Jan 4, 2017

Main lamhon ka gada'gar tha




Tamseel 

Main lamhon ka gada'gar tha 
Tumharay ja'widaan afroz lamhon ki pazee'rish ka gada'gar tha 
Sar'a sar ik gada'gar 
Ik be'kashkol-o-kaasa ik be'koocha ba'koocha 
Be'sada-o-be'dua az khud guzishta ik gada'gar tha 
Jo gumaan-e-pur sar-o-soda kay jaan parwar suraagh aarzoo agaheen main 
Rafta aur Aainda kay khawabon ki gada'i pesha karta tha 
Khayalon ko , nafs boodish khayalon ko , abd Aandesha karta tha 
Yeh aik tamseel thi , be'samna tamseel 
Aur jo kuch tha yeh hi tha , bas yeh hi kuch tha 

Doosra Manzar 

Phiras kay baad jaana na 
Tumhari jawidana aarzoo kay baazwan-e-mar'mareen 
Meray , Marray aagosh kay marg-e-sufaid-e-be'kaghaan main 
Meri dil ju zindagi thay arjamandi thay 
Main jin main harm-o-hur sundar rehta tha
Yeh meri dam ba dam ki zindagi ki sehna tabi thi 
Meri her aarzoo pehlu sabza gon thi aur shahabi thi 

Teesra Manzar

Phir us kay baad kay manzar main 
Jo paish aaya hai woh kuch youn hai keh main tum main 
Tumharay jaaan fiza aaghosh ki nazdeek tar khushbu main 
Aur is kay girda gird main dam tor deta hoon 
Phir us kay baad zinda ho kay uth'ta hoon 
Qayamat ki hansi hansta hoon 
Phir saktay main reh jata hoon 
Aakhir ik nihayat khanda awar gariya karta hoon 

Tumharay aur meray darmiyaan ik baat hona thi




Tumharay Aur Meray Darmiyaan 

Tumharay aur meray darmiyaan ik baat hona thi 
Balaa ka din nikalna tha balaa ki raat honi thi 
Balaa ka din bhi nikla aur balaa ki raat bhi guzri 
Azaab-e-zaat bhi guzra fana-e-zaat bhi guzri 

Raas aa nahin saka koi paymaan alwida



Raas aa nahin saka koi paymaan alwida
Tu meri jaan-e-jaan so meri jaan alwida 

Main teray saath bujh na saka had guzar gayi 
Aye sham'ma ! main hoon tujh se pash-e-maan alwida 

Main jaa raha hoon apnay biya'baan-e-haal main 
Damaan alwida ! Giribaan alwida 

Ik rood-e-na'shanaas main hai doobna mujhay 
So Ae kinaar-e-rood , biya'baan alwida 

Khud apni ik mata-e-zaboh-e-zaboon reh gaya hoon main 
So alwida ! Ae meray samaan alwida 

Sehna to ik saza thi miraad thi miraad-e-mohaal ki 
Ab hum na mil sakein gay , miyan jaan alwida 

Ae shaam gaah-e-sehan malaal hamesh'gi 
Kya janay kya thi teri her ik aan , alwida 

Kis kis ko hai ilaaqa yahan apnay ghair se 
Inssan hoon main , tu bhi hai insaan alwida

Nisbat kisi bhi shay se kisi shay ko yahan nahin 
Hai dil ka zarha zarha parishaan alwida

Rishta mera koi bhi "Alaf" , "Bay" se ab nahin 
Amrooha alwida so Ae "Baan" alwida 

Ab main nahin raha hoon kisi bhi gumaan ka 
Ae meray kufar , Ae meray Emaan alwida 

Aap apna ghubaar thay hum to



Aap apna ghubaar thay hum to 
Yaad thay yaad'gaar thay hum to 

Pardagi ! hum se kiyon rakha parda 
Teray hi parda'daar thay hum to 

Waqat ki dhoop main tumharay liye 
Shajar saya'daar thay hum to 

Urray jaatay hain dhool ki maanind 
Aandhiyon par sawaar thay hum to 

Hum ne kiyon khud pe Aaitabaar kiya 
Sakhat be'aaitabaar thay hum to 

Sharam hai apni baar baari ki 
Be'sabab baar baar thay hum to 

Kiyon hamein kar diya gaya majboor
Khud hi be'ikhtiyaar thay hum to 

Tum ne kaisay bhula diya  hum ko 
Tum se hi mus'ta'aar thay hum to 

Khush na aaya hamein jiye jaana 
Lamhay lamhay pe baar thay hum to 

Seh bhi letay hamaray tah'no ko 
Jaan-e-mann jaan nisaar thay hum to 

Khud ko doraan-e-haal main apnay 
Be'tarah na'gawaar thay hum to 

Tum ne hum ko bhi kar diya bar'baad 
Na'dar-e-roz'gaar thay hum to 

Hum ko yaaron ne yaad bhi na rakha 
"Jon" yaaron kay yaar thay hum to 

Honay ka dhokha hi tha




Honay ka dhokha hi tha 
Jo kuch tha woh tha hi tha 

Ab main shayed teh main hoon 
Par woh kya dariya hi tha 

Bood meri aisi bikhri 
Bas main ne socha hi tha 

Bhoolnay baitha tha main ussay 
Chaand abhi nikla hi tha 

Hum ko sanam ne khawaar kiya
Warna Khuda acha hi tha 

Kaisa azl aur kaisa abd
Jis dam tha lamha hi tha 

Kisi haal main nahin hoon , koi haal ab nahin hai




Kisi haal main nahin hoon , koi haal ab nahin hai 
Jo gayi palak talak tha woh khayal ab nahin hai 

Main sakoon paa sakoon ga yeh gumaan bhi kiyon kiya tha 
Hai yeh hi malaal kya kam keh malaal ab nahin hai 

Na rahay ab us kay dil main khalish-e-shakist-e-wada
Keh yahan koi hisaab-e-mah-o-saal ab nahin hai 

Yeh diyaar-e-deed kya hai gaye dasht-e-dil se bhi hum 
Keh khatan-e-zameen main bhi woh ghazaal ab nahin hai 

Jo liye liye phiri hai tujhay roz ik nagar main 
Meray dil teray nagar main woh misaal ab nahin hai 

Lab-e-pur sawal lay kay hamein kooba kooba hai phirna
Ho koi jawaab bar-e-lab yeh sawal ab nahin hai 

Mujh ko shab-e-wajood main tabish-e-khawab chahiye




Mujh ko shab-e-wajood main tabish-e-khawab chahiye 
Shouq-e-khayal taza hai yehni azaab chahiye 

Aaj shakist-e-zaat ki shaam hai , mujh ko aaj shaam 
Sirf sharaab chahiye , sirf sharaab chahiye 

Kuch bhi nahin hai zehan main kuch bhi nahin so ab mujhay 
Koi sawal chahiye koi jawab chahiye 

Us se nibhay ga rishta sood-e-ziyan bhi kya bhala 
Main hoon balaa ka bad hisaab , us ko hisaab chahiye 

Aman-o-amaan-e-shaher dil khawabo-o-khayal hai abhi 
Yehni keh shaher-e-dil ka haal aur kharaab chahiye 

Jaan-e-gumaan hamein to tum sirf gumaan main rakho 
Tishna labi ko her nafs koi saraab chahiye 

Khull to gaya hai dil main aik maktab-e-hasrat-o-umeed 
"Jon" ab us kay wastay koi nisaab chahiye 

Dil jo hai aag laga doon is ko



Dil jo hai aag laga doon is ko 
Aur phir khud hi hawa doon is ko 

Jo bhi hai us ko ganwa bhaitha hai 
Main bhala kaisay ganwa doon us ko 

Tujh gumaan par jo imaarat ki thi 
Sochta hoon keh main dhaa doon is ko 

Jisam main aag laga doon is kay 
Aur phir khud hi bujha doon is ko 

Hijar ki nazar to deni hai ussay 
Sochta hoon keh bhula doon us ko 

Jo nahin hai meray dil ki duniya 
Kiyon na main "Jon" mitta doon is ko 

Be'intahai shaiwa hamara sada se hai


Be'intahai shaiwa hamara sada se hai 
Ik dam se bhoolna ussay phir ibtida se hai 

Yeh shaam janay kitnay hi rishton ki shaam ho 
Ik huzan dil main nikhat-e-moj-e-saba se hai 

Dast-e-shajar ki tohfa risaani hai taba-e-dil 
Us dam se jo bhi dil main meray woh hawa se hai 

Jaisay koi chala bhi gaya ho aur aaye bhi 
Ehsaas mujh ko kuch yeh hi hota fiza se hai 

Dil ki sahulatein hain ajab , mushkalein ajab 
Na'aashnai si ajab ik aashna se hai 

Is main koi gila hi rawa hai na guftagoo 
Jo bhi yahan kisi ka sukhan hai woh jaa se hai 

Aaye woh kis hunar se labon par keh mujh main "Jon"
Ik khamoshi hai jo meray shor-e-nawa se hai  

Aadmi waqat par gaya ho ga


Aadmi waqat par gaya ho ga 
Waqat pehlay guzar gaya ho ga 

Woh hamari taraf na daikh kay bhi 
Koi ehsaan dhar gaya ho ga 

Khud se mayoos ho kay baitha hoon 
Aaj her shakhs mar gaya ho ga 

Shaam teray diyaar main aakhir 
Koi to apnay ghar gaya ho ga 

Marham hijar tha ajab akseer 
Ab to her zakham bhar gaya ho ga 


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...