Dec 18, 2014

Ab to hum log gaye deeda-e-be'khwaab se bhi


Dil behalta hai kahan anjuman-e-mehtaab se bhi 
Ab to hum log gaye deeda-e-be'khwaab se bhi 

Ro parta hoon to koi baat hi aisi ho gi 
MAin keh waqif tha teray hijar kay adaab se bhi 

kuch to us aankh ka shaiwa hai khaffa ho jaana 
Aur kuch bhool hui hai dil-e-be'taab se bhi 

Ae samnadar ki hawa tera karam bhi maloom 
Pyaas saahil ki tu bujhaati nahin sailaab se bhi 

Kuch to us husan ki jaanay hai zamana sara 
Aur kuch baat chali hai meray ehbaab se bhi 

Dil kabhi gham kay samandar ka shanaver tha Imran 
Ab to khouf aata hai ik mouja-e-paay'aab se bhi

Saath jo chalta raha majbooriyon kay baad bhi


Main ussay kaisay akela chor doon is raah main 

Saath jo chalta raha majbooriyon kay baad bhi 

BAn kay khushboo rach gaya hai youn meray ehsaas main 

Door ho paya nahin woh dooriyon kay baad bhi 

Rafta rafta us ko bhi yeh duniya raas aa gayi 

Muskuraa kay woh milta hai ranjishon kay baad bhi 

Faaslay kab kam huye hain raabton kay baad bhi 

Ajnabi thay ajnabi hain Mohabbaton kay baad bhi 
 

Saans lena bhi ab dushwaar hua


Saans lena bhi ab dushwaar hua

Sukh ka mousam khiyaal-o-khaam hua 
Saans lena bhi ab dushwaar hua 

Aankhon aankhon main parha karo jazbay 
Chehra chehra khuli kitaab hua

Roshni us kay ashk ki dekhon 
Aaina subh ko aftaab hua 

Ik falak'naaz ki mohabbat main 
Main hawaon ka hum'rakaab hau 

Kon mojon main gholta hai lahoo
Sur'khru kis liye chenaab hua 

Kis kay sar par sinaa ko rashk aya 
Kon maqtal main kaam'yaab hua 

Ab kay hijraan ki dhoop main Imran 
Rang us ka bhi kuch khraab hua  

Main to qayim hoon abhi ehad-e-wafa pe apnay


Main to qayim hoon abhi ehad-e-wafa pe apnay

Shaam ko yaadon kay aangan main utar jaata hoon 
Aur is bazam se phir main waqat-e-sehar haata hoon 

Mujh ko maqsood hai her haal main raahat teri 
Bujhon gar to teray dil se utar jaata hoon 

Main to qayim hoon faqat teri kashish kay baa'iss
Teri sarhad se jo niklon to bikhar jaata hoon 

Gumbad-e-zaat se jo sadaa aati hai 
Shab ki tanhai main sunta hoon to dar jaata hoon 

Main to qayim hoon abhi ehad-e-wafa pe apnay 
Gar tujhay raas nahin hai to mukar jaata hoon

Do dilon kay faaslay mitaanay chalay aao


Samjha nahin yeh dil samjhanay chalay aao 
Do dilon kay faaslay mitaanay chalay aao 

Junoon-e-ishq main pagal ho gaye hum 
Apni baanhon main mujhay samaanay chalay aao 

Na door reh kar tarpaao na dil ko tarsaao 
Apna bana kar apnaanay chalay aao 

Mera ishq sacha hai mera aaitabaar kar lo 
Mera ishq mera pyaar aazmaanay chalay aao

Main dil kay qissay suna raha hoon


MAin dil kay qissay suna raha hoon

Phir ik cigarette jala raha hoon   cigarette
Phir ik teeli bujha raha hoon 

Teri nazar main yeh mashgala hai 
Main to us ka wada bhula raha hoon 

Samajhna mat is ko meri aadat 
Yeh dhuwaan jo main urra raha hoon 

Yeh teri yaadon kay silsalay hain 
Main teri yaadain jala raha hoon 

Phir ik cigarette jala raha hoon 
Phir ik teeli bujha raha hoon

MAin pee kay itna behak chuka hoon 
Keh gham kay qissay suna raha hoon 

Agar tumhain bhi gham hai to paas aao 
Main pee raha hoon pila raha hoon

Phir ik cigarette jala raha hoon 
Phir ik teeli bujha raha hoon 

MAin pee kay baadlon main ponch chuka hoon 
Dhuown main khud ko jala raha hoon 

HAin meri aankhain to aaj pur'nam 
MAgar main sab ko hansa raha hoon 

Phir ik cigarette jala raha hoon 
Phir ik teeli bujha raha hoon 

Tumhain kiya matlab hamaray gham se 
MAin to youn hi tum ko suna raha hoon 

Gar burra laga to maaf karna 
MAin dil kay qissay suna raha hoon 

Phir ik cigarette jala raha hoon 
Phir ik teeli bujha raha hoon


Aur kiya dikhlaye gi taqdeer ab


Lo pehan li paaon main zanjeer ab 
Aur kiya dikhlaye gi taqdeer ab 

Khud hi chal kar aa gaya zindaan tak 
Kiya karo gay khwaab ki tabeer ab 

Ae maseeha ! jo teri baaton main thi 
Dil talak ponchi hai woh taseer ab 

Seedha meray dil hi par aa kar lagay 
Aakhri tarkash main hai jo teer ab 

Aur kuch paanay ki hasrat hi nahin 
Mil gayi hai pyaar ki jageer ab

Baat itni bhi na barh jaye keh ruswai ho


Kuch to ae yaar ilaaj-e-gham-e-tanhai ho 
Baat itni bhi na barh jaye keh ruswai ho 

Doobnay walay to aankhon se bhi kab niklay hain 
Doobnay kay liye laazim nahin gehrai ho 

Jis ne bhi mujh ko tamasha sa bana rakha hai
Ab zaroori hai wohi shakhs tama'sha'i ho 

Main tujhay jeet bhi tohfay main nahin de sakta 
Chahata yeh bhi nahin hoon teri paspaai ho 

Aaj to bazam main her aankh thi purnam jaisay 
Dastaan meri kisi ne yahan doh'raai ho

Koi anjaan na ho  shaher-e-mohabbat ka makeen 
Kaash her dil ki her ik dil se shna'saai ho 

Youn guzar jaata hai Imran teray koochay se 
Tera waqif na ho jaisay koi sodaai ho 

Hum ne laal-o-gohar aur yaqoot bhi tukhraye hain


Ae dost zindagi main aisay pal bhi ayein hain 
Hum ne laal-o-gohar aur yaqoot bhi tukhraye hain 

Us ki khushi ki khatar gun'gunaana aadat bani 
Museebaton kay toofaan main bhi hum muskuraye hain 

Raaton ko kisi kay sang hum ne ik lamhay main bita diya 
Apnay hi ghar main kai baar hum chor ban kar aye hain 

Siwa us kay pal kaatna bari baat hoti thi 
Khuda ne hum ko hijar kay so baras bhi dikahye hain 

Hamain udaas dekh kar aksar woh rooth jaata tha 
Aaj usi dilbar ne ashkon kay samandar rulaye hain 

Tishna ussay chahtay rehna sochon to na'daani hai 
Magar kiya karon jitna bhulaya utna woh yaad aye hain 

Meri zindagi tu , emaan hai tu


Meri ronaq tu , pehchaan hai tu 
Meri zindagi tu , emaan hai tu 
Bin teray be'rang duniya saari 
Ek saans lena bhi kitna bhaari 
Yeh rooh-e-jisam be'kaar hain sab 
Meray jeenay ka asmaan hai tu 

Her lafz tera taqdeer hai meri 
Mera her khayaal tasveer hai teri 
Saray aziz ghair hain lagtay 
Ek mera apna mehmaan hai tu 

Na main be'wafa , na main be'qadar 
Gunaah'gaar hoon mujh ko hai khabar
Meri nekiyon ka sila hai tu 
Meray rab ka ehsaan hai tu 

Tishna gar tujhay bhool jaye 
Ussi pal main ussay mout aye 
Tujhay bad'naam kaisay karta "Gul"
Meri izzat tu giraybaan hai tu 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...