Oct 3, 2014

Dil ab bhi teray naam se dharakta hai


Ussay kehna keh 

Saansain ab bhi teray naam se chalti hain 

Dil ab bhi teray naam se dharakta hai 

Aankhin ab bhi teri muntazir hain 

Sawan ab bhi barasta hai 

Magar 

Ussay kehna 

Ab raat guzarti nahin 

Prinday ab geet gaatay nahin 

Bahaar ab aati nahin 

Magar 

Intizaar tab bhi tha 

Intizaar ab bhi hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...