Apr 26, 2016

Kabhi chor aankhon se dekh liya


" Aik khush baash larki "

Kabhi chor aankhon se dekh liya 
Kabhi be'dhiyani ka zehar diya 

KAbhi honton se sar'goshi ki 
Kabhi chaal chali khamoshi ki 

Jab janay lagay to rok liya 
Jab barhnay lagay to tok diya 

Aur jab bhi koi sawal kiya 
Us ne hans kar taal diya

Likh likh kay tera naam mita'ta raha hoon main


Likh likh kay tera naam mita'ta raha hoon main 
Kuch is tarah se tujh ko bhulata raha hoon main 

Dushman to meray paas se guzra nahin kabhi 
Yeh zakham doston se hi khaata raha hoon main 

Lutnay kay baad mujh ko yeh ehsaas ho gaya 
Loota usi ne jis ko bachata raha hoon main 

Jab mujh ko yeh pata tha  woh mera nahin hai phir 
Us ki gali main kis liye jata raha hoon main 

Janay woh kis kay khawab ki tabeer ho gaya 
Aankhon main jis kay khawab sajata raha hoon main 

"Manan " main bhi kis qadar sada mizaaj hoon 
Ik be'wafa ko apna banata raha hoon main 

Lagta hai dabo kar kabhi maaray gi mujhay tu


Lagta hai dabo kar kabhi maaray gi mujhay tu 
In jheel si aankhon main utaaray gi mujhay tu 

In achay dino main to bhout saath hain teray 
Jab waqat paray ga to pukaray gi mujhay tu 

Her chand tujhay meri wafa par bhi yaqeen hai 
Mushkil se magar phir bhi guzaray gi mujhay tu 

Toray gi sitam aisay keh jeeta bhi rahoon main 
Ehmaq nahin keh jaan se maaray gi mujhay tu 

Tu mujh se bhout toot kay karti thi mohabbat 
Tha kis ko pata dil se utaaray gi mujhay tu 

Manan bharosa tha mujhay zaat pe teri 
Bigron ga agar main tu sanwaray gi mujhay tu

Yeh jo zindagi hai ajeeb si , yeh jo roz-o-shab hain udas se


" Meray hum'safar meray hum sukhan "

Yeh jo zindagi hai ajeeb si 
Yeh jo roz-o-shab hain udas se 
Yeh jo sa'atein hain ruki hui 
Yeh jo dard meray naseeb kay 
Teray bakhat main bhi likhay gaye 
Yeh jo raabtay hain daray huye 
Yeh jo dooriyan si hain darmiyan 
Main agar tujhay jo sanwaar doon 
Teray roz-o-shab main nikhaar doon 
Mera haath thaam kay ehad do 
Mujhay aisay dil main rakho gay tum 
Meray saath saath raho gay tum 
Meray humsafar meray hum'sukhan 
Tujhay is qadar jo main pyar doon 
Keh yeh zindgani hi haar doon 
To batao na meray baad bhi 
Yahi ehad apna nibhao gay 
Ya keh mujh ko bhool hi jao gay

Resham zulfon , neelam aankhon walay chehray achay lagtay hain


Resham zulfon , neelam aankhon walay chehray achay lagtay hain  
Main shair hoon mujh ko ujlay chehray achay lagtay hain  

Tum khud socho , aadhi raat ko thanday chand ki chaon main 
Tanha rahon par hum dono kitnay achay lagtay hain 

Aakhir aakhir sachay qoal bhi chubhtay hain dil walon ko 
Pehlay pehlay payar kay jhootay waday achay lagtay hain 

Jab se woh pardes gaya hai shaher ki ronaq rooth gayi 
Ab to apnay ghar kay band dareechay achay lagtay hain 

Kaali raat main jag'mag kartay taaray kon bujhata hai 
Us dulhan ko yeh moti yeh gehnay , achay lagtay hain 

Kal us roothay roothay yaar ko dekha to mehsoos hua 
Mohsin ujlay jisam pe mailay kapray achay lagtay hain 

Koi ik aadh sapna ho to phir acha bhi lagta hai


Koi ik aadh sapna ho to phir acha bhi lagta hai 
Hazaron khawab aankhon main saja kar kuch nahin milta 

Ussay kehna keh palkon par na taankay khawab ki jhalar 
Samnadar kay kinaray ghar bana kar kuch nahin milta

Shayed koi khawaish roti rehti hai


Shayed koi khawaish roti rehti hai 

Meray andar baarish hoti rehti hai

Rukay rukay se qadam ruk kay baar baar chalay


Rukay rukay se qadam ruk kay baar baar chalay 
Qaraar de kay teray dar se be'qaraar chalay 

Uthaye phirtay thay ehsaan jisam ka jaan par 
Chalay jahan se to yeh peh'rahan utaar chalay 

Na janay kon si matti watan ki matti thi 
Nazar main , dhool , jigar main liye ghubaar chalay 

Sehar na aayi kai baar neend se jaagay 
So raat raat ki yeh zindagi guzaar chalay 

Mili hai shamma se yeh rasm-e-aashiqui hum ko 
Gunnah haath pe lay kar gunnag gaar cahlay

Dil ka aangan raat andhera ,Jeewan gehri shaam


Shaam

Dil ka aangan raat andhera 
Jeewan gehri shaam 
Dukh kay mousam sukh aangan main 
Utray aayi shaam 
Rang , dhanak aur badal khushbu 
Qissay khawab huye
Sukh jeewan ka loot kay lay gayi 
Ghoor andheri shaam 
Pichli raat ka ujla mousam 
Rang bahaar kay din 
Roshan subhein nikhri batein
Pyar khumaar kay din 
Shabnam lehjay , resham batein 
Sab ka aik hi naam 
Tara si aankhon main bhar gayi
Dukh ka kajal shaam 
Jhoota roop dikha kar apna 
Aakhir kar gayi shaam 
Roshan , jag'mag kartay din se 
Dhoka kar gayi shaam 
Raat siyahi se aalam ka 
Soda kar gayi shaam

Shaam se aankh main nami si hai


Shaam se aankh main nami si hai 
Aaj phir raat ki kami si hai 

Dafan kar do hamein keh saans aaye 
Nabaz kuch dair se thami si hai 

Kon pathraa gaya hai aankhon main 
Barf palkon pe kiyon jami si hai 

Waqat rehta nahin kahin tik kar 
Aadat us ki bhi aadmi si hai 

Aaiye raastay alag kar lain 
Yeh zaroorat bhi bahami si hai 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...