Apr 6, 2016

Abhi to raat baqi hai




Abhi to raat baqi hai 

Abhi taray chamaktay hain 
Abhi suraj nikalnay main 
Zara ta'kheer baqi hai 
Abhi teri kahi baatein !
Meri palkon pe baithi hain 
Abhi manzir judaai ka 
Meri aankhon main thehra hai
Abhi ik aas ka deepak 
Meri aankhon main jalta hai 
Abhi jo khud se kehni hai 
Woh mushkil baat baqi hai 
Abhi kuch dair rona hai 
Abhi to raat baqi hai 

Kitna bojhal sa lehja tha




"Kitna bojhal sa lehja tha "

Kitna bojhal sa lehja tha 
Jab tu ne mujh se poocha tha 
Pyar kay baray main kuch bolo 
Ishq ki sari ramzein kholo 
Pyar ibadat kiyon hota hai ?
Dard ki koi had hoti hai ?
Hijar qayamat kiyon hota hai ?
Kitna bojhal sa lehja tha !
Jab tu ne yeh sab poocha tha 
Aur main us bojhal lehjay main 
Khud ko jalta dekh raha tha 
 
 

Teray meray beech zamana parta hai


Teray meray beech zamana parta hai 
Dil ko kitni baar bata'na parta hai 

Thehar gayi hai baat muqadar par aa kar 
Khud ko yeh aksar samjhana parta hai 

Sochon ko kab koi qaid kar paya hai 
Lakin khud ko to samjhana parta hai 

Rasta ho dushwaar ya raahi anjanay 
Is jeewan ka saath nibhana parta hai 

Khamoshi kay dasnay ka dar ho jis dam 
Aisay main khud shor machana parta hai 

Paas meray to sirf tumhari yaadein hain 
Yaadon se dil ko behlaana parta hai

Ajab si yeh mohabbat hai ajab sa rabt hai hum main




Ajab si yeh mohabbat hai 
Ajab sa rabt hai hum main 
Na ik doojay ko dekha hai 
Na ik doojay ki awazon main ik doojay ko dhoonda hai 
Tumhein jo kuch kaha main ne , ussay tum sach samajhti ho 
Mujhay jo kuch kaha tum ne , ussay main sach samajhta hoon 
Isi ik 
Chat window 
main 
Hum ik doojay kay jeewan kay her ik mousam main rehtay hain 
Ajab sa rabt hai hum main 
Ajab si yeh mohabbat hai 
Jissay tasveer aur awaz se kuch bhi nahin lena
Jissay khawaish nahin koi 
Kisi ko ru-ba-ru dekhein 
Kisi awaz ko poojein 
Mohabbat ki shabahat ko 
Kisi anmol saa'at ko  
Kisi kay aks main dhoondein 
Ajab si yeh mohabbat hai 
Keh jis main lafz kehtay hain aur aankhein kuch nahin kehtein 
Yeh lafzon se behalti hai , yeh un main saans leti hai 
Yeh un be'jaan tasveeron main kitnay rang bharti hai 
Ajab sa rabt hai hum main 
Ajab si yeh mohabbat hai 
Keh jaisay awaz aur tasveer se kuch bhi nahin lena 
Keh jo lafzon ki khushbu se dilon ko gun'gunati hai 
Keh jo palkon pe chahat kay hazaron khawab likhti hai 
Tumharay aur meray darmiyaan jo saans leti hai 
Ajab si woh mohabbat hai

Mujhay jo aankh se ojhal dikhaai deta hai


Mujhay jo aankh se ojhal dikhaai deta hai 
Woh chup rahay bhi to mujh ko sunaai deta hai 

Tumharay paaon main rakh di hai shairy apni 
Kisi ko kon youn apni kamaai deta hai 

Keh jaisay sab se gunnah'gaar hai woh duniya main 
Woh baat baat pe itni safaai deta hai

Jab khizaan ne sab darakhton ko akela kar diya


Jab khizaan ne sab darakhton ko akela kar diya 
Aik panchi dukh main dooba tehniyaan ginta raha 

Rait pe likhay huye woh naam kab kay mitt gaye 
Magar saahil pe baitha seepiyan ginta raha 

Jab talash-e-rizq ne chalnay ki taqat cheen li 
Baith kar foot'path par woh gariyan ginta raha

Abhi tak to hum khud'faraybi ki dhund main


Abhi tak to hum khud'faraybi ki dhund main 
Youn haathon ko thaamay 
Judai kay khadshon ko dil se nikalay 
Chalay jaa rahay hain 
Magar dhund chattay gi 
To maloom ho ga 
Keh hum is safar main akelay nahin hain 
Judai hamesha se thi saath apnay 

Zamanay se juda lagnay laga hai


Zamanay se juda lagnay laga hai 
Woh kitna ba'wafa lagnay laga hai 

Yeh kaisay dor main hum jee rahay hain 
Bashar bhi ab khuda lagnay laga hai 

Mujhay tareekiyon ne das liya hai 
Mujhay jugnoo diya lagnay laga hai 

Ajab si pyas thehri hai labon par 
Samandar bhi zara lagnay laga hai 

Dukhi logon kay aansoo ponjhta hai 
Woh kitna parsaa lagnay laga hai 

Youn apnay shaher main gum ho gaya hoon 
Keh her rasta naya lagnay laga hai 

Mohabbat ki tabiyat main agarcha gham nahin hota


Mohabbat ki tabiyat main agarcha gham nahin hota 
Magar khadsha judai ka ghamon se kam nahin hota 

Koi jugnoo, koi taara kahin se dhoond kar laao !
Gharon ko phoonk denay se andhera kam nahin hota 

Mohabbat karnay walay to hamesha saath rehtay hain 
Mohabbat main judai ka koi mousam nahin hota 

Mujhay tum chor kar khud bhi sari umar tarpay ho 
Koi aisi saza detay tumhein to gham nahin hota

Zameen walon se yeh keh kar falak se dhal gaya suraj 
Ujaala baant denay se ujaala kam nahin hota

Tum se milnay ka wada tha


Jeet 

Tum se milnay ka wada tha 
Jee karta tha 
Jaisay mujh ko tarpati ho 
Waisay hi tum ko tarpa'on 
Tum se aaj na milnay jaaon 
Lakin aaj bhi dekho jana !
Meri mohabbat , meri zid se 
Jeet gayi hai 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...