Jun 9, 2014

Sang dil hai woh to kyon us ka gila main ne kiya


Sang dil hai woh to kyon us ka gila main ne kiya 
Jab ke khud pathar ko butt, Butt ko khuda main ne kiya 

Kaisay na'manoos lafzon ki kahani tha woh shaks
Us ko kitni mushkalon se tarjumaan main ne kiya 

Woh meri pehli mohabbat , woh meri pehli shakist
Phir to paimaan-e-wafa so martaba main ne kiya 

Hoon saza war-e-saza kyon jan muqadar main meray 
Jo bhi us jaan-e-jahan ne likh diya , main ne kiya 

Woh teh'harta kyon keh guzara tak nahin jis kay liye
Ghar to ghar her rasta aarasta main ne kiya

Mujh pe apna juram sabat ho na ho lakin faraz 
Log kehtay hain keh us ko be'wafa main ne kiya

Meri hayat-e-rawaan ko tamaam kar dala


Meri hayat-e-rawaan ko tamaam kar dala 
Hawa ky aik hi jhonkay ne kaam kar dala 

MAin chal raha tha umangon ky wal'walay le kar 
Kisi ki yaad ne jeena haraam kar dala 

Azeem kaam thay meray jawaan sali main 
Mayaan-e-raah ne qissa tamaam kar dala

Chalan ky khaas zwabat thay umar-e-rafta main 
Shajar se toot para be'lagaam kar dala

Daboo diya tha ghamon main dil-e-shakista ko 
Kabhi jo khaas tha us dil ko aam kar dala 

Adab ki had main hoon , main be'adbab nahin hota


Adab ki had main hoon , main be'adbab nahin hota
Tumhara tazkara ab roz-o-shab nahin hota 

Kabhi kabhi to youn hi chalak parti hain aankhain 
Udaas honay ka koi sabab nahin hota 

Kai ameeron mehroomian na pooch keh bas
Ghreeb honay ka ehsaas ab nahin hota 

Main waldain ko yeh baat kaisay samjhon 
Mohabbaton main hasb-o-nasab nahin hota

Wahan kay log baray dil'fraib hotay hain 
Mera behkana bhi kuch ajab nahin hota 

Main us zameen ka deedaar karna chahta hoon
Jahan kabhi bhi khuda ka ghazab nahin hota

Pyaar ka dard likhtay hain hazaron

Pyaar ka dard likhtay hain hazaron 
Jo likhta hai is ki haisiyat , koi us ko nahin janta 
Dil ajeeb hai ghaltiyaan karay hazaar 
Pr saza lanay ko kabhi nahin hai manta 

Rangeen hai zindgi is ko karain hai pyaar 
Pyaar ho sakta kisi ko kisi kay bhi sath 
Woh chahaye qudrat se ya doston se
Pyaar ky lakon raanh hain shumaar 

Mushkil nahin pyaar pana , par bachna hai mushkil is se
Jis ne issay banaya , us ne kuch nuksaan bhi banaya
Jo manay khuda ko is duniya main 
Woh her jaga her insaan main nazraana pyaar ka paye

Duniya phir bhi likhti hai pyaar ky dhokay 
Yaad rakh na payein woh kushi ky pal 
Mar jaye ga woh ik saans main jo pyaar se door hai 
Ab piyaar ko maan khuda aur is kay naam pe chal

Haer insaan ne mohabbat ki jawani anay ky baad


Haer insaan ne mohabbat ki jawani anay ky baad
Bna shair bhi woh hi , Phir dil main dard honay ky baad 

Ask paye aankhon main lali aa janay ky baad
Chupaya dil-e-dard ko , dil ky ghayal ho janay ky baad  

Nazar nahin ata chahera-e-noor , us ki mohabbat karnay ky baad
Janay woh ab kahan kho gay , meray nazar anay ky baad 

Dil to ab bhi dahr'rakta hai ,us ky bas janay ky baad 
Par dharkan sirf usi ki hai , mohabbat main lut janay ky baad 

Rahoon teray anchal ky saye main ' qayamat tak aa janay ky baad 
So'on teri god main hi , mout bhi aa janay ky baad

Sadma to hai mujhay bhi keh tujh se juda hoon main


Sadma to hai mujhay bhi keh tujh se juda hoon main 
Lakin yeh sochta hoon , keh ab tera kiya hoon main 

MAin kud'kushi ky juram ka karta hoon aitraaf 
Apnay badan ki qabar main KAb se gada hoon main 

Kis kis ky naam loon zubaan par ky teray sath 
Her roz ik shaks naya dekhta hoon main 

Kiya janay kis ada se liya tu ne mera naam 
Duniya samjh rahi hai , keh sab kuch tera hoon main 

Ly maeray tajrabon se sabaq , Ae meray raqeeb 
Do chaar saal umar main , tujh se bara hoon main 

Jaaga hua zameer woh aaina hi qateel 
Sonay se pehlay roz , jissay dekhta hoon main

Her be'zubaan ko shola-e-nawaa keh liya karo


Her be'zubaan ko shola-e-nawaa keh liya karo 
Yaro sakoot hi ko sadaa keh liya karo 

Khud ko fraib do keh na ho talkh zindagi 
Her sang dil ko jaan-e-wafa keh liya karo

Gar chahtay ho kush rahain kuch bandgaan-e-khaas
Jitnay sanam hain un ko khuda keh liya karo

Insaan ka agar qad-o-qamat na bhi dha sakay 
Tum is ko nuqas-e-aab-o-hawaa keh liya karo

Apnay liye ab ik hi raah-e-nijaat hai 
Her zulam ko raaz-e-khuda keh liya karo 

Le de kay ab yahi hai nishaan-e-zia qateel 
Jab dil jalay to us ko dia keh liya karo 

Ek bas tu hi nahin mujh se khafa ho baitha

Ek bas tu hi nahin mujh se khafa ho baitha 
MAin ne jo sang trasha woh khuda ho baitha 

Uth ky manzal hi agar aye to ahayed kuch to 
Shouq-e-manzal main mera abla'paa ho baitha 

Maslahat chinn gayein Quwat-e-guftaar magar 
Kuch na kaha na hi mera sada ho baitha 

Shukriya Ae meray qatal Ae maseeha meray 
Zehar jo tu ne diya tha woh daawa ho baitha 

Jaany monis  ko main jumla-e-ada paa kar
Hook woh uthi keh jee tan se judaa ho baitha 

Teri gutagoo main hai jo chaashni jo teray labon main halawatein


Teri gutagoo main hai jo chaashni jo teray labon main halawatein 
Na saroor woh fasl-e-bahaar main na gulon main ltafatein 

Kahin reh gayiteri nighaein woh saba kidhar ko nikal gayi
Teri aahaton ko taras gayein meri jism-o-jaan ki sma'atein 

Teray ang ang main loch hai meray dil ki soz-o-gadaaz ka
Meray khoon-e-dil se raqam hain teray rang-o-boo ki hikayatein 

Meri chashm-e-gham Dil-e-muztariz , Gham-e-arzoo , Gham-e-justagoo
Liye phir raha hoon nagar nagar kisi meherbaan ki amanatein

Ashk girtay hain meri saans sambhal jati hai


Ashk girtay hain meri saans sambhal jati hai
de ky ik dard naya shaam nikal jati hai 

Us ko dekhon to meray dard ko milta hai sukoon 
Us se bichron to meri jaan nikal jati hai

Ishq kuch aisay mita'ta hai nishaan-e-hasti 
Jaisay her raat ujalay ko nigal jati hai

Zakham bharta hi nahin us ki judai ka magar 
Phir us ki yaad naya dard ugal jati hai

Woh magar dil pe meray hath hi rakh de mohsin 
Toot'ti saans bhi kuch dair sambhal jati hai 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...