan niklay
Sab hi teri zaat-e-be'misaal se mansoob niklay
Ab to loatna bhi mohaal tha
Soch kay is safar main faqat sood-o-ziyaan hi tha
KAbhi tum meray mehboob thay
Kabhi tum meray maqsood thay
Kabhi tum meray ghroor thay
KAbhi tum meray mehboob thay
Woh waqat guzar gaya
Charha dariya bhi utar gaya
Woh jo deep teray naam kay jalay thay
Bujh gaye
Woh jo hawa main mehak teri chahat ki thi
BAdal gaye woh bhi maanind-e-simat-e-hawa
Tum to ruk gaye thay raah main
Hum ghubaar-e-raah main kho gaye
Tum ko wafa raas na ayi
Hum jafa bhi hans kar seh gaye
Tum ne palat kay bhi nahin dekha waqat-e-rukhsat
Hum ne to apni aankhain hi rakh di thein wahaan
JAhan teray aanchal ne unahin chua tha
Aye ba'wafa
KAbhi jo palatna to dihaan rakhna
Raah main woh aankhain bichi hon gi
Teri aik deed ko tarasti hui be'qaraar aankhain
Kabhi tum meray ghroor thay
Kabhi tum meray maqsood thay
Kabhi tum meray ghroor thay
KAbhi tum meray mehboob thay
Woh waqat guzar gaya
Charha dariya bhi utar gaya
Woh jo deep teray naam kay jalay thay
Bujh gaye
Woh jo hawa main mehak teri chahat ki thi
BAdal gaye woh bhi maanind-e-simat-e-hawa
Tum to ruk gaye thay raah main
Hum ghubaar-e-raah main kho gaye
Tum ko wafa raas na ayi
Hum jafa bhi hans kar seh gaye
Tum ne palat kay bhi nahin dekha waqat-e-rukhsat
Hum ne to apni aankhain hi rakh di thein wahaan
JAhan teray aanchal ne unahin chua tha
Aye ba'wafa
KAbhi jo palatna to dihaan rakhna
Raah main woh aankhain bichi hon gi
Teri aik deed ko tarasti hui be'qaraar aankhain
Subscribe to:
Posts (Atom)