Oct 3, 2014

Hum dono jhuk bhi saktay hain

Mehsoor-e-talatum aaj bhi ho 

go tum ne kinaaray dhoond liye 

Toofaan se sambhlay hum bhi nahin 

Kehnay ko sahaaray dhoond liye 

Khamosh se hum tum , mohr-e-ba'lab 

Jug beet gaye , tak baat kiye

Sunn ! khail adhoora chortay hain 

Bina chaal chalay , bina maat ginnay 

Jo bhaagtay bhaagtay thak jayein 

Woh saye ruk bhi saktay hain 

Chalo toro qasam , iqraar krain 

Hum dono jhuk bhi saktay hain 

Ik pal kay naam ho jaanay ko


Chal chaltay hain us paar sanam 

Jahaan lehron ki khamoshi ho 

Jahaan saanson ki madhoshi ho 

Jahaan jazboon ki be'hoshi ho 

Jahaan aankhon se sargoshi ho 

Chal chaltay hain us paar sanam 

Ik naei aag lagaanay ko 

Is dil ki pyaas bujhaanay ko 

Ik doojay main kho jaanay ko 

Aur ik pal kay naam ho jaanay ko 

Chal chaltay hain us paar sanam 

Jahaan asaan saari raahain hon 

Jahaan labon pe sard se aahain hon 

Jahaan apni aagosh ki panaahain hon 

Chal chaltay hain us paar sanam

Tum ne uktaaye huye khwaab kabhi dekhye hain


Tum ne murjhaye huye phool kabhi dekhye hain 

Dil ki qabron pe paray 

Hijar ki laash ki aankhon pe dharray

Tum ne uktaaye huye khwaab kabhi dekhye hain 

Dard ki palkon se liptay huye 

Ghabraaye huye

Tum ne be'chain dua'ein kabhi dekhi hain 

Mohabbat kay kinaaron pe bhat'takti phirti 

Tum ne dekha hai mujhay 

Kiya kabhi dekha hai mujhay

Tum ne be'chain dua'ein kabhi dekhi hain


Tum ne murjhaye huye phool kabhi dekhye hain 

Dil ki qabron pe paray 

Hijar ki laash ki aankhon pe dharray

Tum ne uktaaye huye khwaab kabhi dekhye hain 

Dard ki palkon se liptay huye 

Ghabraaye huye

Tum ne be'chain dua'ein kabhi dekhi hain 

Mohabbat kay kinaaron pe bhat'takti phirti 

Tum ne dekha hai mujhay 

Kiya kabhi dekha hai mujhay 


Mohabbat aik shajjar hai


Mohabbat aik shajjar hai 

Aur shajjar ko is se kiya matlab 

Keh is ki chaayon main koi 

Thaka haara musaafir aa kay baitha hai 

Ab is ka rang kiya hai 

Nassal kaisi hai 

Kahan se aya hai 

Issay kis simat jaana hai 

Shajar ka kaam to bas 

Chaaon dena aur dhoop sehna hai

Khaali hain lafz saaray


Toot kar bikhar na jaye , yeh dil mera 

Kahin is kay tukray na ho jayein 

Aur kitna zulam is pe barpe ga , yeh dil mera 

Kahin matti na ho jaye


Aur kitni intiha ho gi 

De dy koi zehar aik hi baar is ko 

Aur nahin shaamil himmat 

De dy koi thandi chaanv hi mujh ko 


Kaisay kahoon keh kitna 

Dard is ko hua hai 

Khaali hain lafz saaray 

Itna in main dam kahaan hai 

Zaar zaar ho kay bhi jiya hai 

Kitna is ne gham piya hai 

 

Aur kitna qehar barpay ga , yeh mera dil 

Kahin pathar na ho jaye

Phir jo mile bhi is ko , naazuk chaanv

Shayed kabhi samjh na paye

Yeh mera dil


Toot kar bikhar na jaye , yeh dil mera 

Kahin is kay tukray na ho jayein 

Aur kitna zulam is pe barpe ga , yeh dil mera 

Kahin matti na ho jaye


Aur kitni intiha ho gi 

De dy koi zehar aik hi baar is ko 

Aur nahin shaamil himmat 

De dy koi thandi chaanv hi mujh ko 


Kaisay kahoon keh kitna 

Dard is ko hua hai 

Khaali hain lafz saaray 

Itna in main dam kahaan hai 

Zaar zaar ho kay bhi jiya hai 

Kitna is ne gham piya hai 

 

Aur kitna qehar barpay ga , yeh mera dil 

Kahin pathar na ho jaye

Phir jo mile bhi is ko , naazuk chaanv

Shayed kabhi samjh na paye

Koi bhi dewaana aisa na tha


Tum ne mujh se mohabbat ki thi 

Tumharay jhoot main tumhari safaai thi

Her jhoot main teri sachai thi 

Koi bhi dewaana aisa na tha 

Jis ki mohabbat is se buland thi 

Aisa lagta tha tumhari mohabbat 

Waqat se bhi buland thi 

Ab tum juda ho rahay ho 

Ek dam mera dil tor rahay ho 

Khuda hafiz khuda hafiz keh rahay ho

Sachai yeh thi 

Tum ko mujh se mohabbat nahin thi 

Tum ko mujh se mohabbat nahin thi


Tum ne mujh se mohabbat ki thi 

Tumharay jhoot main tumhari safaai thi

Her jhoot main teri sachai thi 

Koi bhi dewaana aisa na tha 

Jis ki mohabbat is se buland thi 

Aisa lagta tha tumhari mohabbat 

Waqat se bhi buland thi 

Ab tum juda ho rahay ho 

Ek dam mera dil tor rahay ho 

Khuda hafiz khuda hafiz keh rahay ho

Sachai yeh thi 

Tum ko mujh se mohabbat nahin thi 


Dil ab bhi teray naam se dharakta hai


Ussay kehna keh 

Saansain ab bhi teray naam se chalti hain 

Dil ab bhi teray naam se dharakta hai 

Aankhin ab bhi teri muntazir hain 

Sawan ab bhi barasta hai 

Magar 

Ussay kehna 

Ab raat guzarti nahin 

Prinday ab geet gaatay nahin 

Bahaar ab aati nahin 

Magar 

Intizaar tab bhi tha 

Intizaar ab bhi hai

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...