Jun 8, 2014

Shab wohi Lakin sitara aur hai

Shab wohi Lakin sitara aur hai 
Ab safar ka ista'ara aur hai 

Moj kay murrnay main kitni dair hai
Nayo daali aur dhara aur hai 

Sukh ky mousam ungliyon pe gin liye
Fasl-e-gham ka goshawara aur hai 

Dair se palkain nahin jhapakti meri 
tesh-e-jaan ab ky nizara aur hai 

Aur kuch pal us ka rasta dekh loon 
Asmaan par ik sitara aur hai 

Sath to mera zameen deti magar
Asmaan ka her ishaara aur hai

Be'basi aakhri hadon par hai


Be'basi aakhri hadon par hai 
Zindagi aakhri hadoon  par hai

Janay ab dil ka kiya banay yaroo
Be'kli aakhri hadon par hai 

Sang honay main koi dair nahin 
Be'hissi aakhri hadon par hai 

Roshni loatney wali hai 
tairagi akhri hadoon par hai 

Is se barh ky kiya karay farhat 
Mout bhi aakhri hadoon par hai

Sochti hoon tujhay ab ky baras kiya bhaigon


Sochti hoon tujhay ab ky baras kiya bhaigon 
Jaan bhaigon tujhay yeh dil ka dhrakna bhaigon

Maang loon apney khuda se koi lamha aisa
Jis pe tu aa keh ther jaye woh rasta bhaigon 

Sakhat sardi main mohabbat ki samoo doon garmi 
Aur garma main khunk Mousam -e-aasa bhaigon 

Chaand raton ka fasoo ab ky teray naam likhon 
Din ki hiddat ky liye shajar ghana sa bhaigon 

Tashnagi ab keh baras tujh se bhout door rahay
Pyaas umron ki bujha de woh maseeha bhaigon 


Tu chalay gar to chiragaan sitaray sath chalay 
Dil se jo nikli dua us ka khazana bhaigon 

Umri khwaish keh bahaar aa ke teray ghar main rahay 
Aur barsaat main rim jhim ka sandesaa bhaigon 

Kaash koi aisi kramat ho meray meray paas keh main 
Door tak mousam-e-gul na ho main tujhay guncha bhaigon 

gul-e-zubaan py wohi sardiyon ka mousam hai


gul-e-zubaan py wohi sardiyon ka mousam hai 
Tumharay haan py wohi sardiyon ka mousam hai 

Drakhat pe kabhi jo Chooriyon se dala tha 
us aik nishaan pe wohi sardiyon ka mousam hai 

Yeh aik hum keh nayi boliyaan sada bolain 
Teray zabat pe wohi sardiyon ka mousam hai 

Sulag rahay hain dehaan main qabaein lafzon ki 
Meray zubaan pe wohi sardiyon ka mousam hai 

Her ik simat pighlaney lagay hain snatay 
Teray biyaan pe wohi sardiyon ka mousam hai 

Jahan jahan teri kushboo ky rang bikhray hain 
Wahan wahan pe wohi sardiyon ka mousam hai 

Teri judai kay pal say hua hai askh kanoot
Keh is jahan pe wohi sardiyon ka mousam hai 

Woh haan karay gi baharon main us ka wada tha 
Us  aik haan pe wohi sardiyon ka mousam hai 

Woh mujh ko somp gaya fraq'tein december main 
Drakhat-e-jaan pe wohi sardiyon ka mousam hai 

Hamaray lab to dhuwan jalaye rakhtay hain 
Par asmaan pe wohi sardiyon ka mousam hai 

Tera hijar mera naseeb hai tera gham hi meri hayat hai


Tera hijar mera naseeb hai tera gham hi meri hayat hai 
Mujhay tero doori ka gham ho kyn to kabhi bhi meray sath hai

Meray wastay teray naam par koi harf aya nahin nahin 
Mujhay khauf-e-duniya nahin Magar meray ru'baru teri zaat hai 

Tera wasal aye meri dilruba nahin meri qismat to kiya hau 
Meri maah'jabeen yehi kaam hai kiya teri hasraton ka to sath hai

Tera ishq mujh pe hai mehrbaan meray dil ko hasil hai do jahan 
Meri jaan-e-jaan isi baat par meri jaan jaye to baat hai

Ishq karo to yeh bhi socho Arz-e-sawaal se pehlay

Ishq karo to yeh bhi socho Arz-e-sawaal se pehlay
Hijar ki poori raat aadhi hai Subh-e-wisaal se pehlay

Dil ka kiya hai Dil ne kitnay manzar dekhaye hain lakin
Aankhain pagal ho jati hain Aik khyal se pehlay

Kaar-e-mohabbat aik safar hai is main aa jata hai
Aik zawaal asar se raasta baab-e-kamaal se pehlay

Kis ne rait urai shab main aankhain khol ky rakain
Koi aik misaal to do na , us ki misaal se pehlay

Ishq main raisham jaisay waday aur khabon ka rasta
Jitna mumkin ho teh kar lain Gard-e-malaal se pehlay

Teri umeed tera intizaar jab se hai


Teri umeed tera intizaar jab se hai 
Na shab ko din se shkayat na din ko shab se hai

Kisi ka dard ho karta hai tera naam raqam
Gila hai jo bhi kisi se teray sabab se hai 

Hua hai jab se dil-e-nasabur be'qabu
Klaam tujh se nazar ko badi adab se hai

Agar shrar hai to barh kay jo phool hai to khil a
Tarah tarah ki talab teray rang-e-lab se hai 

Kahan gaye shab-e-furqat ka jaagney wala
Sitara-e-sehar hum klaam kab se hai

Meray naseeb ka yeh almiya bhi kaisa hai

Meray naseeb ka yeh almiya bhi kaisa hai 
Keh jis se pyaar karo ajnabi nikalta hai 

Kahin se shaam utarti hai  , kahin se din yeh charhta hai
Kahan se roz yeh suraj bhala ugalta hai 

Koi to ho kahoon yah mera sathi hai 
Meray mizaaj ki sab uljhanain samjh ta hai 

Kisi ka gham hi to karta hai kho'kla is ko 
Shajar wajood ka aisay to kab ujarta hai 

Milay kushi bhi agar yeh to kush nahin  hota 
Milay ho zakham to yeh dil bara chhikta hai

Woh jis ne beech bhanwar main akela chora tha 
Yeh dil aaj bhi is kay liye mach'chalta hai

Hamhi se door woh rehta hai dushman-e-jaan 
Wagarn abaat sabhi se woh hans kar karta hai 

Kiya tha tu ne kabhi jis main aaitraaf-e-wafa
Woh khat to main ne aaj bhi sambhaal rakha hai 

Hajoom sath ho phir bhi woh khoya rehta hai 
Suna hai shaher main Mojood sa ik tanha hai 

Koi ghazal suna kar kaya karna


Koi ghazal suna kar kaya karna 
Youn baat barha kar kya karna 

Tum meray thay tum meray ho
Duniya ko bata kar kiya karna 

Tum ehad nibayo chahat se 
Koi rasam nibha kar kiya karna 

Tum khafa bhi achay lagtay ho 
Phir tum ko mana kar kiya karna 

Teray dar pe aa kay baithay hain 
Ab ghar bhi jaa kay kya karna 

Din yaad se acha guzray ga 
Phir tum ko bula kar kya karna

Her shaam tum se milnay ki aadat si ho gayi


Her shaam tum se milnay ki aadat si ho gayi 
Phir rafta rafta tum sy mohabbat si ho gayi

Shayed yeh taza si judai ka tha asar 
Her shakal bas kuch teri surat si ho gayi

Ik naam jhil'milanay laga dil ky taar par
Ek yaad haisay baaise raahat si ho gayi

Khud ko saja sanwaar kar rakhnay ka shouq tha 
Phir apnay aap se mujhay nafrat si ho gayi

Main ne kuch biyaan safaai main nahin diya 
Bas chup raha to khud hi wzahat si ho gayi 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...