Jul 31, 2015

Be'kraan tanhaiyon ka silsala reh jaye ga



Be'kraan tanhaiyon ka silsala reh jaye ga
Teray meray darmiyaan , bas ik khalaa reh jaye ga 

Aks beh jayen gaysaray dhoop kay sailaab main 
Aur koi paaniyon main jhaankta reh jaye ga 

Mujh ko meray hamsafar aisa safar dar'paish hai 
Raasta kat bhi gaya to faasla reh jaye ga 

Log so jayein gay khamoshi ki chahdar oorh kar 
Chaand soonay aangano main jaagta reh jaye ga 

Jo kabhi us ne parhein thein mujh se nasir maang kar 
Naam mera un kitaabon main likha reh jaye ga

Us ne ashafta mizaaji ko naya mor diya



Us ne ashafta mizaaji ko naya mor diya 

Mujh ko pa'ba zanjeer kiya aur chor diya

Us ne aanchal se nikaali meray gam gashta kitaab 

Aur chupkay se mohabbat ka warq mor diya 

Hum ko maloom tha anjaam-e-mohabbat hum ne 

Aakhri harf se pehlay hi qalam tor diya

Kisi ko alwida kehna bhout takleef deta hai



Kisi ko alwida kehna 

Bhout takleef deta hai 

Umeedain toot jaati hain 

Yaqeen pe be'yaqeeni ka kohar kuch aisay charta hai 

Dikhai kuch nahin deta 

Sujhai kuch nahin deta 

Dua kay lafaz honton par musalsal kap'kapatay hain

Kisi khwaish kay andeshay 

Zehan main dor jaatay hain 

Gumaan kuch aisay hota hai 

Keh jaisay mil na payen gay 

Yeh gehray zakham furqat kay kisi se sil na payen gay 

Kabhi aisa bhi ho ya'rab 

Duaein maan leta hai 

Tu koi mojaza kar dy tu aisa kar bhi sakta hai 

Meray haathon ki janab dekh inhain tu bhar bhi sakta hai 

Judai ki yeh teekhi dhaar dilon ka khoon karti hai 

Judai ki aziyat se 

Mera dil ab bhi darta hai 

Judai 2 gharri ki ho to koi dil ko behlay 

Judai umar bhar ki ho 

To kiya chaara karay koi 

Keh ik milnay ki hasrat main bhala kab tak jiye koi 

Meray "Moula" karam kar dy tu aisa kar bhi sakta hai 

Meray haathon ki janib dekh , inhain tu bhar bhi sakta hai 

Ae ishq tu gard-e-safar bana , Teri aur bhala toqeer kiya hai



Ae ishq tu gard-e-safar bana , Teri aur bhala toqeer kiya hai 
Tu khud hi hasrat ka maara , tera khwaab hai kiya tabeer hai kiya 

Ae ishq tu bikta rehta hai , kabhi raahon main kabhi baanhon main 
Tu bojh hai dil ki duniya ka , meray wastay tu jageer hai kiya 

Ae ishq mizaar pe raqs tera , Aur kutbon pe hai aks tera 
Tu bujhtay diye ka dhuwan hai bas , Tu kiya janay tanveer hai kiya 

Tujhay suna tha main ne qisson main , Is tan par ab to jhaila hai 
Mera roop rang to zard hua , mujhay khabar nahin tasveer hai kiya 

Tu meem se ain bana tha kiyon , ab chain se bain bana hai kiyon
Main ab tak poochti phirti hoon , meray pairon main zanjeer hai kiya 

In ashkon ka to zikar hi kiya , tujhay ishq lahoo se bhi likha 
Kabhi parh to sahiin nohon ko , tujhay ilam to ho , tehreer hai kiya

Naazki us kay lab ki kiya kehiye



Naazki us kay lab ki kiya kehiye

Pankhari ik gulaab ki si hai

Us simat chalay ho to bas itna ussay kehna



Us simat chalay ho to bas itna ussay kehna 
Ab koi nahin harf-e-tamana, ussay kehna 
Us ne hi kaha tha , to yaqeen main ne kiya tha 
Umeed pe qayam hai yeh duniya , ussay kehna 
Duniya to kisi haal main jeenay nahin deti 
Chahat nahin hoti ruswa , ussay kehna 
Zar'khaiz zamenain kabhi banjar nahin hotein 
Dariya hi badal letay hain rasta , ussay kehna 
Woh meri risaai main nahin hai to kiya ajab 
HAsrat bhi to hai ishq ka lehja , ussay kehna 
Kuch log safar kay liye mozon nahin hotay 
Kuch rastay kat'tay nahin rtanha , ussay kehna

Hum se kya poochtay ho hijar main kya kartay hain



Hum se kya poochtay ho hijar main kya kartay hain 
Teray loat aanay ki din raat dua kartay hain 

Ab koi hont nahin in ko churanay aatay 
Meri aankhon main agar ashk huwa kartay hain 

Teri tu janay , par ae jaan-e-tamana hum to 
Saans kay saath tujhay yaad kiya kartay hain 

Teri tasveer laga letay hain hum seenay se 
Phir teray khat se teri baat kiya kartay hain 

GAr tujhay chornay ki soch bhi aaye dil main 
Hum to khud ko bhi wahin chor diya kartay hain

Band kitabon main urti hui titliyaan daal dein



Band kitabon main urti hui titliyaan daal dein
Kis ne rasmon ki jalti hui aag main lakriyaan daal dein 

Khouf kaisa hai yeh naam us ka zer-e-lab bhi nahin 
Jis ne haathon main meray haray kaanch ki chooriyan daal dein 

Hont pyaasay rahay hoslay thak gaye umar sehra hui 
Hum ne pani kay dhokay main phir rait par kashtiyaan daal dein 

Mousam-e-hijar ki kaisi sa'aat hai yeh dil bhi hairan hai 
Meray kaano main kis ne teri yaad ki baaliyan daal dein

Zindagi yeh to nahin tujh ko sanwara hi na ho



Zindagi yeh to nahin tujh ko sanwara hi na ho 
Kuch na kuch tera ehsaan utaara hi ho 

Koo-e-qatil ki bari dhoom hai , chal kar dekhein 
Kya khabar koocha-e-dil'daar se payara hi na ho 

Dil ko choo jaati hai raat ki awaz kabhi 
Chonk uth'ta hoon kahin tum ne pukara hi na ho 

KAbhi palkon pe chamakti hai jo ashkon ki lakeer 
Sochta hoon teray aanchal ka kinara hi na ho 

Zindagi ik khalish de kay na reh ja mujh ko 
Dard woh dy jo kisi surat gawara hi na ho 

Sharam aati hai keh us shaher main hum hain keh jahan 
Na milay bheek to laakhon ka guzara hi na ho 

Aafat ki shokiyaan hain tumhari nigah main



Aafat ki shokiyaan hain tumhari nigah main 

Mehshar kay fitnay kehlaatay hain jalwa'gaah main 

Woh dushmani se dekhtay hain , dekhtay to hain 

Main shaad hoon keh , hoon to kisi ki nigah main 

Aati baat baat mujhay yaad baar baar 

Kehta hoon da'ood , daood kay qasid se raah main 

IS toba par hai naaz mujhay zahid is qadar 

Jo toot kar shareek hoon haal-e-tabah main 

Mustaq is ada kay bhout dard'mand thay 

Ae "Dagh" tum to baith gaye ik aah main
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...