Oct 23, 2015

Seeny say lipat ja meray khawabon sy nikal kar




Seeny say lipat ja meray khawabon sy nikal kar
Ik baar mile'n hum bhi hijaabo'n sy nikal kar

Kirno'n ki tarha baant zamaany mein ujaala
Khushboo ki tarha phail gulaabo'n sy nikal kar

Mai-khaano'n ki soorat hain teri jheel si ankhen
Dooby hain jaha'n log sharaabo'n sy nikal kar

Mujh ko bhi gawaara nhi ab tujh sy bicharna
Dil bhi hai preshaan saraabo'n sy nikal kar

Rehny do abi gardish-e-doraa'n mein hi ~mohsin~
Behly gi tbiyat na azaabo'n sy nikal kar

Hum chahte the jinko wo dil dukha gye



Hum chahte the jinko wo dil dukha gye

Kuch aise log the jo hmko rula gye

Jin logo se hmko tawaqqo wafa ki thi

Wo log dil se naqsh-e-wafa hi mita gaye

Ye na samaj k bichra hon to bhol gaya hon tujhe



Ye na samaj k bichra hon to bhol gaya hon tujhe
Tare hathon ki khoshbo mare hathon main aaj bhi hai

Ye or baat hai majboreyon ne nebhane na di dosti
Warna shamil sachai mari wafaon main aaj bhi hai

Mohabat say barh kr tum say aaqedat hai mujhay
Yon maqam tera boland muj main aaj bhi hai

Har lamha zindagi main mohabaten naseeb hon tujhe
Shamil tu mari zindagi ki duaon main aaj bhi hai

Daleel hai na koi hawala hai un k pass



Daleel hai na koi hawala hai un k pass

Ajeeb log hain bs ikhtlaaf rakhty hain

Ham bi hoon gay aap kay dil mein


Ham bi hoon gay aap kay dil mein
Magar,,,,,
Aik bhoolay huwe Qissay ki tarah

Wafa ka poda shajar hua to muhabaton ka pata chaley ga



Wafa ka poda shajar hua to muhabaton ka pata chaley ga
Naseeb us ka samar hua to muhabaton ka pata chaley ga

Abhi to phirtey ho doston men azeez koi juda nahi ha
Koi idhar sey udhar hua to muhabaton ka pata chaley ga

Ye kia bicharna k shaam hotey hi apne piyaron men loat aana
Kbhi jo lamba safar hua to muhabaton ka pata chaley ga

Wo jis ki khatir zamaney bher ko bana rehey ho tum apna dushman
Wohi na apna agar hua to muhabaton ka pata chaley ga

Muhabaton main to patharon ko bhi moom hotey suna ha lekin
Tumharey dil pe asar hua to muhabaton ka pata chaley ga...!
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...