May 24, 2014

sab se chupa kar dard jo woh muskura diya



sab se chupa kar dard jo woh muskura diya

us ki hansi ne to aj mujh ko bhi rula diya

zubaan se uth rahi thi her dard ki dastaan 

chahera bata raha tha keh sab kuch ganwa dia

awaz main teh'rao tha aur aankhon main nami 

aur keh raha tha keh main ne sab kuch bhula dia

janey kiya us ko logon se thein shkaetin

tanha hoon ke des main khud ko basa dia

khud bhi woh hum se bichar kar adhoora sa ho gaya 

mujh ko bhi itney logon main tanha bana gaya

be'naam musafir hoon be'naam safar mera


be'naam musafir hoon be'naam safar mera

kis raah nikal jaon kuch keh nahin sakta

be'naam manzil meri be'naam thikana hai

kis dar pe ruk jaon kuch keh nahin sakta

is paar to roshan hai sara rasta mera

us paar ho andhera kuch keh nahin sakta

tinkay ki tarah main bhi beh jaon samandar main

mil jaye ga kinara kuch keh nahin sakta 

mil jaye gi tabeer aik din meray khawabon ki

yeh khwaab bikhar jaein to kuch keh nahin sakta

Masoom mohabbat ka bas itn afasana hai


Masoom mohabbat ka bas itn afasana hai 

kaghaz ki haveli hai aur barish ka zamana hai

kiya shart-e-mohabbat hai aur kiya shart-e-zamana hai 

awaz bhi zakhmi hai aur dard bhi sunana hai

us paar utarney ki umeed bhout kam hai

kashti bhi purani hai aur toofan ko bhi ana hai

woh kehti thi her surat tumhain apna bana'on gi



tumhara sath mil jaye to sab dukh bhool jayon gi

woh kehti thi her surat tumhain apna bana'on gi
nichawar khwaab kar doon gi tumharay her isharay par

kabhi peepal ki chayon main 
kabhi nadiya kinaray par
thmain thandak ata kar doon gi ik barish ki manind
bikh'kartay chaand taron main ujalti raat ki manind 

mujhay tum se mohabbat hai main logon ko bata'on gi
woh kehti thi her surat tumhain apna bana'on gi  

main chahyon gi tumhain jana umangon se ujalon tak
khudi k dast se le kar naye janmon ke saalon tak

meri thandi si tanhai sulagti raat jaisi hai
mujhay bas sath le jayo bhalay baraat jaisi ho
 tumharay surk joray main hi dulhan ban kar ayongi

woh kehti thi her surat tumhain apna bana'on gi 
mujhay tum se mohabbat hai main duniya ko bata'on gi

woh kehti thi her surat tumhain apna bana'on gi

bheega mousam bheegi aankhain


Aj to mousam bhi ro para

mujhay keh raha hai

teri aankh main

meri boond'don se bhi

ziada pani

is ki waja kiya hai ..?????

is dar se bhi woh zikar mera nahin karty


jis pairr ki chayon bhi lagay dhoop ki manind

us pairr pe panchi bhi basaira nahin kartay

aankhon se hi na parh le koi dil ki udasi

is dar se bhi woh zikar mera nahin karty

yeh dil phir teri khwaish kar raha hai


yeh dil phir teri khwaish kar raha hai

magar main dukh se bachna chahti hoon

main bachpan ke kisi lamhay main ruk kar 

koi jugno pakarna chahti hoon

woh raat jaan se guzar gaya woh ajeeb sa koi aadmi


woh raat jaan se guzar gaya

woh ajeeb sa koi aadmi

yahi aik kaam kar gay

woh ajeeb sa koi aadmi 

bari hasratain thein nigha main

bara karab sa tha kraah main

keh jo saans letay hi mar gaya

woh ajeeb sa koi aadmi  


jo toluh-e-mehar ka aseer tha

woh jo aik mah-e-munir tha

woh ujala dekh ke dar gaya

woh ajeeb sa koi aadmi  

keh jan khalq be'amaan thi

jo lahu lahu koe jaan thi

to palat palat ke yaro udhar gaya

woh ajeeb sa koi aadmi 


na ussay panaah kahin mili

magar aik masjad-e-dil to thi

so khuda ke ghar main th'air gaya

woh ajeeb sa koi aadmi  

jo chala gaya to yeh baam-o-dar

tamaam galiyan tamaam ghar

yahi poochtay hain khider gaya

woh ajeeb sa koi aadmi 


woh jo be'sabab ki thi bar'hami

jissy jantay thay sabhi kami

ussy ashkaar kar gaya

woh ajeeb sa koi aadmi  

keh jo pass tha to na thi talab

keh jo door hai to chubhan si hai

bara be'qaraar kar gaya

woh ajeeb sa koi aadmi 


kabhi kush hua to bhout hi khush

kabhi dukh mila to bhout dukhi

kabhi jee gaya kabhi mar gaya

woh bhout  ajeeb sa koi aadmi 

tumhain shaan ab yeh batayein kiya

kisi raaz ko bhi chupaein kiya

keh idher gaya ya udhar gaya

Woh ajeeb sa koi admi

Tumhain main dost kehta tha


Tumhain main dost kehta tha

tumhain main apna samjhta tha

ajab ik kushi gumaani si

mujhay din raat rehti thi

keh tum bhi dost ho meray

mujhay apna samjhtay ho

mere hone na hone se

tumhain bhi faraq parta hai

magar main aj samjhta hoon

keh aisa rabat hi kab tha

bhout hi talkh hai lakin

mujhay yeh baat kehni hai

meri woh kush'gumani mer gaye hai aaj seeney main 

dhuaan woh bhar gaye hai aanso'on ka aj seeney main

magar main kiya karoon shayed yahi qismat main likha tha

bhout nadaan ho tum bhi

bhout kush feham rehti ho

is hairat bharay gham ki jo shiddat hai

samjh lo woh kisi sorry se kamm ho hi nahin sakti

tumhain yeh ilm hi kab hai

mere andar jo toota hai

woh wapis jurr nahin sakta

meri woh kush gumani phir se zinda ho nahin sakti

mujhay tum se yeh kehna hai

tumhara aur mera sath bas itna hi tha shayed

tumharay sath guzray waqat ko main yaad rakhon ga

kisi bhi baat se meri tumhara dil dukha ho

mujhay tum maaf kar dena

main chalta hoon 

Khuda hafiz.....!!!!

Us be'wafa ka shaher hai aur hum hai dosto


Us be'wafa ka shaher hai aur hum hai dosto
ashk-e-rawaan ki nehar hai aur hum hain dosto

yeh ajnabi si manzalain aur raftigaan ki yaad
tanhaiyon ka zehar hai aur hum hain dosto

layi hai ab uda ke gaye mousamon ki baas
bharka ke rut ka qehar hai aur hum hain dosto

phirtay hain misl-e-moj-e-hawa shaher shaher main
awargi ki lehar hai aur hum hain dosto

shaam-e-alam dhali to chali dard ki hawa
raton ka pechla pehar hai aur hum hain dosto

aankhon main urr rahi hai luti mehfalon ki dhool
ibrat sray-e-dhehar hai aur hum hain dosto 

Poet : Munir Niazi


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...