Mar 15, 2015

Hum ne her dukh ko mohabbat ki Enayat samjha


Hum ne her dukh ko mohabbat ki Enayat samjha 

Hum koi tum thay ? ? ? keh tum se shikayat kartay

Kam'sini ka khouf tha par saath to deta mera


Kam'sini ka khouf tha par saath to deta mera

Doobnay walay ko tinkay ka sahaara chahiye

Na chand nikla na tum ne dastak di


Na chand nikla na tum ne dastak di

Aaj ki shaam kitni bojhal hai

Jamaal-e-yaar main rangon ka Emtizaaj to dekh


Jamaal-e-yaar main rangon ka Emtizaaj to dekh 

Sufaid jhoot hain zaalim kay surk honton par

Raat youn saans ruk gayi meri


Raat youn saans ruk gayi meri 

Tu bhool gaya ho jaisay

Kamaal ka peer hai ishq


Kamaal ka peer hai ishq

Chor diya mureed kar kay

Yeh kaisay mumkin hai keh zindagi main gham na milay


Yeh kaisay mumkin hai keh zindagi main gham na milay
Koi hamein na mila kisi ko hum na milay 

Kya chaal chali hai meray muqaddar ne mujh se 
Pyaar tera mila magar tum na milay

Woh saath tha hamaray


Woh saath tha hamaray 
Ya hum paas thay us kay 

Woh zindagi ka aik din ?
Ya zindagi thi aik din

Baarishon kay mousam main


Baarishon kay mousam main 
Waqat kay andheron main 
Main ne uss se poocha tha 
Chor to na jaao gay

Haath thaam kar uss ne 
Kaan main yeh bola tha 
Kaisay chor saktay ho 
Tum to jaan ho meri 

Aur aaj aisa hai 
Waqat ki tamazat main 
Wehshaton kay mousam main 
Main ne uss se poocha hai 

Chor kar hi jana tha 
Muskuraati galiyon main 
Aas kiyon dilaai thi 
Pyaas kiyon jagaai thi 

Meray in sawalon par 
Chaltay chaltay woh bola 
Mousam ki aadat hai 
Waqat par badal jana 


Na'janay kiyon hum se her baat ka gila kartay hain log



Na'janay kiyon hum se her baat ka gila kartay hain log 

Jab keh hum to apnay naseeb ki khushiyan bhi baant detay hain
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...