Jun 23, 2018

Hamein to hukm-e-majawari hai




ہمیں تو حکم مجاوری ہے
مزار دل میں ہے کون مدفن
یہ کس عروسہ کا مقبرہ ہے
نہ کوئی کتبہ"
نہ کوئی تختی"
نہ سنگ مر مر کی سل پہ لکھا ہوا
محبت کا کوئی مصرع
فقط سرہانے سے پائینتی تک
امر کی بیل اک لپٹ گئ ہے
جو اک زمانے سے کہہ رہی ہے
یہاں ٹھکانہ تھا عاشقی کا
یہ پیر خانہ تھا عاشقی کا
کسے خبر تھی یہاں ہے مدفن
فقیر کوئی"
اسیر کوئی"
یا پھر وارث کی ہیر کوئی 
مگر ہماری مجال کیا ہے 
یہاں جو بولیں"
زبانیں کھولیں"
ہمارے لب تو سلے ہوئے ہیں
نہ جانے کب سے سلے ہوئے ہیں
ہمیں تو حکم__مجاوری ہے


Hamein to hukm-e-majawari hai 
Mazar-e-dil main hai kon mad'fun 
Yeh kis aroosa ka maqbara hai 
Na koi kutba "
Na koi takhti "
Na sang-e-mar mar ki sil pe likha hua 
Mohabbat ka koi misra 
Faqat sarhanay se pa'inti tak 
Amar ki bail ik lipat gayi hai 
Jo ik zamanay se keh rahi hai 
Yahan thikana tha aashiqui ka 
Yeh peer khana tha aashqui ka 
Kissay khabar thi yahan hai mad'fun 
Faqeer koi "
Aseer koi "
Ya phir waris ki heer koi 
Magar hamari majaal kya hai 
Yahan jo bolein "
Zaban kholein "
Hamaray lab to silay huye hain 
Na janay kab se silay huye hain 
Hamein to hukm-e-majawari hai 







Yeh jo dehshat gardi hai


Yeh jo dehshat gardi hai 

Is kay peechay darzi hai 

Ki gham sunawa is december da


Ki gham sunawa is december da 

Sajn nikliya harami ik number da 

Shayad woh muntazir tha , kisi aisay waqt ka


Shayad woh muntazir tha , kisi aisay waqt ka 

Main kuch bhi kahoon aur woh mera saath chor de

Lamhay ko bewafa samajh lijiye


Lamhay ko bewafa samajh lijiye 
Jawadani ada samajh lijiye 

Meri khamoshi-e-musal'sal ko 
Ik musal'sal gila samjh leejiye 

Jis gali main bhi aap rehtay hoon 
Wahan mujhay ja ba ja samjh leejiye 

Aap aa jaiye qareeb meray 
Mujh ko mujh se juda samjh leejiye 

Jo na ponchaye aap tak mujh ko 
Aap ussay wasta samjh leejiye 

Nahin jab koi mud-dua mera 
Koi to mud'dua samjh leejiye  

Jo kabhi haal-e-haal main na chalay 
Uss ko baad-e-saba samjh leejiye 

Jo kahin bhi na ho , kabhi bhi na ho 
Aap uss ko khuda samjh leejiye 


Kabhi sajde kabhi aansu


Kabhi sajde kabhi aansu 
Kabhi haathon ka uth jana 
Khwaishein adhoori hoon to rab kitna yaad aata hai 

Jab aap hi nazar nahin aatay to


Jab aap hi nazar nahin aatay to 

Hum in aankhon ka kya karein gay ?

Kabhi kabhi woh aisi rasai deta hai


Kabhi kabhi woh aisi rasai deta hai 

Woh sochta hai , mujhe sunai deta hai 

Her raat mujhay ik naam yaad aata hai


Her raat mujhay ik naam yaad aata hai 
Kabhi kabhi subah sham yaad aata hai 

Jab sochta hoon keh kar loon doosri mohabbat 
To pehli mohabbat ka anjaam yaad aata hai 


Taluq khatam karne ka ikhtiyar tha un ko be-shak


Taluq khatam karne ka ikhtiyar tha un ko be-shak 

Par woh jo bana rahay thay woh bahanay ajeeb thay 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...