Oct 16, 2014

Mere khwaabon ke gulshan mein khizaa'en raqs karti hain


Mere khwaabon ke gulshan mein khizaa'en raqs karti hain

mere honton ki larzish mein wafaa'en raqs karti hain

mujhe woh laakh tarpaaye magar uss shakhs ki khaatir

mere dil ke andheron mein duaa'en raqs karti hain

usay kehna ke laut aaye sulagti shaam se pehle

kisi ki khushk aankhon mein sadaa'en raqs karti hain


Khuda jaane kesi kashish hai uski yaadon mein

main uska zikr chheroon to hawaa'en raqs karti hain

Rafaqaton kay naye khwaab khush'numa hain magar


Rafaqaton kay naye khwaab khush'numa hain magar 

Guzar chuka hai teray aaitabaar ka mousam

Koi shaam wafaon wali ho


Her aahat ho awaaz ho tum 

Sangeet ho koi , saaz ho tum 

Tum door ufaq par laali ho 

Koi shaam wafaon wali ho

Wo palkain jhukaana woh tera sharmaana


Wo palkain jhukaana woh tera sharmaana

koi tujh se seekhe dil ko churana

wo kehna bas apni nazar chura kar

koi tujh se seekhe baatin banana

wo karna khatain phir khud roth jana

koi tujh se seekhe nakhre dikhana

wo chehra dikha kar tera chup jana

koi tujh se seekhe kisi ko tarpana

wo balaon ko apni ungli se ghomana

koi tujh se seekhe diwana banana

Oct 15, 2014

Hum saleeqay dua kay rakhtay hain


Silsalay jo wafa kay rakhtay hain 
Hoslay intiha kay rakhtay hain 

Hum kabhi bad'dua nahin detay
Hum saleeqay dua kay rakhtay hain 

Hum nahin shakist kay qayal 
Hum safeenay jala kay rakhtay hain 

Un kay daaman bhi jaltay dekhye hain 
Woh jo daaman bacha kay rakhtay hain 

Qalam ro diya to hans pari saari ghazlain


Kabhi youn bhi hum ne kaaghaz pe utaari ghazlain 
Qalam ro diya to hans pari saari ghazlain 

Hum ne apnay hunar ko bhout dair tak azmaya 
Jeetay tum hi aakhir aur haari ghazlain 

MAktab ishq ki yeh baat tumhain samjh nahin ayi
Laazmi tum hi thay , thi ikhtiyaari ghazlain 

Muddaton se yahi aalam hai meray shaher main 
Na hi halaat badlay hain na hamari ghazlain 

Yeh safar-e-qalam mera rang laye ga ik din 
Ghulaam likhta rahoon ga youn hi baidaari ghazlain 


Tum se kahin mila hoon mujhay yaad keejiyea


Bhooli hui sada hoon mujhay yaad keejiyea
Tum se kahin mila hoon mujhay yaad keejiyea

Manzil nahin hoon , khizar nahin raah'zan nahin 
Manzil ka raasta hoon mujhay yaad keejiyea

Meri nigah-e-shouq se her gul hai devta 
MAin ishq ka khuda hoon , mujhay yaad keejiyea

Naghmon ki ibtida thi kabhi meray naam se
Ashkon ki intiha hoon mujhay yaad keejiyea

Gum sum kharri hain dono jahaan ki haqeeqatain 
main in se keh raha hoon mujhay yaad keejiea

Saagar kisi kay husan-e-taghafal shaar ki 
Behki hui ada hoon mujhay yaad keejiyea

Tujh se dil ke baat kahon kis tarha


Tujh se dil ke baat kahon kis tarha

Tu meri jan hai tujhy btaon kis tarha

Tu anjan hai ya ban raha hai

Yeh andaza lagaon kis tarha

Muqaddar se muqadar milana to door ki baat

Tere dil se dil milaon kis tarha

Tu mily na mily yeh qismat ke baat hai magar

Tujhe chaaha hay tujhe bhol jaon kis tarha

Kaati kahin pe raat, to kaati sehar kahin


Kaati kahin pe raat, to kaati sehar kahin

Raah-e-wafaa mein chain na paaya magar kahin

Woh sun rahe hain yun tera afsaana-e-hayaat

Dil hai kahin, khayal kahin, aur nazar kahin

Manzil kareeb aye to aye dost kis tarah

Raahi kahin hai, raah kahin, rehber kahin

Dil main panap rahi hai yehi ik arzoo

Betaab, hum ko koi milay humsafar kahin

Muhabbat hai kisi nadeeda si zanjeer ki surat



Muhabbat hai kisi nadeeda si zanjeer ki surat

Badan sey jo lipat ker

Is ki azadi ko demak ki tarha sey chat leti hai

Muhabbat hai saza jesi

Saza bhi wo jo matti ki lehat tak sath deti hai

Muhabbat wasal sey mashrut mat jano

Azal sey furqat’on key baab jesi hai

Muhabbat khawab jaisi hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...