Feb 4, 2015

Koi juda ho gaya koi khafa ho gaya


Koi juda ho gaya koi khafa ho gaya 
Na janay zindagi main hum se kya ho ga 

Bhout sajday kiye kisi ko panay kay liye 
Shayed jis sajday main ussay paana tha woh hum se qaza ho gaya ?

Dil main kitnay zakham hain kisi ko kya pata


Dil main kitnay zakham hain kisi ko kya pata 

Yeh aur baat hai keh hum muskura kay jeetay hain rulanay walon kay samnay

Tum khud nahin jaantay tum kitnay pyaray ho


Tum khud nahin jaantay tum kitnay pyaray ho 
Jaan ho hamari aur jaan se pyaray ho 

Logon kay kehnay se kya hota hai 
Tum kal bhi hamaray thay tum aaj bhi hamaray ho 

Kiya ajeeb ehtisaab apna tha Jaan apni azaab apna tha


Kiya ajeeb ehtisaab apna tha 

Jaan apni azaab apna tha 

Kuch milay log bhi zamana saaz

Kuch muqadar kharaab apna tha 

YEh keh mukhlis thay hum mohabbat main 

Jurm bas yeh janaab apna tha 

Ab kiya karna us shakhs se gila kar kay 

Woh bhi to intikhaab apna tha

Jee bhar kay dekhon tujhay agar tujh ko gawara ho


Jee bhar kay dekhon tujhay agar tujh ko gawara ho 

Be'taab meri nazrain hon aur pyaar tumhara ho

Na karo takraar , mujhay tumhara hi khayal hai


Na karo takraar , mujhay tumhara hi khayal hai

Phir baat se baat niklay gi aur tum rooth jaao gay

Be'rukhi se hi sahi magar sotay huye kuch to keh diya karo


Be'rukhi se hi sahi magar sotay huye kuch to keh diya karo 

Chupkay se so jaatay ho nafrat ka gumaan hota hai

Kis qadar mujh ko sata'tay ho tum


Kis qadar mujh ko sata'tay ho tum 
Bhool jaanay pe yaad aatay ho tum 

Jab bhi khuda se kuch maanga main ne 
Meray dil ki dua ban jaatay ho tum

Woh aaya tha mehfil main magar shouq se nahin


Woh aaya tha mehfil main magar shouq se nahin 
Woh baithay thay paas meray magar dil se nahin 

Kon kehta hai woh pyaar nahin kartay 
Kartay to hain magar afsos mujh se nahin

Woh mehndi lagay haath dikha kay roi



Woh mehndi lagay haath dikha kay roi 
Main kisi aur ki hoon woh yeh bata kay roi 

Main bola kon hai woh khush'naseeb 
Woh mehndi se likha hua naam dikha kay roi 

Kahin gham se phatt na jaye jiger mera 
Woh hanstay hanstay mujhay hansa kay roi 

Dil na toota us ka gham-e-hijar main 
Main bhi roya woh bhi meri aankh se aankh mila kay roi 

US ne jana jab meray ronay ka sabab 
Apnay aansoo meri hathaili pe saja kay roi 

Jab bhi dekha ussay hanstay huye dekha 
Waqat-e-hina her khushi ko woh bhula kay roi 

Dil ne chaha ussay jee bhar kay dekh loon 
Woh meri aankhon ki pyaas ko bujha kay roi 
 
Kabhi kehti thi keh main nahin jee paaon ki tum bin 
Aur aaj phir woh yeh baat dohraa kay roi 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...