Mar 16, 2016

Kaisay pehlu badal raha hai koi




Kaisay pehlu badal raha hai koi 
Dil se kaanta nikal raha hai koi 

Us badan ka tarakna mat poocho 
Khushk paton pe chal raha hai koi 

Taazgi khaa gaya koi us ki 
Zard bailon main pal raha hai koi 

Chand suraj ka aik manzir hai 
Ban kay pani uchal raha hai koi 

Karwatein le rahi hai phir se zameen 
Jaisay andar se jal raha hai koi 

"Saad" ehsaas kab kisi ko hai 
Waqat kay saath dhal raha hai koi 
 

Gul parishan ho gaye hain dekh lo


Gul parishan ho gaye hain dekh lo 
Sapnay armaan ho gaye hain dekh lo 

Aainay main hai teri tasveer bhi 
Log hairan ho gaye hain dekh lo 

Apnay gham ko baichtay phirtay hain hum 
Kitnay arzan ho gaye hain dekh lo 

Lazar-e-ehsaas ki yeh be'basi 
Dard darmaan ho gaye hain dekh lo 

Khawab dekhaye ab hamein arsa hua 
Din bhi veeran ho gaye hain dekh lo

Apnay dil se poocho tum aur kaho keh hum kya hain


Apnay dil se poocho tum aur kaho keh hum kya hain 
Hum se hai sabhi kuch yeh warna sab sanam kya hain 

Hum ne hijar ko khud pe kar liya hai taari kiyon 
Ik khizan ki surat hai , is se barh kay gham kya hain 

Jis kay dil main nafrat ho woh karay mohabbat kiyon 
Sang dil se poocho to chasham-e-haye num kya hain 

Ayo kuch to likhein hum lakin aik jazbay se 
Gar nahin hai aisay to loh aur qalam kya hain 

Ayo muskuraein hum sab ko bhool jayein hum 
Do ghari to khush ho lain jeetay jee sitam kya hain 

Us ki kaj-adaei bhi hai faraib nazron ka 
"Saad" mat ulajhna tum ka'kalon kay khum kya hain 

Jab bhi chahtay ho hum khud ko dekh letay hain 
Samnay un aankhon kay "Saad" jaam-e-jum kya hain

Ik khawab to poora ho phir doosra dekhein gay


Ik khawab to poora ho phir doosra dekhein gay 
Lagta hai muk'krar hum aik aap sa dekhein gay 

Chaltay hain jahan tak ho mushkil hai to phir kya hai 
Dewane safar par hain kya Aabla dekhein gay 

Bhatkay ho to socho phir kis simat se bhatkay ho 
Jo khoj main niklein gay woh qaafla dekhein gay 

Un'honi bhi honay ko ho jati hai pal bhar main 
Kab sochein gay  us ka woh jo saniha dekhein gay 

Umeed pe qaim hai ae "Saad" yeh duniya bhi 
Umeed bar aaye gi jab raasta dekhein gay


Kon samjhay mera tanha hona


Kon samjhay mera tanha hona
Yeh hai duniya se sha'nasa hona

Ik shagufta sa khayal aaya tha
Haye ! us husan ka yakjaa hona

Lafz roshan huye in aankhon main
Yeh andheron ka hai paspa hona

Kitnay gardaab huye hain paida
Dil-e-dariya ka yeh gehra hona

Kab tak aankhein yeh beh'ein gi aisay
Ik samandar ko hai sehra hona

Bad'gumani hi sahi  ho to sahi
Ik taluq ka youn paida hona

Saad jee aur bhi jaan leva hai
Us kay beemar ka acha hona

Weham ik mohjaza-e-sheesha giran hai koi


Weham ik mohjaza-e-sheesha giran hai koi 
Her haqeeqat main kahin aik gumaan hai koi 

Aik koshish keh main tasveer utha'on dil ki 
Phir yahi khouf keh yaan khwab jawan hai koi 

Ik dhuwan sa hai , hayola sa hai , ya phir kya hai 
Yeh to duniya kay bikharnay ka samaa hai koi 

Kya dikha'on woh dara'rain keh jo is rooh pe hain 
Apnay imkaan se zara waqif-e-jahan hai koi 

Her ro'ein main hai hararat keh lahu jagta hai 
Aisay lagta hai ragon main bhi rawan hai koi

Mar 15, 2016

Her gali apna fasana bhi tha


Her gali apna fasana bhi tha 
Us ne chora keh bahana bhi tha 

Dair kuch hum ne bhi ki bach'nay main 
Aur kuch us ka nishana bhi tha 

Kuch meri umar bhi aisi hi thi 
Kuch woh mousam keh sohana bhi tha 

Main akela to nahin tha kuch bhi 
Saath apnay yeh zamana bhi tha 

Apnay zimmay thi hifazat us ki 
Aur phir khud ko bachana bhi tha 

"Saad" ik aag thi in jazbon main 
Jis ne is dil ko jalana bhi tha

Is main kya shak hai keh us ka nahin sani koi


Is main kya shak hai keh us ka nahin sani koi 
Warna mehfooz chali aati nishani koi 

Dil se youn phoot'ti parti hai mohabbat us ki 
Jaisay taareki main ho raat ki rani koi 

Main ne imkaan se baahir bhi  hai socha us ko 
Aqal-o-dil chu na sakay aur kahani koi 

Us ki matti se kai chand sitaray ubhray 
Jis ne is dar kay siwa khaak na chaani koi 

Kya ta'ajub hai keh us ka bhi wohi waris hai 
Jis gunnah'gaar ne is ki nahin maani koi 

Kis tarah "Saad" mehak uth'ti hai matti pal main 
Meri aankhon se jo chalkata hai pani koi

Niklay sadaf ki aankh se moti mar'ray huye


Niklay sadaf ki aankh se moti mar'ray huye 
Phootay hain chandni main shagoofay jalay huye 

Hai ehtamam-e-giriya-o-maatam chaman chaman 
Rakhay hain maqtalon main janazay sajay huye 

Her aik sang-e-meel hai , ab nang-e-rah'guzar 
Hain reh'baron ki aqal pe pathar paray huye 

Be'waja to nahin hain chaman ki taba'hiyan 
Kuch bagh'baan hain barq-o-sharar se milay huye 

Ab meh'kaday main bhi nahin kuch ehtamaam-e-kaif 
Veeran hain sha'oor to dil hain bujhay huye 

"Saghar" yeh wardaat-e-sukhan bhi ajeeb hai 
Naghma taraaz-e-shouq hoon , lab hain silay huye

Mojein hain aur bada gisaron kay qaaflay


Mojein hain aur bada gisaron kay qaaflay 
Raqsan hain mast mast kinaron kay qaaflay 

Youn karwan-e-zeest rawan hai keh sath sath 
Raftaar main hain bada gisaron kay qaaflay 

Palkon pe jam rahi hai gham-e-zindagi ki Oas 
Banhon main so gaye hain saharon kay qaaflay 

Is ambreen si zulf-e-parishan ko dekh kar 
Be'taab ho gaye hain chinaron kay qaaflay 

Ruk ruk kay aa rahi hain baharon ki nikhatein 
Tham tham kay chal rahay hain angaron kay qaaflay 

Mehsoos ho raha hai yeh phoolon ko dekh kar 
Ghabraa kay so gaye hain shararon kay qaaflay 

Ae jaan-e-in'bisaat-e-taj'jali dohaai hai !
Aa jaa kay lut chalay hain sitaron kay qaaflay 

Hai sehan-e-aarzoo main lutti chandni ki dhool 
"Saghar" chalay gaye meray yaaron kay qaaflay
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...