Jun 21, 2014

Bikhar rahay hain meri zindagi kay tamaam warq


Bikhar rahay hain meri zindagi kay tamaam warq

Na janay kab koi aandhi ura ky le jaye

Main kab tak doosron ky dukh sambhaal ky rakhoon faraz 

Jis jis ky hain woh nishani bata ky le jaye

Nigha-e-yaar pe palkon ki gar lagaam na ho


Nigha-e-yaar pe palkon ki gar lagaam na ho 
Badan main door talak zindagi ka naam na ho 

Woh be'naqaab jo phirta hai gali koochon main 
To kaisay shahaer ky logon main qatl-e-aam na ho 

Mujhay yaqeen hai keh duniya main dard barh jayein
Agar yeh peenay pilanay ka ehtamaam na ho 

Bitha ky samnay bas dekhta rahoon tujh ko
Teray siwa muh ko duniya ka koi kaam na ho 

Jo is ko dekh le mehtaab ik nazar danish 
Meray shaher ki fizaon main kabhi shaam na ho

Zulf raaton si hai rangat hai ujalon jaisi


Zulf raaton si hai rangat hai ujalon jaisi

Par tabiyat hai wohi bhoolnay walon jaisi 

Us ki aankhon ko kabhi ghour se dekha hai faraz 

Rony walo ki tarah jagny walon jaisi

Itni shiddat aanson main pehlay kabhi na thi


Itni shiddat aanson main pehlay kabhi na thi

Dekha apnay naseeb ko to sar-e-aam ro diyea

Aankhon main woh taron si chamak


Aankhon main woh taron si chamak 
Honton pe muskaan rahay 
Bhara daman rahay khushiyon se 
Khila chaand sa yeh mukhra rahay 
Tamam umeedain hon poori aap ki
Na koi dil main armaan rahay 
Banain phool raah guzar aap ki
manzal aap ki shaad rahay 
Tareef aap ki is andaaz se ho biyaan 
Keh tashbeeha na koi baaqi rahay 
Harf-e-aakhir main yeh dua hai khuda se 
Keh us ki rehmat sada aap ky paas rahay

(Ameen)

Mohabbat karnay wale aaj


Mohabbat karnay wale aaj

Izhaar-e-mohabbat kar rahay hain par

Tumharay hath main jo phool hai is ko

Mohabbat ky saheefay main kahin rakh do

Keh izhaar-e-mohabbat kay liye lamhay muqarar to nahin hoty

Mohabbat to dino ki aid se azaad hoti hai 

Mohabbat main riyat phool denay ki 

Bhout hi khoobsurat hai 

Magar tum aaj mujh ko phool mat dena

Tqazay meri chahat ky siwa hain kuch 

Keh meray piyaar ki rasmain zamanay se juda hain kuch

Meray hathon main kabhi halaat ki zanjeer na ho


Meray hathon main kabhi halaat ki zanjeer na ho 

Meray khwabon ki bhiyanak kahin tabeer na ho 

Hai qurbaton ka yeh mousam magar aaitabaar nahin 

Tujh se mil kar hi bicharna meri taqdeer na ho 

Mangi hain duaein keh woh sada saath rahay 

YEh aur baat hai meri dua main taseer na ho

Udaas larki jo ban paray to


Udaas larki 
Jo ban paray to
Yeh khud se kehna kabhi to jana
Keh tum ko ati hai yaad ab bhi 
Woh ik sundar ' udaas larki
Woh khoyi khoyi si aankhon wali
Woh uljhi uljhi si sochon wali
Woh jhooti muskaan ko labon pe sjanay wali
Woh apnay baray main dheeray dheeray se 
tum ko sab kuch batanay wali
Woh baat be'baat ' rooth kar maan janay wali
Kabhi kabhi to hisaab-o-had se bhi yaad barh kar hai anay wali
Stanay wali , mananay wali
Woh ik sundar 'udaas larki

Tum masroof kitnay ho


Brabar yaad karny par bhi tum hichki nahin letay 

Pehar kitnay guzar jayein 

Khabar meri nahin letay 

Sawaal sun to letay ho 

Jawaban kuch nahin kehtay 

Nahin kehtay keh meri yaad bhi tum ko staati hai

Udasi phail jati hai 

Nahin kehtay 

Nahin kehtay 

Yeh jo majbooriyan hain in main khud ko dhaal baithay ho

Yahan be'jaan main aur tum wahan anjaan baithay ho

Suno !

Mujhay samjha sako gy tum 

Keh tum masroof kitnay ho 

Tujhay tujh se churana chahata hoon


Tujhay tujh se churana chahata hoon 
Junoon ko azmana chahata hoon 

Hamaray darmiyaan jo mojzan tha 
Wohi rishta purana chahata hoon 

Makaan badlay hain kitnay is nagar main 
MAin ab ky ghar basana chahta hoon 

Samay ki andhiyon se bujh na paye
Dia aisa jalana chahta hoon 

Yeh duniya to bhout choti hai jana
Teray dil main sma'na  chahata hoon 

Tumhara sath ho aur geet likhon 
Main jeevan shairaana chahata hoon
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...