Dec 17, 2014

Hum apnay buzurgon ka zamana nahin bhoolay


Dushman ko bhi seenay se lagana nahin bhoolay 
Hum apnay buzurgon ka zamana nahin bhoolay 

Tum aankhon ki barsaat bichaye huye rakhna 
Kuch log abhi aag lagana nahin bhoolay 

Yeh baat alag , haath kalaam ho gaye apnay 
Hum aap ki tasveer banaana nahin bhoolay 

Ik umar hui main to hansi bhool chuka hoon 
Tum ab bhi meray dil ko dukhaana nahin bhoolay 

Dushman ko bhi seenay se lagana nahin bhoolay 
Hum apnay buzurgon ka zamana nahin bhoolay

Jo wasal rut main bichar gaya woh to jaan se bhi qareeb hai


Mujhay hasraton se hai waasta meray dil ka qissa ajeeb hai 
Jo wasal rut main bichar gaya woh to jaan se bhi qareeb hai 

Mujhay hosh tha to khabar na thi main junoon main tha to pata chala 
Woh jo meray dil ak makeen hai woh hi jism-o-jaan ka haseeb hai 

Tujhay jaanta bhi nahin koi mera harf hai moh'tabar 
Tujhay zar mila mujhay shohratain yeh bhi apna apna naseeb hai 

Mujh kon tujh se rehaai dy mujhay apna aap dikhaai dy 
Mera dil main ab bhi garri hui teri aarzoo ki saleeb hai 

Main mohabbaton ka safeer hoon mera kaam khushboo bikhairna 
NAhin is se koi bhi mu'aamala keh woh door hai ya qareeb hai 

Mujhay zindagi main sakoon milay yahi arzoo hai meray khuda 
Maujhay tairagi se nijaat dy keh tu roshni ka naqeeb hai 

Zinda hai dil to aur sitam gar bhi ayein gay


Aankhain khuli rahain gi to manzar bhi ayein gay 
Zinda hai dil to aur sitam gar bhi ayein gay 

Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khad-o-khaal 
Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayein gay 

Gehri khamosh jheel kay paani ko youn na chair 
Cheentay urray to teri qaba par bhi ayein gay 

Khud ko na chupa sheeshay garon ki dukaan main 
Sheeshay chamak rahay hain to pathar bhi ayein gay 

Ae shaher-e-yaar dasht se fursat nahin , magar 
niklay safar pe hum to teray ghar bhi ayien gay 

Imran abhi saba ki sakhawat pe khush na ho 
Jhonkay yahi ba'surat-e-sarr sarr bhi ayain gay

Lamha lamha mujhay ehsaas-e-ziyaan hota hai


Apnay honay pe na honay ka gumaan hota hai 
Lamha lamha mujhay ehsaas-e-ziyaan hota hai 

Koi hota hai jo karta hai kahin pe saazish
Teer ki pusht pe Kirdaar-e-kamaan hota hai 

Bhool jaana ussay mushkil to nahin hai lakin 
Kaam asaan bhi magar hum se kahan hota hai 

Main ne dekha hai kisi khouf ka khadsha dil main 
Raat kay pichlay pehar barh kay jawaan hota hai 

Dil main hoti hai bahaaron ki kasak bhi lakin 
Is kay hissay main magar khouf-e-khizaan hota hai

Rukh hawaon ka jidhar ka hai udhar kay hum hain


Apni marzi se kahan apnay safar kay hum hain 
Rukh hawaon ka jidhar ka hai udhar kay hum hain 

Pehlay her cheez thi apni magar ab lagta hai 
Apnay hi ghar main kisi doosray ghar kay hum hain 

Waqat kay saath hai mitti ka safar sadiyon tak 
Kis ko maloom kahan keh hain kidhar kay hum hain 

Chaltay rehtay hain keh chalna hai musaafir ka naseeb 
Sochtay rehtay hain keh kis raahguzar kay hum hain 

Gintiyon main hi ginay jaatay hain her dour main hum Imran
Her qalam'kaar ki be'naam khabar kay hum hain

Duniya se door pyaar ka ek nagar banain


Aao hum mil kar ek naya jahaan banain 
Duniya se door pyaar ka ek nagar banain 

Jahan mohabbat ka raaj ho 
sar par khushi ka taaj ho 

Zindagi pe na khouf taari ho 
Hifaazat ek doojay ki zima'daari ho 

Chalo mil kar is khwaab ki tabeer dhoondain 
Is jahaan main mohabbat ki jageer dhoondain 

Aao hum mil kar ek naya jahaan banain 
Duniya se door pyaar ka ek nagar banain

Main phir Aa'oon ga palat kar mera intizaar karna


Gham-e-hijar se na dil ko kabhi hum'kinaar karna 
Main phir Aa'oon  ga palat kar mera intizaar karna 

Mujhay dar hai , meray aansoo teri aankh se na jhalkain 
Zara soch kar samjh kar mujhay sogawaar karna 

Ussay dhoond sab se pehlay jo mila nahin hai tujh ko 
Yeh sitaaray aasmaan kay kabhi phir shumaar karna 

Meray shaher ki fiza main koi zehar bhar gaya hai 
Teray husan par hai laazim ussay kush'gawaar karna 

Main uthaon ga na ehsaan teray baad na'khuda ka 
Mujhay tu ne hi daboya , mujhay tu hi paar karna 

Meray bad'naseeb saathi , teri zindagi hi kiya hai 
Na kisi se dil lagaana , na kisi se pyaar karna 

Kabhi iqtadaar bakhshay jo khuda "Imran" tujh ko 
Jo rawish hai qaatilon ki , woh na ikhtiyaar karna 

Woh musaafir jo bharay shaher main ghar ko tarsay


KAb talak shab kay andheray main sehar ko tarastay 
Woh musaafir jo bharay shaher main ghar ko tarsay 

Aankh tehray huye paani se bhi katraati hai 
Dil woh rah'ru keh samandar kay safar ko tarsay 

Mujh ko us qehat kay mousam se bacha rab-e-sukhan 
Jab koi ehal-e-hunar , arz-e-hunar ko tarsay 

Ab keh is tor mussalat hua andhera her soo
Hijar ki raat meray deeda-e-tar ko tarsay 

Umar itni to ata kar meray fun ko khaaliq
Mera dishman meray marnay ki khabar ko tarsay 

Uss ko paa kar bhi ussay dhoond rahi hain aankhain 
Jaisay paani main koi seep , gohar ko tarsay 

Na'shana'saai kay mousam ka asar to dekho 
Aaina khaal-o-khad-e-aaina gar ko tarsay 

Aik duniya hai keh basti hai teri aankhon main 
Woh to hum thay jo teri ik nazar ko tarsay 

Shor-e-sursur main jo sar'sabz rahi Imram
Mousam-e-gul main wohi shaakh samar ko tarsay 

Tha ishq jawaan in aankhon main


Hai umr-e-rawan in aankhon main 

Tha ishq jawaan in aankhon main 
Thay khwaab rawan in aankhon main 

Miltay huye dekha phir un ko 
Phir un ki judai dekhi hai 
Tha zabt nahin in aankhon main 
Rehti thi dua in honton par 
Milnay ka gumaan in aankhon main 

Phir aas ko martay dekha tha 
Tha zabt jahan in aankhon main 
Thay ashk ayaan in aankhon main 

Phir jal kay bujhay diye ashkon kay 
Phirta tha dhuwaan in aankhon main 

Ab waqat hua un baaton ko
Un subhon ko aur un raaton ko 
Mujh main jo sulagta rehta ho 
Aisa to nahin hai ab kuch bhi 

Chaai hai amaan in aankhon main 
Par neend kahan in aankhon main 

Boondon se main ne ilm kay dariya bahaye hain


Chahye kam'agaahi kay zahanat pe saaye hain 
Boondon se main ne ilm kay dariya bahaye hain 

Jaanay qadmon ne itna kahan se liya khaloos 
Jab kay yeh woh jaga hai keh apnay , paraye hain

Kiya wasal ai keh bujh gayi jismon ki tishnagi 
Uff hai , yeh hum ne kis kay liye dukh uthaye hain 

Munh se chali jo baat to munh tak hi aa gayi 
Ghazlain suna suna kay yeh luqmay khaye hain 

Sab muflasi kay marz thay aur us pe vaid ne 
Hum ko kai hazaar kay nuskay bataye hain 

Pur'paich raah-e-khaar-e-jaan chahaye irtakaaz
Aur woh keh yaad aa jaye , aaye gaye hain 

Firaaq-e-hayaat-o-mout hai funkaar hi ka dam 
Imran yeh log khwaab ki ik aabnaaye hain
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...