Sep 13, 2017

Jab tanha sawan main bheego gay


Jab tanha sawan main bheego gay
Jab aangan khaali paao gay 
Jab raat kay kaalay daman main 
Tum chand ko aadha paao gay 
Jab khud se baatein kartay huye 
Tum khud bhi kabhi thak jao gay 
Jab saahil ki takraati lehron main 
Tum door kahin kho jao gay 
Aur mann kay soonay pan main kabhi
Tum tanhai se ghabrao gay 
Tab main .....
Tum se mohabbat karta hoon 
Her baar yeh suna'nana chahao gay 
In hi tamaam lamhon main jaan lena
Keh tum , tum nahin hum ban jao gay 

Ya tujhay daikh kay bhar aaye khushi se aansu


Ya tujhay daikh kay bhar aaye khushi se aansu 

Ya meri aankhon main guzri hui shab hai koi 

Tumhein yeh dard likhna hai


Tumhein yeh dard likhna hai
Tumhara bool jana bhi
Tumhara yaad aana hai
Chalo aisa karein jaana , chalo aisa karein jaana
Bhulanay ki qasam ko ab
Naya ik naam detay hain
Mujhay shikwa na ho koi
Tumhein bhi ranj na ho ga
Badaltay waqat aur halaat ko ilzaam de lain hum
Zehar ki ik puriya tum
Bachay khawabon ko de dena
Zehar ki ik puriya main 
Bachay khawabon ko de doon ga
To shayed bhool jayein hum
To shayed bhool jayein hum
Bachaa kar kuch nahin rakhna
Tumhein yeh dard likhna hai
Tumhara bool jana bhi
Tumhara yaad aana hai



Shab ko neend main aa jaye agar khayal uss ka


Shab ko neend main aa jaye agar khayal uss ka

Subha bistar se bhi phoolon ki mehak aati hai ...

Jis ki sun lo wohi farishta hai


Jis ki sun lo wohi farishta hai

Na'janay insaan kahan rehtay hain 

Tumharay saath jo guzray


Tumharay saath jo guzray

Wohi pal zindagi thehray

Issi koochay main kai uss kay sha'nasa bhi to hain


Issi koochay main kai uss kay sha'nasa bhi to hain 

Woh kisi aur se milnay kay bahanay aaye 

Teray harf-o-lab ka talism tha , meri aab-o-taab main reh gaya


Teray harf-o-lab ka talism tha , meri aab-o-taab main reh gaya 
Woh kisi gulab ka aks tha jo meri kitab main reh gaya 

Main kahan sarapa-e-naaz thi mujhay yaad hai shab-e-tairagi
Woh kisi kay lams ka moh'jaza jo meray shabaab main reh gaya 

Meri baat baat main roshni , meray harf harf main dil'kashi
Tu meray shareek-e-wisaal-e-jaan , meri her kitab main reh gaya 

Dil-e-khush gumaan teri khair ho, tu hai phir yaqeen ki saleeb par 
Tujhay phir kisi se shikayatein , tu issi azaab main reh gaya 

Tujhay kya mila dil-e-mubtalaa , na koi dua na kahin wafa 
Magar ik arsa-e-raigaan , jo teray hisaab main reh gaya 

Koi phool khil kay bikhar gaya , koi baat ban kay bigar gayi 
Na sawal koi labon pe hai na gila jawab main reh gaya 

Woh jo mera ehad-e-jamaal tha , woh jo mera shaher-e-khayal tha 
Magar uss ka zikar-e-kamaal bhi kahin dasht-e-khawab main reh gaya 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...