Feb 24, 2016

Dil ko ab youn teri her aik adaa lagti hai


Dil ko ab youn teri her aik adaa lagti hai 
Jis tarah nashay ki halat main hawa lagti hai 

Rat'jagay khawab-e-parishaan se kahin behtar hain 
Larz uth'ta hoon agar aankh zara num lagti hai 

Ae rag-e-jaan kay makeen tu bhi kabhi ghour se sun 
Dil ki dharkan teray qadmon ki sada lagti hai 

Go dukhi dil ko bhout hum ne bachaya phir bhi 
Jis jaga zakham ho wahan chot sada lagti hai 

Shaakh-e-umeed pe khiltay hain talab kay ghunchay 
Ya kisi shokh kay haathon main hina lagti hai 

Tera kehna keh hamein ronq-e-mehfil hain Faraz 
Go ta'ali hai magar baat Khuda lagti hai

Raatein hain udaas din karray hain


Raatein hain udaas din karray hain 
Ae dil teray hoslay baray hain 

Ae yaad habeeb saath dena 
Kuch marhalay sakhat aa paray hain 

Rukna ho agar to so bahanay 
Jana ho to raastay baray hain 

Ab kaisay bataein waja-e-gariya 
Jab aap bhi saath ro paray hain 

Ab janay kahan naseeb le jaye 
Ghar se to Faraz chal paray hain

Hum hain zulmat main keh ubhra nahin khurasheed ab kay


Hum hain zulmat main keh ubhra nahin khurasheed ab kay
Koi karta hi nahin raat ki tar'deed ab kay 

Kon sunta tha hadees-e-gham-e-dil youn to magar 
Hum ne chhairi hai teray naam se tamheed ab kay 

Pee gaye rind keh na'yaab hai sehba warna 
Zehar thi mohtasib-e-shaher ki tanqeed ab kay 

Tishnagi waja-e-junoon hai to chalo youn hi sahi 
Koi sang aaye sar-e-sagar-e-jamshaid ab kay 

Ik zamanay se na roye hain na jaan tarpi hai 
Dil pe laazim hai  teray dard ki tajdeed ab kay 

Qissa-e-ehal-e-wafa janay kahan tak ponchay 
Manzil-e-waar-o-risn tehri hai tamheed ab kay 

Lahu roye hain to gul'naar shafaq phoolay gi 
Aansoo boye hain to hum katein gay khursheed ab kay 

Hum ne yeh soch kay jaan di hai mohabbat main Faraz
buwa'lahoos kartay hain kis rang main taqleed ab kay

Lay urra phir koi khayal hamein


Lay urra phir koi khayal hamein 
Saqiya saqiya sambhal hamein

Ro rahay hain keh aik aadat hai 
Warna itna nahin malaal hamein 

Khilwati hain teray jamaal kay hum 
Aainay ki tarah sambhal hamein 

Marg-e-ambwa jashan-e-shadi hai
Mil gaye dost hasb-e-haal hamein 

Ikhtilaaf-e-jahan ka ranj na tha 
De gaye maat hum-khayal hamein 

Kya tawaqo karein zamanay se 
Ho bhi gar jurr'at-e-sawal hamein 

Hum yahan bhi nahin hain khush lakin 
Apni mehfil se mat nikaal hamein 

Hum teray dost hain Faraz gar 
Ab na uljhano main daal hamein

Sakoot-e-shaam-e-khizan hai qareeb aa jaao


Sakoot-e-shaam-e-khizan hai qareeb aa jaao 
Bara udaas samaan hai qareeb aa jao 

Na tum ko khud pe bharosa na hum ko zeham-e-wafa 
Na Aaitabar-e-jahan hai qareeb aa jao 

Raah-e-talab main kisi ko kisi ka dhiyaan nahin 
Hajoom-e-hum'safran hai qareeb aa jaao 

Jo dast-e-ishq main bichray woh umar bhar na milay 
Yahan dhuwan hi dhuwan hai qareeb aa jao 

Yeh Aandhiyan hain to shaher-e-wafa ki khair nahin 
Zamana khaak-fishaan hai qareeb aa jaao 

Faqiya-e-shaher ki mehfil nahin keh door raho 
YEh bazam-e-peer-maghaan hai qareeb aa jaao 

Faraz door kay suraj ghroob samjhay gaye 
Yeh dour kam-nazran hai qareen aa jaao 

Mohabbat zaat ki takmeel hoti hai


Mohabbat zaat hoti hai 

Mohabbat zaat hoti hai 
Mohabbat zaat ki takmeel hoti hai 
Koi jungle main jaa tehray , kisi basti main bas jaye 
Mohabbat saath hoti hai 
Mohabbat khushbo'on kay liye
Mohabbat mousamon ka dhun 
Mohabbat aabshaaron kay nikhartay paaniyon ka mann
Mohabbat junglon main raqs karti morni ka tan 
Mohabbat chilchalaatay garam sehraaon main thandi chayon ki maanind 
Mohabbat ajnabi duniya main apnay gaaon ki maanind
Mohabbat dil 
Mohabbat jaan 
Mohabbat rooh ka darmaan 
Mohabbat moorti hai 
Aur kabhi jo dil kay mandir main kahin par toot jaye to 
Mohabbat kaanch ki guriya 
Fizaon main kisi kay haath se gar choot jaye to 
Mohabbat aabla hai karb ka 
Aur phoot jaye to
Mohabbat rog hoti hai 
Mohabbat sog hoti hai 
Mohabbat shaam hoti hai 
Mohabbat raat hoti hai 
Mohabbat jhil'milaati aankh main barsaat hoti hai 
Mohabbat neend ki rut main haseen khwaabon kay raaston par 
Sulagtay 
Jaan ko aatay rat'jagon ki ghaat hoti hai 
Mohabbat jeet hoti hai 
Mohabbat maat hoti hai 
Mohabbat zaat hoti hai 

Feb 23, 2016

Woh ajeeb mousam tha hum ne koray kaaghaz par


Woh ajeeb mousam tha 
Hum ne koray kaaghaz par 
Apne khwaab likhay thay 
Hum ne khwaab dekhay thay 
Ankahi kahani ky 
Haroof sab dua se thay 
Dard ku bulawey thay 
Dil ki hukam'rani thi 
Door ufaq kinaron tak
Raah guizaar hamari thi 
Anginat zamano main 
Saans le rahay thay hum 
Ajnabi jazeeron main 
Naqsh paa hamaray thay 
Aankh main thein tehreerain 
Be'pannah jalwon ki 
Chandani ky lehjay ne 
Hum se guftagoo ki thi 
Zindagi ka her manzar 
Lamha lamha jaga tha 
Pehli baar hi hum ne 
Zindagi ko dekha tha 
Roz-o-shab ky meley main 
Khwaab hi to sacha tha 
Fasalon ky jungle main 
Khwaab kho bhi jatay hain

Feb 16, 2016

Main tumhain bhool jaon ab yahi munasib hai





Main tumhain bhool jaon ab yahi munasib hai
magar bhoolna bhi chahon to kis tarah bhoolon 

keh tum to phir bhi haqeeqat ho koi khawaab nahin
yahan to dil ka yeh aalam hai kiya kahoon

bhula saka na yeh woh silsala jo tha hi nahin
woh aik khyal jo awaz tak gaya hi nahin

woh aik baat jo main keh nahin saka tum se
woh aik rabt jo hum main kabhi raha hi nahin

mujhay hai yaad woh sab jo kabhi hua hi nahin
agar yeh haal hai dil ka to koi samjaeye

tumhain bhoolna bhi chahon to kis tarah bhoolon
keh tum to phir bhi haqeeqat ho koi khwaab nahin

main shair hoon to aksar log mujh se poochtay hain


main shair hoon to aksar log mujh se poochtay hain
is haseen israar ke baray main
bataein to bhala kiya hain?
mohabbat aakhrish hai kiya?
wasi main hans ke kehta hoon
kisi piyasay ko apney hissay ka pani pilana bhi 
mohabbat hai
bhanwar main doobtay ko sahil'on tak le ke jana bhi
mohabbat hai
kisi ke wastey nanhi si qurbani bhi 
mohabbat hai
kahin hum raaz saray khol saktay hon magar phir bhi
kisi ki be'basi ko dekh kar khamosh reh jana bhi
mohabbat hai
ho dil main dard , veerani magar phir bhi
kisi ke wastay jabran hi honthon par hansi lana 
zabardasti hi muskana bhi
mohabbat hai
kahin barish main sehmay bheegtay bili ke bachay ko
zara si der ko ghar le ke ana bhi
mohabbat hai
koi chiriya jo kamray main bhat'takti aan nikli ho
to us chriya ko 
phankay band kar ke raasta bahair ka diklana bhi
mohabbat hai
kisi ke zakham sehlana
kisi rotay huye ky dil ko behlana bhi
mohabbat hai
k meetahy bol, meethi baat , meethay lafaz , sab kiya hain?
mohabbat hai
mohabbat aik hi bas aik hi insaan ki khatar
 maghan rehna
hama waqat us ki baton , kushbo'on main dolna kab hai
mohabbat us ki zulf ke bul kholna kab hai
mohabbat ke hazaron rang
laakhon ista'array hain
kisi bhi rang main ho yeh 
mujhay apn abanati hai
yeh meray dil ko bhati hai

ajab pagal si larki hai

ajab pagal si larki hai
meri khamosh aankhon main mehakti , mukurati , gungunati
khawaab se gehri mohabbat ke
sabhi rangon se waqif hai
magar anjaan banti hai
 woh meri be'qarari ke sabhi mah'ney samjhti hai
magar khamosh rehti hai

ussay maloom hai
keh be'tahasha rolney wala
zamaney bhar ke qissay
 daastan'ein us se kehta hai
her ik mozoo pe us se baat karta hai
woh ussay keh nahin sakta
meri sochon ke mehvar ho
tumharay bin yeh zindagi mujhay be'kaar lagti hai
mera her din tumhari soch ke suraj se ugta hai
meri her shaam ke pehlu main
tumhi muskurati ho
meri her raat qarb-e-na'rasaei se sulagti hai
agar khud se tumhain min'ha karon
to kuch nahin bachta

ussay maloom hai yeh shab gaye tak jaagny wala
jissy khabon ki duniya se
mohabbat si mohabbat hai
woh kyn soney se darta hai
ussay kiya khauf la'haq hai
woh khul kar kyn nahin hansta
woh kiyn chup chup ke rota hai
ussy maloom hai sab kuch
magar anjaan banti hai

ussay maloom hai sab kuch
magar anjaan banti hai
ussay yeh kon samjha'ey
keh dil youn na'rasaei ki
tapish ziada dino tak seh nahin sakta
jissay khabon ki duniya se
 mohabbat si mohabbat ho
woh khabon ke bina aisay adhoora reh nahin sakta

ussay yeh kon samjha'ye
keh ussay be'tahasha bolney wala
jo her mozoo par us se baat karta hai
kabhi yeh keh nahin sakta
meri veeraan ankhon main
kai sapney samo jaoo
tumharay bin adhoora hoon
meri takmeel ho jao

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...