Apr 22, 2015

Agar ho jaati meri dosti baadalon kay saath


Agar ho jaati meri dosti baadalon kay saath 

To shayed hum tujh par kabhi dhoop bhi na aanay detay

Lehjaa aisa keh mut'maein kar de


Lehjaa aisa keh mut'maein kar de

Kitna saccha hai meray yaar ka jhoot

Kabhi hota nahin jo raabta us se mera


Kabhi hota nahin jo raabta us se mera 

Main khud main doob jaata hoon woh mujh ko mujh main milta hai

Kiyon samjh nahin aati teray dewano ki


Kiyon samjh nahin aati teray dewano ki 
Daamano ki khabar hai na giribaano ki 

Ae jafa kaar teray ehad se pehlay to na thi 
Kasrat is darja mohabbat kay pashmano ki 

Faiz saqi ki ajab dhoom hai mehkhano main 
Her taraf may ki talab maang hai paimano ki 

Raaz-e-gham se hamein aagah kiya khoob kiya 
kuch nihayat hi nahin ap kay ehsaano ki 

Yaad phir taaza hui haal se teray hasrat 
Qais-o-farhad kay guzray afsaano ki 


Mujhay be'khudi ki hai aarzoo


Mujhay be'khudi ki hai aarzoo
Mujhay qurbaton ka khumaar de

Meray ang ang main youn utar 
Keh mujhay main khud ko utaar de 

Tu jo rag rag main bas gaya 
To hai dariyaon ka jawaaz kya 

Meri zindagi meray paas aa
Meri be'khudi ko qaraar de

Hai nazar nazar teri justagoo
Tu meri wafa ki hai Aabru

KAbhi tu bhi ho meray rubaru
Mujhay jaan se hi guzaar de

Mujhay is tarah se tu yaad aa
Teri yaad ko bhi gumaan na ho

Tu meray khayal main youn samaa 
Mera harf harf nikhaar de

Mujh ko maloom nahin chahat kay taqazay lakin




Mujh ko maloom nahin chahat kay taqazay lakin 
Hum ne teri baaton kay siwa her baat bhula rakhi hai 

Safar mushkil hai maloom hai lakin 
Tu hamara hai to her fikar mitta rakhi hai 

Tu bhula de to bhula de lakin hum ne 
Teri khushboo bhi taveez bana rakhi hai 

Tu alag ho to her baar youn lagta hai 
zindagi mout kay pehlu main bitha rakhi hai 

Teri baatein , teri moorat , teri surat , tera chehra 
Tujh main khaliq ne her cheez juda rakhi hai

Bhool gaye afsanay kitnay


Bhool gaye afsanay kitnay 
Bikhray khawaab suhanay kitnay 

Dil to hai ik khawaab jazeera 
US main hain veeray kitnay 

Do aankhein hain dost teri 
Un main hain meh'khanay kitnay 

Saqi ne jab aankh milaai 
Toot gaye paimanay kitnay 

Shama to ik raat jali thi 
Jal gaye thay parwanay kitnay 

Apno ki tum baat na chero 
Apnay hain be'ganay kitnay 

Jungle jungle ronaq dekhi 
Shehron main veeray kitnay 

Mujh ko mujh se cheen kay tora 
Ab bantay ho anjanay kitnay 
 

Aankh ne raat jab ik chaand mukamal dekha




Aankh ne raat jab ik chaand mukamal dekha 
Phir samandar ko bhi hotay huye pagal dekha 

Raat bhar dair talak ki us ki baatein khud se 
Raat bhar samnay chehra us ka pal pal dekha 

Aaj yaadon ki ghatta toot kay barsi dil pe 
Aaj hum ne bhi barasta hua baadal dekha 

Dost cheen liya hum se gham-e-duniya ne 
Aaj hum bhool gaye us ko jissay kal dekha 

Ek chehra jo bhout hansta tha 
Aaj us ki aankhon se bhi behta kajal dekha

Gulaab aankhein sharaab aankhein




Gulaab aankhein sharaab aankhein 
Yehi to hain la'jawab aankhein 

In hi main ulfat in hi main nafrat 
Sawaab aankhein , azaab aankhein 

Kabhi nazar main bala ki shokhi 
Kabhi saraapa-e-hijaab aankhein 

Kabhi chupaati hain raaz dil kay 
KAbhi hain dil ki kitaab aankhein 

Kisi ne dekhi to jheel jaisi 
Kisi ne payein saraab aankhein 

Woh aaye to log mujh se bolay 
Huzoor aankhein , janab aankhein

Ajeeb tha guftagoo ka aalam 
Sawal koi , jawab aankhein 

Yeh mast mast be'misaal aankhein 
Musawari ka kamal aankhein 

Sharaab rab ne haraam kar di 
Magar kiyon rakhi halaal aankhein 

Hazaron in pe qatal hon gay 
Khuda ki bandi sambhaal aankhein

Kiyon hawali kay ujarnay ka mujhay afsos ho


Kon aaya raastay Aaina khanay ho gaye 
Raat roshan ho gayi , din bhi sohaanay ho gaye 

Kiyon hawali kay ujarnay ka mujhay afsos ho 
Sainkaron be'ghar prindo kay thikanay ho gaye 

Jaao un kamron kay aainay utha kay phaink do 
Be'adab yeh keh rahay hain hum puranay ho gaye 

Yeh bhi mumkin hai keh main ne us ko pehchaana na ho 
Ab ussay dekhye huye kitnay zamanay ho gaye 

Meri palkon par yeh aansoo pyaar ki tohaan hai
Us ki aankhon se giray moti kay danay ho gaye 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...